103 Nauhey lyrics written in english



 

NAWHA #1.
SAFAR-E-IMAM-HUSSAIN (AS)

AAYE JO KHABRE FATEMA PE SAYAD-E-ANAAM RUKSAAR RAK-KE KABR PE ROKAR KIYA KALAAM, SEHRA ME DIL KE TUKDOON KI BASTI BASAWUNGA, AMMA MADINA LAUT KE-MAIN AA-NA PAAWUNGA, KAAMPA FALAK LARAZ-NE LAGI QABR-E-SAYYEDA, AYI JANAAB-E-FATEMA, KI QABR SE SADAA (Jaao mere laal – 4) Tum pe har qadam rahe Dua meri, Aur saaya-e-khuda-e-zul jalaal
JA RAHE HO TUM-JO KEHKE DEENE HAQ BACHAWUNGA
Amma aap ki kasam, me khoon me nahawunga (3) Ab ho jo bhi haal, tum ho payemaal, Tum pe har qadam rahe dua meri, Aur saaya-e-khuda-e-zul jalaal BACHPANE MEI JO KIYA THA WADA BABAJAAN SE Waqt ab wo agaya kafan tu sar se band-le (3) Dekh mere laal, dee(n) ka hai sawaal, Kamiyabiyan hai tere saath hi, Aur saaya-e-khuda-e-zul jalaal CHAHIYE KHUDA-KE DEEN KO AGHAR AMAA, Do ridaay-e-Zainab-e-hazee(n) ka sayebaa(n) (3)
Jawo ab shiqab ibn-e-buturaab, Mei tumhare saath babajaan bhi, Aur saaya-e-khuda-e-zul jalaal DE-RAHA HAI DEEN-E-KIBRIYA TUMHE SALAAM Almadad hussain almadad shah-e-huda (3) Bay watan hussain, mere dil ke cheyn, Hamsafar tumhare saath maa huwi, Aur saaya-e-khuda-e-zul jalal SHAAN-E-BA-WAFA KE HONGE JIS GADI KALAM, Rowenge alam ke saaye mei tere haram (3) Rowengi wafaa aur karbala, Rowengi faraat aur tashnagi, Aur saaya-e-khuda-e-zul jalaal AKBAR-E-JAWAAN JIGAR PE KHAYENGA SINA, Maa kahengi mera chaand khogaya kaha (3) Uspe nohakhwaan, honge meri jaan, Mei bi aur hassan bi aur rasool bi, Aur saaya-e-khuda-e-zul jalaal YE SADAA MAZAR-E-SAYYEDA SE “MAZHAR ABIDI” Sunke rodiyey hussain mustafa ki aal bhi (3) Jaawo mere laal, jaawo mere laal, Tumpe har qadam rahe dua meri, aur saaya-e-khuda-e-zuljalaal ***********************

NAWHA #2.
SAFAR-E-IMAM HUSSAIN as -BB SUGRA (sma)

DAAMAN PAKAD KE KEHTI HAI, BABA KAB AAWOGE LE JAAWOGE HAME KE, YAHIN CHOOD JAAWOGE BIMAAR KI KHABAR BHI, KISI SE MANGAA WOGE YA PYAAR MEI SAKINA KE, HAM KO BHULAAWOGE BACHPAN BHI TAB BHI AUR YE, GHAZAB KI JUDAAI BHI MAA BAAP-BHI BICHADTE HAI, BEHNE BHI BHA’AI BHI MUJE LE CHALO BABA, JANE LAGE SHABIR TO KEHNE LAGI SUGRA Bimaar pe tanhaayi ka khanjar na chaalawo, kyu(n) nazre churaate ho tumhe jaana hai jaawo, Ek baat meri maan lo ache mere baba Jaati hai kanize bhi kanizo(n) hi mei rakhlo, kab maine kahaa hai mujhe naaqe pe bithaao, paidal hi safar hoga mera karbobala ka Waada hai ke zehmat na safar mei koi dungi, mei baalon se saya Ali Asgher ka karungi, rehne nahi dungi mei tumhe raah mei pyaasa Mei paani pilaaungi tere naaqe ko baba, mei pusht pe rakhungi sada mashke Sakina, beshak kare aaraam safar mei teri Fizza Akber ki ziyarat, mai, kiye jawungi har dam, didar hai Akber ka mere zakhmo ka marham,
marnese bachalo mujhe chodo nahi tanha Akber jo chale jaaenge mei kaise jiyungi, furqat ki aziyat ko bhala kaise sahungi, marjaaegi (3) Sughra Samjaane lage beti ko yun Hazrate Shabbir, Sughra hame maqtal mei liye jati hai taqdeer, ye kehke sadaen na do phat ta hai kaleja Bimaar ho gharmi ki aziyat na sahoogi, tum raahe musibat me safar kaise karoogi, hojaae shifa khair se tab khat mujhe likhna Nani ki hifazat mei diye jaata hu tumko, amma ki lahad dekh ke socha karo humko, ab zid na karo jaawo ye kehna na khudaara Phir Suraa-E-Yasin ko padne lage Maula, Beti ko dua deke pukaare Shah-E-Waala, Marjaaunga ab gham se agar tum ne pukaara ***********************

NAWHA #3
SAFAR-E-IMAM-HUSSAIN (AS) CHALAA ME WADA NIBHAANE SALAAM MAA KE MAZAAR

Salaam nana ke roze, Salaam ma ke mazaar (2) Mai tera din bachaunga, Ay mere nana, Mai apna khoon bahawunga, Ay mere nana, Husain jaata hai marne, Salaam ma ke mazaar Meri sharike safar ban-ke, Saath chal amaa, Safar pe jaata hu kapde, Mere badal amaa
Libaaz-e-khuld sajaa de, Badan pe phir ek baar Dua karoo koyi sar be-rida na ho amaa, Namaze zoh-ke shahadat, Kazaa na ho amaa, Na aye mere chaman pe, Sitam ki gardo gubar Diye jalane ko nana, Tumhare roze par, Zuroor ayegi Sugra, Har ek sham-o-sahar, Khuda kare rahe roshan, Sada tumhara mazaar Tumhare jaisa hai nana, ye mera laal Akber, Dua karoo na lage isko, Asmaan ki nazar, Lute na door watan se, Hamare dil ka karar Tamaam phool se bache hai, Aur garm hawaa, Hamare khoon ki pyaasi hai, Foje Zulmo jafaa Safar me koi shajar bhi, Nahi hai saaya adaa Ha-ek phool to aisa hai, Jo khila bi nahi, Na paye pani tho kar sakta, Wo gila bhi nahi, Wo jisko dek-ke aati, Hai dood ki mehkar Meri sakina kaha aur, Rasan ke bandh kaha, Zamin garm pe chalna, Use pasand kaha, Kadam wo phool se nazook, Wo raaste purkhar Challa me waada nibhaane Sallam ma ke mazaa Salaam nana ke roze, Salaam ma ke mazaar (2) ***********************

NAWHA #4.
SAFAR-E-IMAM-HUSSAIN (BIBI SUGRA) SMA

HAAY JAB MADINE SEY CHALA Kafla karbobala, Tha ye sughra ke labo par nawha (Ley chalo baba, mujhe ley chalo baba) x3 Apne hamraah suwe karbobala (Ley chalo baba, mujhe ley chalo baba) x2 Apki yaad me roro ke mei marjawungi. Baba akbar ki kasam chain nahi pawungi. Meri saso ka bharosa na raha Kaflay walo ko pani bhi pilawungi mai. Apni aghosh me asghar ko sulawungi mai. Baba ye apse wadaa hei mera Mere kano me jo awaaz azaan ayengi. Mere akbar ki muje yaad bohot ayengi. Bhayi ki yaad na ban jaye qazaa. Kaise akbar ke bina Eid guzarungi mai. Kabhi tumko kabhi amu ko pukarungi mai. Jab koi paas na honga baba Dhoop aur garm hawa hongi safar me dekho. Apne aachal me chupalungi ali asghar ko. Yu na asghar ko karo mujse judaa Khwaab Akbar ki urusi ke bohot dekhe the. Khaak hojayenge ay baba sab armaan mere. Dil yahi soch ke rota hai mera
Chacha Abbas aur Sakina phuphi zainab se. Akhri baar mila do muje baba sabse. Phir ye bimar nahi dengi sadaa Bhaiya Abid ko dawaa roz pilawungi mai. Unki raho me nigaaho ko bichawungi mei. Tum kanizo ki tarha behr khudaa Acha mehmil me muje tumna bithaana baba. Tum muje raah me peydal hi chalaana baba. Na karungi me shikayat na gilaa. Maine manaa ke nahi kaam mera manzar mei. Baba itna to batado ke akele ghar mei. Zindaa rehpayengi sughra tanha Apne ham rahe suwe karbobala (Ley chalo baba, muje ley chalo baba) x2 ***********************

NAWHA#5
1ST MOHARRAM

BICHA KE FARSHE AZA, FATEMA KO YAAD KARO
Alam sajaawo kisi be rida ko yaad karo (2) SIYAH KAPDE BADAN PAR HO SIRF IS GHAM MEIN, (2) Ruke na ankh se ansoo kabhi muharram mein, (2) Libaas-se Hazrate Zainul-e-ba ko yaad karo KABHI SABIL SE PANI PIYO TO YE KEHKAR, (2) Mai teri pyaas pe kurban husain ki dukhtar, (2)
Kabhi sakina kabhi ba wafaa ko yaad karo GALE MEIN SHALE-AZA AUR HAATH SINOO PAR, (2) Alam uta ke chalo yun dahkte sholo par, (2) Jo bekasoo pe huwi us jafaa ko yaad karo JHULA JHULA-O KISI BE ZABAAN KA JAB BHI, (2) To yaad karna zara bekasi wo banu ki, (2) Kabhi Rubab ki aaho buka ko yaad karo GHAME HUSAIN MILA HAI TUMHE MUKADAR SE, (2) Sadaa Husain kay matam ki aaye ghar ghar se, (2) Husain Husain karo Karbala ko yaad karo WO JIS-NE DEEN KE KHATIR LUTA DIYA GHAR KO, (2) Khuda ki raah me jis-ne kataa diya sar ko, (2) Pado namaaz to us bay khataa ko yaad karo ALAM JO HAZRATE ABBAS KA UTA-THE HAI, (2) Dile batul se lakho duwae paate hai, Alam ke saye mein awo duwa ko yaad karo KABHI YE SHOCH KE TUM DEKHNA PHARE-RE KO, (2) Yahi to Zainab-E-Muztar ki aas thi logoo, Alam ko dekho to us berida ko yaad karo BAHEN KE SAMNE DOOLA BANE KOI BHAAYI, (2) Jo apne bhayi ka sehra na dekhne paayi Usi gharib behen ki sadaa ko yaad karo KHUDA NA KHASTA KISMAT YE DIN JO DIKHLAYE, (2)
Kisi jawan ko jawani mein maut ajaaye, To hum shabihe Nabi ki kazaa ko yaad kare ***********************

NAWHA #6
1ST MOHARRAM

TAMAM ALAM ME AJ MATAM Husain bekas ka ho raha hai Alam gharo me saje huwe hai Dilo me farshe azaa bicha hai Tamaam alam me aaj maatam (Seeyah kapde seeyah chaadar Ghamo ki gardo gubar sarpar x 2) Hai sogwaroon ke ashq jaari Ke saaniye Zehra be rida hai (Na chasme purham ho kyun sawaali Juloos hai Zuljanah khaali x2) Ke mera dul dul sawaare maula Zameene karbal me so raha hai (Alame mashke Sakina dekho To momino bas ye keh-ke rolo x2) Chacha bhatiji me kya hai nisbath Wafae Abbas kya wafa hai (Hussain peedi me dil sambhale Ke dil se uljhi sina nikale x2) Jawaan beta lahu me dooba, Zamee pe yedi ragad raha hai
(Na maar barchi dile Nabi par Abhi huwe hai jawaan Akbar x2) Ye qatl jisko tu kar raha hai Yahi to hamshakle Mustafa hai (Madine walo kaamosh rahna Gareeb Zainab se kuch na kahna x) Bharaa huwa ghar jo legayi thi O karbala me ujad gaya hai ***********************

NAWHA #7

1ST MOHARRAM

GHAR GHAR MATAM, DAR DAR MATAM Tera hota rahe maula matam (2) Basti basti karya karya (2), Tera hota rahe maula matam Gar gar matam, dar dar matam, Tera hota rahe maula matam Tera matami ay mere maula, Duniya ke kisi kone me gayaa Musroof raha matam me tere (2) Deta he sukoon tera matam Jab dil ne kaha aayi Zehra, Mere ghar me bahaane ashke azaa Bas maine bichake farshe azaa (2) Kuch dair kiya barpa matam Kal haath bandhe the zainab ke, Majboor behen thi matam ke
Majlis hai teri ghar ghar barpa (2) Ab karti hai sab dunya matam Abbas ke shane kat tho gaye, Masum tere pyaase hi rahe Ghazi ke liye bacho ke liye (2) Ab karta hai ye darya matam Aashoor ko jab suraj nikla, Zehra ke bhare ghar ko dekha, Par chand ne zainab ko dekha (2) Karti hai bhare ghar ka matam Karbal se safar tha shaam ka jab, Lashe pe pukari ye zainab, Taa hashr teri mazloomi par (2) Karna hai mujhe bhaiya matam Jo karbobala se sham gayi, Wo binte Zahra binte Ali, Sab maaye behne milkar ab (2) Karti hai sadaa uska matam Bimar tha aur zanjeeri thi, Pairo ke tale jalti thi zamin, Sajjad ke gham me roro kar (2) Karta hai har ek rasta matam ***********************

NAWHA#8
1ST MOHARRAM– BIBI SUGRA (SMA)

SUGHRA GASH SE CHOWK KAR UTI (2) Boli sar ko pit’thi huwi, Haaye meri nind ud ga’ayi (2) Mere baba khairiat se ho (4) Dekha aj maine kaisa khwa’ab Reyt par pade hai kuch gula’ab Chun rahe hai jinko butura’ab Khoon ro raha hai afta’ab Ek taraf alam hai khun me tar’r Juk gayi hai shah ki kamar’r Jaa rahi hai jis taraf nazar’r Bibiya khadi hai nange sar’r Hay hay Qasim-E-jawa’an Bayn kar rahi hai jiski ma’a Hil gayi zamin or asma’an Todi jab dulhan ne chudiya’an Ek bachi sina-e-padar’r Dundh ti rahi idhar udhar’r Baap so raha tha khak par’r Jis ke tan se kat chukaa tha sar’r Khayd hai rasool-e-zadiya’an Haath me bandhe hai rassiya’an Bekajaawa hai amaariya’a Khun ro raha hai sareba’an
Khwaab ye bada ajeeb tha’a Badsha-he deen gharib tha’a Kya yahi mera nasib tha’a Bekafan mera tabib tha’a SARVAR-O-REHAN ki sada’a Ho khabool shah-e-karbala’a Koyi bachi aur is taraha’a Yu-na de tadap ke phir sada’a ***********************

NAWHA#9
JANABE AUN-O-MOHAMMED (A.S)

Kehti thi zainab, Ay mere sheyro, Kehti thi zainab, Mere dilero Aun-o-muhammad mere, aun-o-muhammad (4) Khwaab ye zainab ka tha, chaand sitare mere (chaand sitare) x2 Mamu pe hongaye fida, guod ke pale mere (guod ke pale) x2 Khwaab ye sacha huwa, Sar mere uncha raha, Hone ko sheh par fida laal mere, sheyr mere chaand mere (Aun-o-Muhammad mere, Aun-o-Muhammad) x2 Jaffar-e-tayyar ke khun ke akkas ho (khun ke akkas) x2 Husn mei akbar ho tum josh mei abbas ho (josh mei abbas) x2 Jang ke maydaan mei maut ke armaan mei, Saya-e-qur’an mei, aise utho aise lado maut pe tum qud pado
Ha meri taqeed par dhyan tumhara rahe, (dhyaan tumhara) x2 Jake lab-e-nehr bhi pyaas gawara rahe (pyaas gawara) x2 Duud na bakshungi mei, mu bhi na dekhungi mei, Sheyr ki beti hu mei, wada karo aao chalo, tum na raho Maana ke pyaase ho tum, pyaas pe kabu rahe (pyaas pe kaabu) x2 Sheh ke alamdar ki, saans mei khushbu rahe (saans mei khushbu) x2 Bas ye tamanna meri, laaj rahe khun ki, Hai ye wasiyat meri, khawo qasam, jaawo hasham, hoga na kam Aun ye kehna laga, bhayi muhammad suno (bhaayi muhammad) x2 Aeik taraf mei badoun,eik taraf tum barho (eik taraf tum) x2 Jang ho fowj-e-sitam, jang kare aise ham, Maamu hame de alam, deke hame amma kahe jite rahe Dono jari jang ko surat-e-andhi bade, (surat-e-andhi) x2 Nana Ali ki tarha, maut pe haavi rahe (maut pe haavi) x2 Milke jo hamla kiya, meymana-aur-meysra, eik me dam hogaya, teygh-e-Ali, aise chali, dhum machi Dekh rahi thi jo ma khaime ke darpar khadi (khayme ke dar par) x2 Saath wahi thay khade Hazrat-e-Abbas bhi, (Hazrat-e-Abbas) x2 Bhaayi behen saath thay, sahib-e-awlaad thay, waris-e-ajdaad thay,
kehne lage khub lade sheyr mere Larde kaha tak bhala pyaas ke maare huwe (pyaas ke mare) x2 Jalti huwi khaak par dono tadapne lage (dono tadapne) x2 Bhaayi se kehne lagi, fakhr se bint-e-ali, surkhru zainab huwi, Sadkhe tere bhaayi mere, laal huwe Aun-o-muhamad na the, wo dur-e-nayaab the (wo dur-e-nayaab) x2 “SARWAR-O-REHAN” wo wakif-e-adab the (wakif-e-adab) x2 Hukm jo maa ne diya, rukh na kiya nehr ka, pyaas ka sadma saha, Maa ne kaha shukhr-e-khuda, huwe fida ***********************

NAWHA#10
SHEHZADA-E-ALI ASHGAR (A.S)

HAY-ASGHAR – HAAYE ASGHAR (2) Huwi Shaam Na Aaya Asghar, Mai loori Sunaon Kisko (3) Nawha Tha Ye Maa Ke Lab-Par (2), Mai Loori Sunaon Kisko Huwi Shaam Na Aaya Asghar, Mai loori Sunaon Kisko (3) Haathoon-pe gaye thay laykar, Shabbir Tujhe ay jaani, Ye kehke tasal-li di-thi, pil-vaunga isko paani,
Laut aaye hai khaali Sarwar (2), main lo’ori sunaaon kisko… Kya baath huwi hai beta, kyun rout gayaa maadar se, Jhule ko uda’asi dekar, haathon-pe gaya tha ghar se, Itna to bata de dil-bar (2), main lo’ori sunaaon kisko… Ashoor ka din dhalte hi, mazloom-mo ki shaam aayi, Din laashe ginte guzra, har shaam qayamat laayi, Maa kehti rehi ye lut-kar (2), main lo’ori sunaaon kisko… Ye ayh’d kiya hai beta, saaye may-na mai jaungi Kya mujko qabar thi beta, mai itne gham paaungi, Kehti thi yehi maa ak’sar (2), main lo’ori sunaaon kisko… Paani ki jaga sahil say, ek teer gale par khaakar, Mera be-sheer mujaahid, mera masoom-sa Ashgar, Soota hai lehad ke andar (2), main lo’ori sunaaon kisko… Tuj-jaisi kali ko beta, Is tarah masal-dhala hai, Tu phool tha mere ghar ka, Tera-rang badal dala hai, Hai zakm teri gardan par (2), main lo’ori sunaaon kisko… Zakmoon ke safar mai beta, tu-bhi to nahin soya tha Ye maa ko qabar hai Asghar, Tu shay ke-liya roya tha, Tu soo-gaya aakhir thak-kar (2), main lo’ori sunaaon kisko… In-saann nahin hai koyi, haywaan hai is jungle main,
Jinki thi pehre daari, O sogaye is maqtal main, Ye dekh-ke khooni manzar (2), main lo’ori sunaaon kisko… Har waqt rulaati rehti, jisko iski tanhaayi Nawha tha “ZAFAR” is maa ka, jo lutt-ke Madine aayi, Ay mere bahadur Asghar (2), main lo’ori sunaaon kisko… ***********************

NAWHA #11
SHEHZADA-E-ALI ASHGAR (A.S)

NAIZAY SE ASGAR KO NAZAR AAYI JO MADAR Dekha khula sar hai pariyshaan hai muztar Rone lage kehne lage tab ali asgar Maa mujhe apnay seenay se lagaalay Maa muje apni godi me chupalay, Maa me naize pe hu (2) Maa mujhe apnay sine se lagaale. Maa mujhe apni godi me chupale Amaa bohath din huwe jhule me na soya Maa teri izath ki khasam phir bhi na roya Ab tujhe dekha to mere lab huwe goyaa Aaj bandhe hathoon ko jhula sa bana-le, seenay say laga-le…. Jism kahan, sar hai kahan, haaye mukaddar Amaa badan rehgaya karbal ki zamin par Amaa tere saath chalaa aya mera sar
Karta tuje kaise layeenoon ke hawaale, seenay say lagale…. Garm hawaa garm zameen jalta huwa teer Amaa zara socho mere khad se bada teer Kaise kahun hulk pe jis waqt lagaa teer Hogaye bayhosh mujhe dekhne wale, seenay say lagale…. Kabse sakina ne nahi mujhse kiya pyaar Karbobala kufa kahan shaam ka bazaar Darti hai kya khoon-se bhare, dek-ke ruksaar Naize ke nazdeek zara usko bula-le, seenay say lagale…. Dhoop me tune na kabhi ghar se nikaala Amaa baday pyaar se tune mujhe palaa Aaj nahi koi mujhe dekhane wala Tuhi mujhe dhoop se shiddat se bachaale, seenay say lagale…. Dekh teraa lakhtay jigar yun to hai ASGAR Naiza sawaari may-hai Akbar ke baraa bar Noke sina par hai sitaara sa mera sar Meri shujaath pe gale mujko lagaale, seenay say lagale…. Baba ka sar bhaayi ka sar noke sina par Aap ke sarpe nahi ama koi chadar Kaise me bardash karu ama ye manzar Jalti huwi khak se moo apna chupale, seenay say lagale…. ***********************

NAWHA#12
SHEHZADA-E-ALI ASHGAR (A.S)

Ya Hussain, Ya Hussain Ya Hussain, Ya Hussain Mein jhoola jhulaon, Mein Tujhay Jhoola Jhulaon Mein Khuwaab mein Asghar tujhay, Lori bhi sunaoon Tujhay Jhoola Jhulaon, Mein Tujhay Jhoola Jhulaon Laut Aoo safar sey ke badi deyr huwi hay Betaab hu kabsey tujhay seenay sey lagaoon Koi Mujhay Butlata Nahi teri Nishani Barsaat mein teeroon ki kahan dhoondnay jaon Socha tha teri saalgirah ghar mein karoongi Taqdeer yeh kehti hay tera soug manaoon Baba sey teray tera Janaza na uthaiyga Ruk ja zara Abbas ko dariya sey bulaon Yeh Khoo-mein bhara kurta, yeh matti mei-bharay baal Seenay mein chupaon ke mein aankhoon sey lagaoon Iss tarha Koi root ke maa sey nahi jata Tu Khud-hi bata dey mein tujhay kaisay manaoon
REHAN ke Nohay sey sada baano ki ayee Mein aankhoon sey askhkoon ke samander ko bahaoon
Mein Khuwaab mein Asghar tujhay Lori bhi sunao Tujhay Jhoola Jhulaon Mein Tujhay Jhoola Jhulaon ***********************

NAWHA#13
SHEHZADA-E-QASIM (AS)

QASIM KE JANAAZE PE KYA DARD KA MANZAR HAI Roti hai phuphi uski, nawhaa kuna madar hai Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai (2) Sab khoon se bhara sehra poshaak dareeda hai (2) Pamaal badan saara, aur khaak ka bistar hai Roti hai phuphi uski, nawhaa kuna madar hai Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai (2) Mehndi hai lahu wali nawhshaah ke haatho mei (2) Saaye ke liye sar par, bas dhoop ki chadar hai Roti hai phuphi uski, nawhaa kuna madar hai Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai (2) Tukday tha jigar jaysay ay maula hassan tera (2) Tukdoon mei yahaa maula, vay-saa tera dilbar hai Roti hai phuphi uski, nawhaa kuna madar hai Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai (2) Maa kehti thi qasim ki ay laal kahaan jaaooun (2) Ghayray huwe khaymo ko, hai kuffar ka lashkar Roti hai phuphi uski, nawhaa kuna madar hai Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai (2)
Ik gat-ri may laate hai shabbir ye kya ran se (2) Awaaze falak aayi, lakhtay dile shabbar hai Roti hai phuphi uski, nawhaa kuna madar hai Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai (2) Behno ne kiya matam qasim ke janaaze par (2) Masroofe fughaa saari, awlaade payambar hai Roti hai phuphi uski, nawhaa kuna madar hai Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai (2) Shah kehte-the ay qasim kyun tuj ko ajal ayi (2) Sinay mai mere beta, ik dard ka khanjar hai Roti hai phuphi uski, nawhaa kuna madar hai Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai (2) Bikhra hai tera sehra jalti huwi reyti par (2) Har phool ki ankho(n) me, ashkoon ka samandar hai Roti hai phuphi uski, nawhaa kuna madar hai Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai (2) REHAN zaraa socho laashe to bahattar hain (2) Rone ke liye tanha, “Shabbir” ki khwahar hai Roti hai phuphi uski, nawhaa kuna madar hai Qasim ke janaaze pe kya dard ka manzar hai (2) ***********************

NAWHA 14
SHEHZADA-E-QASIM (AS)

KUBRA NE KAHA QASIM DULHA (2) KIS SONE BUN ME SOTE HO BACHPAN KA RANDHAPA DEKHO ZARA
KIS SONE BUN ME SOTE HO Sahra hai Kahin Kangna hai Kahin – 2 Masnad ke Yevaz hai Qack Nasheen Hai Raand banee Mahboose Jafa Kis Sone Bun me Sote Ho Shaadi ka Naya Qillat ye Mila – 2 Hai Sarpe-mere Ek Kaali Rida Dekho To Dulhan ka Haal Zara Kis Sone Bun me Sote Ho Paazeb ki Jaa Bedi hai Padi – 2 Kangne ke Yevaz Rassi hai Bandhi Kya Qoob Banee kya Haal Bana Kis Sone Bun me Sote Ho Thama Tha Jo Tumne Haat Mera – 2 Dena Tha Lahad tak Saat Mera Muj Raand Banee se Hoke Qafa Kis Sone Bun me Sote Ho Mazloom Baney Be Yaar Baney – 2 Martee hai Banee Gumqaar Baney Batlaavo to Apna Haal Zara Kis Sone Bun me Sote Ho Maatam me Gireban Phadungi – 2 Baalon se Lahad ko Jhadungi Lillaah muje Do Apna Pata Kis Sone Bun me Sote Ho Hoja ta tha SHOWKAT Hashr Bapa – 2
Hilja ta tha Dashte Karbobala Kahti thi Jo Ro Ro kar Dukhiya Kis Sone Bun me Sote Ho ***********************

NAWHA #15
SHEHZADA-E-QASIM (AS)

HAEY HAEY QASIM(AS) HAEY QASIM(AS) (X2) Qaidi ban ker paband-e-rasan, Lashoun say jo guzray ehl-e-haram.. Her bibi apnay piyaroun say, Houti thi vida ker k matam… Ek bibi Fatima Bint-e-Hassan(as), Pamal badan Qasim(as) ki bahan Kisi ek ja say rukhsat na hui (x2) Toukroun mein jo tha bhai ka badan Kabhi is tukray per haey Qasim(as), Kabhi os tukray per haey Qasim(as) Teri Bhen garib nou nai bhulna (x2) Teray qatal da manzar haey Qasim(as) Haey haey Qasim(as) haey Qasim(as) (x2) Kabhi is tukray per haey Qasim(as), Kabhi os tukray per haey Qasim(as) Kabhi sehra daikh ke routi thi, Kabhi ghash kha ke gir jati thi (x2) Pamal hua tha bhaayi jahan (x2) Os khoon pay gir ker haey Qasim(as) Kis shan say tum dulha thay banay,
Kis shaan say thi baraath chali (x2) Baithi rahi dulhan hujre mein (x2) Aey na palat ker haey Qasim(as) Farwa(sa) nay kaha beta Qasim(as), Keh dayna dadi Zehra(sa) say (x2) Ghurbath ki kamai tukdoon mein (x2) Bhyeji hai saja ker haey Qasim(as) Uth Qasim(as) daikh teri dulhan, teri lash pay roone aai hai (x2) Aey kaash ye shadi raas aati (x2) Buss jata tera ghar haey Qasim(as) Har sath moharram ko mehndi, Teri yaad mein Qasim(as) uthti hai (x2) Doolha doolha Qasim(as) doolha (x2) Hota hai laboun per haey Qasim(as) JAWWAD, REHAN TAY SARWAR NOU, Nai bulnay vain us bibi day Jenday sadqay aj vi jaari ay (x2) Teda matam ghar ghar haey Qasim(as) ***********************

NAWHA #16
SHEHZADA-E-ALI AKBAR (A.S)

KHO GAYE HO TUM KAHAN Dhund-ti madar – Ay Ali Akbar meray (2)
Zakm seenay par laga (2), aur jigar thak chid gaya
Khoon se rangeen hai, sar zameen-e-karbala (2) Haat rak-lo zakm par, aati hai maadar
Aarzu hai ye meri (2), dekhun sehray ki ladi
Haaye khismath kya karun, khoon mai maiyath padi (2) Say-J phoolon ki kahan, khaak ka bistar
Monisoo yawar nahin (2), shah ka lashkar nahin
So-gaye Abbas bhi, ghoud may Asghar nahin (2) Sai-kadoon ranjo mehan, aur ek sarwar
Ek Sakina si behan (2), shal hai koodon se badan
Aur gale may band ne, shimr laya hai raskan (2) Zulm ki hai entihaan, chingaye gowhar
Thouq ka aazar hai (2), Abid-e-beemar hai
Zainab-O-Kulsum aur sham ka bazaar hai (2) Ba’ad teray ahle shar, ley gaye chaadar
Khaid se jab aaungi (2), main Madina jaoungi
Poucheygi Sugra tumhe, kiya us-se batlaaungi (2) Kiss-tara sey paayegi, gham tera khuwa-har
Ay shahid-e-karbala (2), Ay shahid-e-mustufa
Vasta hai aapko Shabbar-O-Shabbir ka (2) Ab HASSAN ki liji-ye kuch khabar aakar Ay Ali Akbar meray (2) Kho gaye ho tum kahan Dhund-ti madar – Ay Ali Akbar meray (2) ***********************

NAWHA#17
SHEHZADA-E-ALI AKBAR (A.S)

MERA SEHRE’YA WALA AKBAR (4) ZAKM DIL KE DIKHAUN MAI KAISE (2) TERA LASHA UTA HUN MAI KAISE AKBAR – MERA SEHRE’YA WALA AKBAR (4) Lashe Akbar pe shah jab pahunche, Dilko hathon say thamkar bole Teri furkhath ne aye Ali Akbar, Aag dil mai mere laga di hai Aag dil ki bhujaun mai kaise (2), Tera lasha uta hun mai kaise Tu hai kadiyal jawan ay beta, Baap tera za-eif hai kitna Noor ankhoon ka hogaya ruksath, Mujko ata nahin nazar khaima Layke khaimon mai jaun mai kaise x2 Tera lasha uta hun mai kaise Usne athara saal pala tha, Kaise dekhegi O tera laasha Teri shaadi ka tha jise armaan, Kaise jhaylegi O tera sadma Teri maa ko bataun mai kaise (2), Tera lasha uta hun mai kaise Dekh aayaa hai khaside Sugra, Ra’h takti hai O dukhi behna Tujko beemar ne bulaya hai, Wada Sugra ka kyun bhula dala Gham ye dil se lagaun mai kaise (2), Tera lasha uta hun mai kaise
Bhaayi behnoo ka hai ajab rishta, Jiska sa’ani kahin nahin milta Roke Sugra ne ye likha Akbar, Ek dukhiya ki laaj rak-layna Margaya tu bataun mai kaise (2), Tera lasha uta hun mai kaise Lutf jeene mai ab kahan Akbar, Dilse ut-thi hai ye fuqaan Akbar Subhe ashoor di thi jo tune, khun rulayegi O azaan Akbar Teri surath bhulaun mai kaise (2), Tera lasha uta hun mai kaise Zabt ghamka muhaal hai beta, Dekhun kaise ye zakm seene ka Mai to pardes main akeyla hun, Dekh kar zakm kya karun batla Ispe marham lagaun mai kaise (2), Tera lasha uta hun mai kaise Aisi ghurbath mai mu nahi modo, Mai hun tanha mujhe na yun chodo Kya guzarti hai baap ke dilpar, ghamzada dil ko yun nahin todo Apni ghurbath bataun mai kaise (2), Tera lasha uta hun mai kaise SHADMAN ye duwa hai khaliq say, Waqt aisa kisi pay na aaye Jaisa “Mazhar” ne lik-diya manzar, Shah kehte the bas yehi rokarZakm dil ke dikhaun mai kaise (2), Tera lasha uta hun mai kaise ***********************

NAWHA#18
SHEHZADA-E-ALI AKBAR (A.S)

SAB PHULO KE GEHNE ME SAWAARI DULHAN AAYE. Tum jaise ho bas aise hi pyaari dulhan aaye. Sar pe agar sehra sajana, Hatho pe kangnaa jo bandhana (2) Bhaya muje bhool na jaana Fatema sugra ne ye akber ko likha hai, Bhayi salaamat raho behna ki duwa hai, Baad duwa dil me ye armaan basaa hai, Masne de shaadi jo bichaana, Baba ki aggosh-me mai-bhi to pali hu, Bhaiya teri ungli pakadkar me chali hu, Kya me tere chawon se mehroom rahi hu, Baba ki jab chawon me janna, Baba se kehna ke meri jald khabar le, Toot na jaaye kahi baba meri saase, Kat-ta nahi din na guzarti hai ye raate, Khat mera baba ko sunana, Bhaiya tere baad jo din eid ka aya, Eid ke din eid me gham maine hi paaya, Mujko bhare gar ki judaayi ne rulaaya, Dukh ye mera sab ko bataana, Sunti hu kerbal ki bohot garm hawaa hai,
Amma se kehne ke ye Sugra ne kahaa hai, Phool sa Asgar jo mera sath gayaa hai, Dhoop se jab usko bachaana, Behno ka dil jaane jigar hota hai bhaayi, Ankh teher-thi hai jidar hota hai bhaayi, Mere tadapne ka asar ho ta hai bhayi, Tum ho jaha mujko bulanaa, Bhaiya mujhe rehta hai har waqt ye ehsaas, Bhool gaye kya mujhe mere chacha abbas, Aye alam aye sakina ho mere paas, Aas meri tod na jana, Ama se kehna ke sakina ki kasam hai, Fa’asla ab kabre se bimaar ka kam hai, Dair na ker na ke mere hoto pe dam hai, Haat duwa ko jo uthana, ***********************

NAWHA #19
SHEHZADA-E-ALI AKBAR (A.S)

SHABIH-E-PAYAMBAR AKBAR, NAUHA KARE MAA SHAAH KA DILBAR AKBAR, NAUHA KARE MAA Armaan Bohot Tha Main Tere Shaadi Rachawoon Ek Roz Dulhan Chand Si Main (Biyaah Kai Laawoon-2) Par Laash Pe Roti Hai Tere Kookh Jali Maa Zinda Thay Tumhe Dekh Ke Ab Kaysai Jiungi
Socha Tha Terai Biyaah Ki (Poshak Siungi-2) Par Tujh Ku Kafan Bhi Na Mila Haaie Meri Jaan Roti Hai Phuphi Jis Nai Tumhe Laad Sai Pala Tum Kya Gayae Rukhsat Huwa (Is Ghar Sai Ujala-2) Ek Baap Zaiefi Main Huwa Be Sar-o-Saman Abbas Ka Sadma Bhi, Abhi Kam Na Huwa Tha Aysai Mai Meri Jaan Tera (Waqt-e-Ajal Aaya-2) Tum Margayai Kuyn Mar Na Gaie Lal Teri Maa Bimaar Behan Takti Hai Beta Tera Raasta Pardes Main Aayae To Rahaa (Yaad Na Waada-2) Maqtal Kiya Aabaad Madina Kiya Wiraan Phir Ta Hai Meri Ankh Main Ab Tak Wahi Manzar Ay Jaan-e-Pader Noor-e-Nazar (Ay Ali Akbar-2) Hamshakl-e-Nabi Kehte Thay Tum Ko Shah-e-Zeeshaan Allah Nigehban Tumhara Mere Pyaare Ham Loge Rasan Basta (Sue Shaam Sidhare-2) Sota Hai Terai Saath Yahin Asghar-e-Naadan Pyaase Thay Bohot Pyaas Ye Kis Tarah Bujhaye Is Chaand Sai Sine Pe Sinaa Zulum Ki Khayein-2 Tum Sote Ho Maa Jaati Hai Beta Suie Zindaan ***********************

NAWHA#20
SHEHZADA-E-ALI AKBAR (A.S)

HAI AKBAR – HAI AKBAR (4) AKBAR…. TERI LAASH UTAYE KAISE HUSSAIN (2)
DIL THAME HUWE AUR QHAM HAI KAMAR BINAAYI NAHIN AUR ZAKMI JIGAR… AKBAR Ay beta zaeefi hai aisi, raasha hai badan pe baba ke Abbas nahin Qasim bhi nahin, imdaad ki qatir kaun aaye Liye mouj-isii gham-ka dilpar… Akbar Sadmoon ki thakan ne maar diya, din bhar tho utaaye hai laashe Sab sabt ke bandhan toot-gaye, binaayi gayi tere gham se Thanha hai sare maqtal ye padar…. Akbar Ay laal teri surath ki qasam, ab ta’ab nahin hai is dil-ko Mai bhuda padar aur tum-ho jawan, kya waqt pada itna souchoo Mai bekas-o-tanha aur muztaar……… Akbar Khaimay mai tujhe rooti hai puphi, aur zebay musala hai madar 18 baras pala hai tujhe tu khud hi bata ay mere pisar Kya beet rahi hogi dilpar…….. Akbar Pardes mai mere noor-e-nazar, jeete-ji mujhe tu maar gaya, Naize ki tarah ye gham Akbar, hum sab ke diloon se paar gaya, Rooti hai teri maa ye kehkar……. Akbar Karta hun duwa-ein khaaliq se, qismath na kisko de-ye gham Ho samne beta ka laasha, aur baap kare uska matam, Sunle ye duwa rab-e-Akbar……… Akbar
Taqdeer kisi madar ko-bhi, ye gham na dubara dikhlaye Beta ho shabiye paighambar, maa jeeti rahe O marjaaye Mar jayegi roo roo kar madar………. Akbar Jo tere kalaije mai thi sina, hai zakmi usi-se dil mera Kis tarah sina O khainchi thi, mai tujko nahin batla sakta Dil tukde huwe jaata hai pisar……… Akbar Jo bayn kiye shay-ne ban-me, Mazhar O bayan kar sakta nahin Sina pe pisar ke sar rakar, ye kehte rahe bas Shaahe-deen Ab zinda rahun mai bhi kyun-kar……… Akbar ***********************

NAWHA#21
HAZRATH-E-ABUL-FAZLIL-ABBAS (A.S)

TERAY KATA HUWE BAZOO NIJAATH PANI KI Teray badan ka paseena zakath pani ki Jahan bi paani-O-mash-O-alam ki baath chali Ali ke laal ke khadmoo talay furaath chali Wafa-E-ishk-O-mohabath ki kaye naath chali Duwa-E-Fathema Zehra bi saath saath chali Alam ke dam se hai ab tak hayath pani ki Jari ki jeeth huwi aur maath pani ki Wo ek mashk jo kauser samayt kar nikli Laboo pe apne samandar samayt kar nikli Tabassum-E-Ali Asgar samayt kar nikli Jo ek zarb se lashkar samayt kar nikli Agar na kehti ye aabe hayaath pani ki Har ek nigaha se gir jati zaath pani ki
Sakina bibi ke saq-qe Ali ke laal salaam Jari sa’qi asad-e-shayre zul-jalaal salaam Wafa ki aakri haq-e-mahay kamal salaam Nahin hai dono jahan main teri misaal salaam Teray kata huwe bazoo nijaath pani ki Teray badan ka paseena zakath pani ki Himayath-e-shah-e-mazlum may fana Abbas Tabath-O-jurath-O-ghayrath ki intehan Abbas Janab-E-Zainab-O-bekas ka aasra Abbas Labay furaath faqath tunay hi likha Abbas Hamari tashna lagi hai furaath pani ki Hayaath pyaaso ki tehri wafath pani ki Teri hayaath ka saman NASEER-e-shabbir Badal ta rehta hai jo kaynaath ki taqdeer Furaath-O-mashk-O-alam hashr tak teri jagir Main aur ye meri tanzeem iske dar ke fakir Bahaygi chasmay azaan se furaath pani ki Chalaygi majlis-O-matham main baath pani ki YA ABBAS (4) ***********************

NAWHA#22
HAZRATH-E-ABUL-FAZLIL-ABBAS (A.S)

LABE FARAAT-E-ALAMDAR-E-KARBALA AYAX3 WAFAA KO NAZ-E HE JIS PARX2 WO BA WAFAA AYA Ali ka ehde jawaani Palat ke a’aya hai Isi liye pare jibreel thar-thara’aya hai Alam ka noor zamin se falak pe cha’aya hai (Zamin pe phir abu talib ka)x2 naksh-paa aaya’a
Jari ka sina hai ya-ilm ka madeena hai Ali ka taaj shuja-ath ka ye nagina hai Sakina pyaasi hai dil misle aab sinaa hai (Ye mashk hai ya uthaye) x2 huwa duwa aaya Tarayi kabzeme ankho me pyaas bachoon ki Likhi huwi hai pharere pe aas bachoon ki Hai fikr ghazi ko har dam udaas bachoon ki (O khayma-gah ko mud-mud ke) x2 Dekhta ayaa Nazar jamayi Sakina alam ko dekh-ti-thi Dilase bachoon ko de-ti-thi or ye keh-ti-thi Milenga pani sabhi-ko mitengi tashna labi (Ye khusk kuza bharege) x2 wo marhala aayaa Ye kya huwa ke Sakina ne aah bhar ke kaha Alam chacha ka phuphi kyu nazar nahi ataa Ye kehke phenk diya apne hath se kuza (Udhar se fazl bhi karta) x2 huwa bukaa ayaa Kazaa fizaa me uthi yaa Husaini adrikni Me ghirgaya mere bazu kate he mashk chhidi Hussain bole kamar meri jhuk gayee ghazi (Mere nasib me ye gham) x2 Bahoth badaa ayaa Kabhi rida kabhi bazu ko, dekhti thi bahan Tasawaraath me zainab ke, tha Ali ka sukhan Ridaa chinengi bandh-engi kalaaiyoon me rasan (Ye soche kar dil-e-Zainab me) x2 khouf-sa ayaa ***********************

NAWHA#23
HAZRATH-E-ABUL-FAZLIL-ABBAS (A.S)

ABBAS JAA RAHE HAI BACHE TADAP RAHE HAI,ABBAS JAA RAHAY HAIN HAR BIBI RO RAHI HAI, ABBAS JAA RAHAY HAIN APNE RIDA KO ZAINAB, HASRAT SE DEKHTI HAI (2) Sukhe huwe labon par, Bachoon zaban na phero (2) Mashko alam ko dekho, Kuch deyr mei yahaan tak Khud nehr aa rahi hai, Abbas jaa rahe hai Kyun mashk tumne dedi, Ghazi ko shahzaadi (2) Ay ranjo gham ki aadi, Khush kyun hai ai sakina Kuch der ki khushi hai, Abbas jaa rahe hai Jukne lagi qamar hai, Abbas ka safar hai (2) Sheh marna jaae dar hai, Aafat ghamoon alam ki Sarwar pe ghir padi hai, Abbas jaa rahe hai Ik shore al-atash hai, Phaylaa huwa fazaa mei (2) Masroof hai dua mei, Kyaa sog karbalaa mei, Ummeed aakhri hai, Abbas jaa rahe hai Khaimon mei shore matam, Hone laga hai paiham (2) Har aankh hogayi nam, Shaame gharibaan daaman Phailaati jaa rahi hai, Abbas jaa rahe hai Zainab ke baazuuon ko, Chuma tha jab ali ne (2) Lamhaa the zindagi mei, Baazu bandhenge mere Zainab samaj gayi hai, Abbas jaa rahe hai
REHAN AZMI who, Manzar na likh sakunga, Bas itna keh sakungaa, Kehte the shaahe maula Gham meri zindagi hai, abbas jaa rahe hai ABBAS JA RAHAY HAIN BACHE TARAP RAHE HAI, ABBAS JAA RAHAY HAIN HAR BIBI RO RAHI HAI, ABBAS JAA RAHAY HAIN ***********************

NAWHA #24
HAZRATH-E-ABUL-FAZLIL-ABBAS (A.S)

MISLE HAIDER KE’E ZAMANE’E KA, MADADGA’AR HUN MAI HATH KATWAKE BHI’’I, SARWAR KA ALAMDA’AR HUN MAI JO NAHIN JANTE’E, PEHCHAN LE’E – ABBAS HUN MAI ABBAS HUN MAI – ALI ABBAS HUN MAI (4) Mere khadmoo ki damak paaye to manzar kaampe Ghaiz mai aan ke dekhu to dilawar kampe (2) Bol-uthun to ye sitamgaaron ke lashkar kampe Himmate kehti hai’i (2) ke Haidare karaar hun mai Foujko foujke sardar ko dar lagta hai Tegh ko saahibe talwaar ko dar lagta hai (2) Mujse har dour ke ghadaar ko dar lagta hai Mai wafadaaron ka’a’a (2),hami hun wafadar hun mai Zalime waqt ki hasti ko mita sakta hun Babe khaibar ko hawaoon mai uda sakta hun (2)
Marhabe waqt ko naize pe utha sakta hun Mujko pehchaanlo’o (2) Jarar hun jaraar hun mai Izn Shabbir agar de-to phachadunga abhi Naqsha har zulm ke baani ka bigadunga abhi (2) Babe khaibar ki tarah unko ukhadunga abhi Deen ke waste’e (2) har jung ko tayaar hun mai Mai agar chahun to dariya mai rawani na rahe Zulm ki aur sitamgar ki kahani na rahe (2) Khushk hojaye abhi nehr mai paani na rahe Masle haq hai to ye’e (2) jaa dene ko tayaar hun mai Asmaano ki balandi pe khadam mere hai Karbala meri hai ye louhoo khalam mere hai (2) Saari duniya mai jo ut-the hai alam mere hai Kyun ki Shabbir ke’e (2) laskar ka alamdaar hun mai Sunke Ghazi ka rajas darke sitamgar bhage Fouj mai shour huwa, nehr say lashkar bhage (2) Nouke naiza say jo takraaye to phir sar bhage Aur O kehte-rahe’e (2) Aoo khabardaar hun mai Matame shah pe fatwe na lagana mufti Ye alam mera hai bid-dath na batana mufti (2) Bandkar zulm azaadar pe dhana mufti Ye rahe jaan-ke’e (2) Shabbir ki talwaar hun mai ***********************

NAWHA#25
HAZRATH-E-ABUL-FAZLIL-ABBAS (A.S)

MAIDAAN MEIN HUSSAIN KA GHAMKHAAR GIR PADA Shaane kata ke ghode se jarraar gir padha Maidaan mein Hussain ka ghamkhaar gir pada..(2)
Dikhlagaya bahare wafa jaane murtaza
Dooba hua lahoo mein hai armaane murtaza Hai paara paara nehr pe qurran-e-murtaza Fauje khuda ka haaye alamdaar gir padha Maindaan mein….
Tanha Hussain hogaye yaawar nahi raha
Tashnalaboon mein saakhiye kausar nahi raha Bibi sakeena amme ghazanfar nahi raha Fauje khuda ka haaye alamdaar gir padha Maidaan mein…
Tharra uthega gham se bayaabane karbala
Royegi khoon shaame garibaane karbala Rassi mein bandhe jayenge mehmaane karbala Fauje khuda ka haaye alamdaar gir padha Maidaan mein…
Dariya-ye zindagi ka kinaara nahi raha
Be-aas bibiyaan hai sahaara nahi raha Tha dil ko jis se chain wo pyaraa nahi raha Fauje khuda ka haaye alamdaar gir padha Maidaan mein…
Zarraate karbala-ba-alam bolne lage
Abbaas ke firaag mein aansoon ubhal padhe
Shabbeer kis tarah ALI FITRAT ye gham sahe Fauje khuda ka haaye alamdaar gir padha Maidaan mein Hussain ka ghamkhaar gir padha…. ***********************

NAWHA #26
HAZRATH-E-ABUL-FAZLIL-ABBAS (A.S)

ASMAN DEKH RAHA THA, Saq-kha koyi faraat pe aye tha tashnalab, Mashkiza bhar ke jaanibe khayma chala wo jab, Barse wo teer chidgayi mashk-e-sakina jab, Roya alam faraat wafa mashk aur sab. Gunji maktal mei shah-e-deen ki sada (Qatl darya pe alamdar huwa) x2 Aur pyaaso ki ye aas tut gayi, Aya maktal se alam khun me bhara Aur pyaaso ki ye aas tut gayi Din dhala sham-e-ghariban ke andhere chaaye (2) Bas Sakina ne yahi roke kaha Ab mere sar se ridaa jayengi zainab ne kaha (2) Rodiye sunke ke shah-e-karbobala Tere ammu to teri pyaas pe kurbaan huwe (2) Sheh ne ye bali sakina se kaha Haath mei sukhe huwe kuze liye bethe the (2) Marsiya pyaas ka maula se suna Khun-e-abbas jo parcham se tapakte dekha (2)
Dukhtar-e-shah ka dil dub gaya Roke kulsum se fizza ne kaha shehzadi (2) Teri chadar ka muhafiz bhi gaya Dono haatho se kamar thame huwe sheh ne kaha (2) Bujh gaya meri ummido ka diyya Alatash kehke jo rote the wo khamosh huwe (2) Chayi mahool be matam ki fazaa Roye sadat to daryaa ka kanara roya (2) Zindagi royi kahin royi kazaa ***********************

NAWHA#27
HAZRATH-E-ABUL-FAZLIL-ABBAS (A.S)

ABBAS-E-ALI AAYE KARIB-E-SHAH-E-ABRAR Bhayi ko alam deke kiya sheh ne bohot pyar, Has has ke rafiko se ye karne lage guftaar, Jaisi ye meri fouj hai waisaa hi alamdar, Ghazi sa koyi deen ka sardar na hoga, Abbas sa dunya mai(n) alamdar na hoga, Sakhi (abbas hamara hai(n) alamdar hamara) 2 Hashim ka kamar… haider-e-karrar pyara Haider ke gharane ki sakhawat sakhi abbas, Khoone abu talib ki sadakat sakhi abbas, Zehra ki duwao ki taharat sakhi abbas, Kudrat ne banaya nahi phir aisaa dubaraa.
Qur’an-e-wafa sheyr-e-nayafshaan-e-ali hai, Zehra ki tamanna hai dil-o-jaan-e-ali hai, Is ke liye bachpan hi se farmaan-e-ali hai, Mei ilm ka darya hu ye darya ka kanara Paida huwe abbas to goudi me utha ker, Zainab ne rakha naam kaleje se lagaa ker, Chotaa sa alam sheh ne diya unko sajaa ker, Dekha jo alam ne to alam khud ye pukara Ye panjetan-e-pak ke lashker ka nishan hai, Kehte hai ye shabir mera shere jawaan hai, Aisa koyi dunya me alamdar kaha hai, Shehwan se hai sheh baaz kalandar ka ye naaraa Abbas-e-ali ruh-e-wafaa jaan-e-wafa hai, Abbas-e-ali fatema zehra ki duwaa hai, Har waqt alam chumti rehti ye hawaa hai, Bhulaa nahi abbas ko darya ka kanaraa Duniya-e shahadat me kaha(n) uskaa hai sani, Jo saare shahido ki safo me raha ghazi, Be dast bhi ho ker jo bhare joliyaa(n) sabki, Hashim ka kamar sare fakiro ka sahara Lazim hai ke ham dekhenge ek roza ye manzar, Farmayenge jab mehdiy(as)-e-dora sar-e-mimbar Kaabe se namudaar jo hoga mera lashkar, Hoga yahi lashkar ka alamdar hamaraa. Yaad ata hai wo rukhsate-e-abbas ka manzar, Wo rona sakina ka phareyra ko pakad kar, Wo dekhna zainab ka kabhi sar kabhi chadar, Kehti thi palat aye behen bhayi ka pyara
Abbas gaye hogaya maula mere tanha, Dekha kabhi maydaa(n) to kabhi janib-e-darya, Nagaah alam nehr pe girte huwe dekha, Zainab se kaha sheyr gaya nehr pe mara
Ay SARWAR-O-REHAN ye iman hai apna, Abbas ke parcham ka sada sarpe ho saya
Padne ke liye hashr mei shabir ka nawha, Abbas bulayenge hame karke ishara ***********************

NAWHA#28
HAZRATH-E-ABUL-FAZLIL-ABBAS (A.S)

JAB SHAAM KE BAZA’AR MEI, SAYDANIYA AAYI, ARE CHADAR KI JAGA KHAAK-E-SAFAR, BAALO PE LAAYI NA-GAAH JAB GHAZI’I KI NAZAR KULSUM TAK AAYI, ARE SAR KHAAK PAR, ABBAS NE NEZE SE GIRAAYA. DAR HAI KULSUM KE CHEHRE PE NA-A PAD JAAYE NAZAR, NOKE NEZA PE TEHERTA NAHI ABBAS KA SAR Ik gayyur wafadaar pe ab aur sitam kya honga, Jiski chadar ka muhafiz tha wohi aaj huwi beparda, Shaam walo isi ehsaas-e-doraan-e-safar, noke…. Gir gayi raah mei naake se sakina to ye zainab ne kaha, Ik chacha aur bhatiji ki muhabbat to zara dekh khuda, Pusht naaka pe sambhalti nahi sheh ki dukhtar, noke…
Shaam ke log tamashaayi bane aur tamaasha saadaat, Bewatan aur khule sar hai sar-e-raah kare kya saadaat, Khun ankho se bahaate hai shah-e-jinn-o-bashar, noke… Aandhiyo khaak urdaawo ke bane isse haram ka parda, Gunji jab shaam ki gham nak fazaawo mei ye zainab ki sada, Asman rone laga rowi zamin ye kehkar, noke… Chashm-e-sajjad se behne lage us waqt lahu ke dhaare, Jab ke masoom sakina ko sitamghar ne tamaache mare, Laasha sahil pe tadapta hai udhar aur idhar, noke… Rone walo sar-e-bazaar khule sar thi Ali ki beti, Ghir gaya farq-e-wafadaar jo naize se to heyraan the shaqi, Pucha abid se sitamghar ne bataawo kyu kar, noke… Saath sadaat ke shehzaadiy-e-kawnaain safar karti rahi, Nawha karte hai nabi khaak udha te hai hassan aur ali, Haay kya waqt hai rote hai sina par sarwar, noke… Kabhi layla kabhi farwa kabhi kulsum kahe wawayla, Chehra balon se chhupate huwe zainab ne yahi ro ke kaha, Amma fiza zaraa dekho to ye gham ka manzar, noke… Nawha likhte huwe “IRFAN” ye “MAZHAR” ne kahaa tha rokar, Koun qirtas pe laasakta awlade payambar ka safar, Rodiye qalb o jigar ek hi misra likhkar, noke… ***********************

NAWHA#29
HAZRATH-E-ABUL-FAZLIL-ABBAS (A.S)

GHAZI KI SHAHAADAT SE, SADATH PE KYA GUZRI Maula ki kamar tuti, zainab ki rida utri Abbas ka maidan mei ghode se utar naa (3) Shabbir se pucho kabhi zainab se khabar lo Are khaimon mei yatimon ke piyaalon ka bikharna Shabbir se pucho kabhi zainab se khabar lo Are Shabbir ko ghazi ki sunani jo sunaai, Bechain huwe dasht mei dhunde kiye bhai (2), Mazlum ki aankhon ka wahaan kaam na karna, Are Sajjad pe zaalim ke tamachon ki woh barish, Maasum sakina pe tamachon ki woh barish (2), Haan shimr ka woh shaame gharibaan mei na darna Are Rone pe koi zulm tadapne pe koi bain, Haathon mei rasan khun mei tar jism khule sar (2) Ye kaafela shabbir ki maqtal se guzarna, Are Tatheer ki parwasta ko galiyoin mei phiraana, Har shehr ke har mod pe hi eid manaana (2) Ujde huwe ko dekh ke logon ka sawarnaa, Are karne pade bimaar ko taamil hazaaron, Be aasra sayyedaaniyan aur neel hazaaron (2) Ab tak bi yatimon ka koi zakhm na bharna, Are zainab pe khuli rehti thi baazaar ki aankhen,
Roti hi rahi khun woh bimaar ki aankhen (2) Sajjad ka har roz mei sou baar ka marna, Are maaruf kabhi SHOUKAT-O-FARHAAN na hote, Lafzon pe agar shaah meherbaan na hote (2) Alfaaz mei hota kabhi nauhe ka asar naa, Abbas ka maidan mei ghore se utar naa (3) Shabbir se pucho kabhi zainab se khabar lo ***********************

NAWHA#30
HAZRATH-E-ABUL-FAZLIL-ABBAS (A.S)

(Sakhi ABBAS Jari Ya ilaahi mujhe de) x2 Ek jari chaahiye taarike shujaa’at ke liye Karbala mein mere Shabbir ki nusrat ke liye Aur na munh se payambar ki hifaazat ke liye – 2 Ya ilaahi mujhe Abbas-sa beta dede (Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3 Shukr sad shukr tera shabbar-o-shabbir diye Betiyaan ki hai ata zainab-o-kulsoom mujhe Baad iske meri bas ek dua ke badle – 2 Ya ilaahi mujhe Abbas-sa beta dede (Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3 Aaina sabr-o-shujaat ka bana na mera Hu bahu meri hi tasweer ho baccha mera Usko dekhoon to nazar aaye sarapa mera – 2 Ya ilahi mujhe abbas sa beta dede (Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3
Koi be-yaar-o-madadgaar agar hojaye Iltaja behre madad apni zabaan par laye Mujko awaaz koi de wo madad ko aaye – 2 Ya ilahi mujhe abbas sa beta dede (Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3 Zindagi jiski guzar jaye alamdaari me Apne baazoo bhi kata de jo fidakaari me Sabse aage nazar aaye jo wafadaari me – 2 Ya ilahi mujhe abbas sa beta dede (Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3 Naam uska ho jin hoton pe wahan pyas na ho Koi umeed na toote koi be aas na ho Yaad karke use tanhai ka ehsaas na ho – 2 Ya ilahi mujhe abbas sa beta dede (Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3 Mere maalik mere hoontoon pe jab aayi ye dua Meri aankhon mein nazar aane lagi Karbobala Mera Shabbir musibat mein khadaa hay tanhaa – 2 Ya ilaahi mujhe Abbas-sa beta dede (Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3 Jab woh karbal mein ho chawbhees peher ka pyaasa Har kadam par use isaar ka jazba dena Aur mere laal ke haathonko salaamat rakhna – 2 Ya ilaahi mujhe Abbas-sa beta dede (Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3 Ay “KALEEM” hogayi maqbool duaa-e-Haidar Usko “MESUM” kaha hai Fatema Zehra ne pisar
Arzu ki thi Ali ne jo huzur-e-daawar – 2 Ya ilaahi mujhe Abbas-sa beta dede (Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3 ***********************

NAWHA#31
MAZLOOM-E-KARBALA – IMAM HUSSAIN (A.S) 10TH MOHARRAM ZAINAB KA THA YE NAWHA

Zainab ka tha yeah NAWHA, Bhayi hai bhuka pyaasa Ai shimr (la) tu teher jaaa…. bhayi hai bhuka pyaasa Suke gale pe khanjar, math pher ay sitamghar (2) Pani pilade thoda…. Bhaayi hai bhuka pyaasa Seene se tu uthar jaa, zakhm mein dard hoga (2) Mazloom par taras khaa…Bhaayi hai bhuka pyaasa Khoya hai nawjawan ko, ghada hai bezubaan ko (2) Koi nahi hai uska……. Bhaayi hai bhuka pyaasa Chadar ko cheen lein tu, Qaymon ko loot le thu (2) Uski nahin hain parwa………. Bhaayi hai bhuka pyaasa Arzo Saman ke waali, dena hai thu gawahi (2) Pehlu mein behke darya……. Bhaayi hai bhuka pyaasa Ya fathima ab avo, ya murtuza ab avo Dam thod tha hai beta……….Bhaayi hai bhuka pyaasa Zainab ka tha yeah NAWHA Bhaayi hai bhuka pyaasa Ai shimr thoo teher jaaa…. Bhaayi hai bhuka pyaasa ***********************


NAWHA#32

MAZLOOM-E-KARBALA – IMAM HUSSAIN (A.S)

HAAY ASR KA WAQT HAI, SHABBIR KI AATI HAI SADA Chur zakhmo se badan hogaya ama mera Apni agosh me, ab mujko chupalo ama Are dhoop hai apni aba aoo-aan ke dalo ama Garm reti pa me girta hu sambhalo ama (2) Thak gayaa lashe uta kar mai bhare lashkar ke Laash Qasim ki me la-ya hu kabhi Akber ki Khud baniyi hai lahad maine Ali Asgar Do tasali muje sine se lagalo ama Teer talwar se, khanjar se badan zakhmi hai Khaak jalti hai to zakhmo main chubhan hoo-ti hai Mere zakhmo se mere dil ka lahu jaari hai Apni chadar ko mere zakhm pe dalo ama Mera Abbas khafa hogaya amma mujse Wo nahi aaya uta laya tha bazu uske Aap ek kaam kare nehre kanare jaake Mere ruute huwe bha’ayi ko manaalo ama Chakiyaan pisi hai goudi me bithakar mujko Jaag ti rehti thi zaanu pe sula kar mujko Loriya deti-thi jhule me jhula kar mujko Ek dafa goud me phir apni sulalo ama Aur kuch der ka mehmaan hu tum paas raho
Rait zakhmo me hai aachal se use saaf karo Aati hai rone ki aawaz Sakina dekho Jaawo tum jaake Sakina ko sambhalo ama Dekh wo aag lagi shame ghariba aayi Dekho ghabra ke nikal aayi meri maa jaayi Dekho behoosh Sakina ka pada hai bhaayi Jawo Sajjad ko sholo se nikalo ama Hai ghuzarish meri tumse to ab-itni madar Ama baba ki kasam dhamp lo moo par chadar Dekha jayenga na ab tumse ye khooni manzar Khatl hota hun nighaho ko hataalo ama Hogi jab hashr ke maidan mai majlis barpa Farsh-e-gham shay ka bechay-engi Janab-e-Zehra Ayegi Hazarath-e-Sabbir ki REHAN Sada Aaj ji khool ke tum ashk baha loo ama Garm reti pa me girta hu sambhalo ama (2) ***********************

NAWHA#33
MAZLOOM-E-KARBALA – IMAM HUSSAIN (A.S)

QAFELA LUTGAYA AMMA MERA LASHKAR NA RAHA, AMMA NANA KI NISHAANI ALI AKBAR NA RAHA, REHGAYA DARD-E-KAMAR HAAYE BARADAR NA RAHA.
AB KHABAR AAPNE LI GHAR KI, KE JAB GHAR NA RAHA. AUR AB DAM-E-ZIBHA YE PURE MERE ARMAA(N) KARNA. FARSH KE NICHE NA BAALO(N) KO PARISHAA(N) KARNA JAAO KE NA AB DEYR KARO, DEKHO NA AMMA, AB LAAL TERA ZEEN PE HAI AUR NA ZAMEE(N) PAR
Aap aayi hai amma mei salaami ko na ut-ta
Hai dard kaleje mei jo utne nahi deta Hasrat se tere pehle mei dam mera nikalta Mei cheyn se sojata tere goud mei madar
Are kuch deyr mei neze pe rakha honga mera sar
Na dekhna us waqt mujhe madar-e-muztar Chal-jayenga us waqt tere qalb pe khanjar Ghode abhi dowdenge meri laash ke uppar
Mei subha-se ta asr uta-tha raha lashe
Daman mei chune Qasim-e-nawshaah ke tukde Lipta Ali Akbar ka kaleja tha sina se Amma mere chehre pe hai khun-e-Ali Asghar
Is haal mei amma hai teri goud ka pala
Maqtal mei mera khogaya har ek ujaala Hai kon Sakina ko meri poochne wala Soeyngi mere sine pe kaise meri dukhtar
Dekho to qayamat hai bapa ehl-e-haram mei
Khayme se nikal aayi hai Zainab mere gham mei Ab ane ko hai bibiya(n) bahar koi dam mei
Samjaawo unhe amma rahe khayme ke andar
Lo saans ubharne lagi dil doob raha hai
Nazro(n) mei meri Zainab-e-muztar ki rida hai Abid se thi umeed so-wo ghash mei pada hai Kya honga mere baad Sakina ka muqaddar
Ay “SARWAR-O-REHAN” bayaan kaise ho manzar
Sheh kehte the amma ye kada waqt hai mujpar Kistarha kaleje se lagu aapke ut-kar Chumunga qadam aapke ab mei lab-e-quasar ***********************

NAWHA#34
MAZLOOM-E-KARBALA – IMAM HUSSAIN (A.S)

Hai…..Khud’a ne-jab malakul ma’ut ko ye izn diya Ke ro’ohe Hazrat-e-Sarwar nikaal kar le aa’a Rahe qayaal ke’e, Shabbir ko na ho eeza’a Hussain…. (3) Pehle hi zaqmoo se chur chur huwa Malak pukara ye’e, mujsa’y na-ho sakega khuda’a {Mai kis tara’ah se nikalo’on, badan se ja’an-e-hussain Aray…. Bahut hi saqt hai ya rabb, ye imtahaan-e-hussain} Hai….. Laga hai zaqm tabar, beh raha hai sar se lahoo Bhare hain khoon mein jaane Rasool ke gesoon Qareeb jaake rakhoon dil pe kis tarah qaboo Ke is lahoo mein tho hai Fatema ke doodh ki bu Hai… Mai-phir in-aankhon pe dhaoon sitam ye kya hai zaroor Bichadke jo Ali Akber se ho gayeen be noor
Nida ye aayi dahan se nikaal jaane huzoor Kaha dahan mein tho kaante pade hain rabbe ghafoor Nida ye aayi ke gardan se khynchna inki Kaha mai kya kahoon gardan pe chal rahi hai churi Churi pakadke ye chillati hai koi bibi Na zibha kar mere bacche ko mai duwa doongi Hai…. Nida ye aayi ke seene se qabz kar le jaa Kaha wo teeron se chalni hai ai mere rehmaan Abhi tho maarke barchi hata tha ek shaitan Aur ab tho hai tahe zaanuye shimr liye quraan Hai… Nida ye aayi ke mazloomiyet ke rutba shinas Kamr se khynchle kaabe ki jaan be waswaas Kaha malak ne tadapkar ba’dardo hasrato yaas Kamar tho toot gayi, jabse mar gaye abbas Falak se tab hua roohul ameen ka ran mein nuzool Kaha pukarke muh dhamplo baraye batool Pisar ke laash pe kholegi baal binte Rasool Sada ye thi malakul mauth ki ba huzn malool Hai….Isi-ye hukm hu par – fikr –ye-hai ay yazdaan Har ek juzv hai zaqmi lagaaoon haath kahan KHUDA PUKARA YE MUSHKIL KARENGE HUM AASAAN Na tu nikaal mere aashiqe ghareeb ki jaan MAI QUD NIKAAL RAHA HOON BADAN SE JAANE HUSSAIN KE QATM HONE KO AB HAI – YE IMTAHAANE HUSSAIN. ***********************

NAWHA#35
MAZLOOM-E-KARBALA – IMAM HUSSAIN (A.S)

HAAYE HUSSAIN – PYAASE HUSSAIN (5) Damishk mai jo gareeboon ka khafela pahoncha Yazeede (la) nahes ne darbar me bula bheja Bahen se shaye ki shahadath ka waaqiya poocha Tadap ke binte Ali ne yazeed (la) se ye kaha Zamee ki goud me Islam ka sitara hai (2) Mere gareeb ko lakheon ne milke mara hai Kaha yazeed (la) se Zainab ne aye sitam ara Ghazab kiya tere lashkar ne roze ashoora Mere Hussain ko jungle me ghair kar mara Ali ka kardiya barbaad ghar ka ghar sara Jo bekafan hai abhi tak nabi ka pyaara hai (2) Mere gareeb ko lakheon ne milke mara hai Suhaag oujda kisi ka kisiki kook jali Kisi ka jalraha daman rida kisi ki chini Kisi ki maang me karbobala ki qakh padi Kisi ki aal hai zinda me Ya Ali madadi Shakhi ne sibte payaimbar ka ghar oujada hai (2) Mere gareeb ko lakheon ne milke mara hai Kidhar gaye mere Abbas-O-Qasim-O-Akbar Wo mere Aun-O-Mohammed wo mere noore nazar Mai tujhko dundoon kahan bezaban Ali Asghar Bathao bibiyoo roen mai aaj kiskis par Jahan mai Zainabe dilgir be-sahara hai (2) Mere gareeb ko lakheon ne milke mara hai
Ye ranjo gham-sitam-o-zoor aur jafa kabtak Rasool zaadiyan balwe me berida kabtak Rahegi qaid me aulade murtuza kabtak Nabi ki aal pe ye zulme narewa kabtak Mujhe tho mauth hi alam me ab gawara hai (2) Mere gareeb ko lakheon ne milke mara hai Haaye hussain pyaase hussain (JAWAB) ***********************

NAWHA#36
MAZLOOM-E-KARBALA – IMAMHUSSAIN (A.S)

HUSSAIN IBNE ALI KO PUKAAR TE-JAA WO (2) Khadam khadam pe mukhadar savarthe jawo Hussain O ke jo sipte rasoole athar hai Hussain O ke jo noore nigahe haider hai Hussain O ke jo binte nabi ke dilbar hai O haq ke vaste gardan kata diya O hussain Jo taqto taj ko tokar laga diya O hussain Hukumathoon ko jo nicha dikha diya O hussain Mile hussain tho bande ko haq ki zaath mili Milay hussain to ilsam ko hayath mili Jisay hussain milay usko kayenaath mili Badi khushi se jo akbar ko dediya O hussain Jo apne haatho pe asgar ko dediya O hussain Namaz-e-asr may jo sar ko dediya O hussain
Sar-e-guroor hukumath jhukadiya O hussain Yezidiyath ko tikane lagadiya O hussain Jahan ko sabre ke jowhar dikha diya O hussain Jo kharq hoke lahu main ubhar gaya O hussain Jo sabr-ro shukr se dil fat-ha kar gaya O hussain Jo dard banke jigar main utar gaya O hussain Jo aaj aal ko chode O kal kare na gila Kidaar-e-fani se milta hain akhibath main sila Hain khush naseeb jo MIRZA ko ahl-e-bait mila Hussain ibne ali ko pukaar te-jaa wo (2) Khadam khadam pe mukhadar savarthe jawo Hussain ibne ali ko pukaar te-jaa wo (2) ***********************

NAWHA#37
MAZLOOM-E-KARBALA – IMAM HUSSAIN (A.S)

HAAYE HUSSAINA (2) AY NAWHA KUNA AHLE AZA HAAYE HUSSAINA (2) KUMBA TERA SAB MARA GAYA HAAYE HUSSAINA (2) O Aun-O-Mohammed (as) teray humsheer ke pyaare Pyaase thay magar janibe dariya ko sidhaare Taakeeth-ki madar ka bharam, rak liya kaisa Us teer nay Zahra (sma) ka jigar kaat diya hai Markad mai Mohammed (saw) ko-bi baychain kiya hai O teer jo maasum ki gardan pay laga tha
Zainab (sma) tera bay-maqna-O-chadar sare bazaar Bas zulm ki had hogayi ay syeday abrar Sab ehle haram rote-the, khush hote-the a’adaa Kab aaoge tum lout-ke itna to bata do Bimar hun marti hun, mujhe aake dawa do Khat Fathima Sugra (sma) ka, Madine se hai aaya O-Mashk-O-Dariya-O-Alam-aur-O-Ghaazi (as) O-Pyaas-O-Gardan-O-Sakina (sma) si bhateeji Jis waqt tar-rayi pay gira sher ka laasha Zanzeeroon mai jakda huwa ek lagaroo bimar Ujday huwe ek khafile ka khafila salaar Aur mehve tilavat O tera sar sare naizaa REHAN khalam rook phata jaata hai seena Kya dard mai douba huwa likha hai ye nawha Jisne bhi suna giriya kuna hoke pukara ***********************

NAWHA#38
MAZLOOM-E-KARBALA – IMAM HUSSAIN (A.S)

HUSSAIN ZINDABAAD (2) Khuda ye paak ka pyara hussain zindabad. Nabi ki ankhoon ka tara hussain zindabad. Dil-e-batool ka pyara hussain zindabad. Ali ka raaj dulara hussain zindabad Lagaye jao ye nara (hussain zindabad-2) Kaho ye milke hamara (hussain zindabad-2)
AMIR-E-SHEHR SHAHADAT HAI TERA NAAM HUSSAIN. Tuji pe behja hai islam ne salaam hussain. Hai tere hato me kounain ka nizaam hussain. Suna jo noke sina par (tera kalaam hussain-2) Pukaar-uta ye nazaara (hussain zin.. 2) KIYA HAI PANI TERE GHAWSALO NE PATHAR KO? Shikast di hai teri pyaas ne samandar ko. Fana ke kabr me dafna kiya sikandar ko. Ulat ke rakhdiya tune (har ek manzar ko-2) Hakikato ko ubharaa (hussain zin.. 2) KAYAAR SHAB PE UJALO NE HUKMARAANI KI. Jale diye to hawo ne paas pani ki. Mili zaif ko ugrayi ya jawaani ki. Zaban hogayi majbur (be zabaani ki-2) Ye tera faiz he saraa (hussain zin.. 2) PAYAAME HAQ HAI KHUDA KI KASAM PAYAME HUSSAIN. Har ek cheez hai kuonain ki gulam hussain. O mohtaram hai jo karta hai ehtaraam hussain Aghar yazid se lena hai (intikaam-e-hussain-2) Laghawo joom ke nara (hussain zin.. 2) JO GHAR LUTAATA HAI USKO HUSSAIN KEHTE HAI. Jo din bachaata hai usko hussain kehte hai. Jo hur banaata hai usko hussain kehte hai. Jo jeet jaata hai (usko hussain kehte hai-2) Shuja-atoonay tone pukaraa (hussain zin.. 2)
BARAAYE JUNG YE LAYKAR JO ZULFIKAAR GAYA. Amir-e-shaam ko beta ali ka haar gaya. Kiya ye wakt ne aylaan ikhtidaar gaya. Hussain jit gaye or (yazid hargaya-2) Khuda ka din pukaraa (hussain zindabad-2) ALI KA LAAL SHAHE MASHRAKAYN ZINDAA HAY. Wo khalb-e-fatema zehra ka cheyn zinda hai. Shabaab fata-e-kadro hunain zindaa hai. Yazid margayaa mera (hussain zinda hai-2) Ye zindagi ka hai naraa (hussain zin.. 2) YE TERA DOST BHI TERA ADOO BHI KEHTA HAI. Chiraag andhiyo ke ru-baru bi kehta hai. Alam bi tegh bi chah dil gulu bi kehta hai. Nazar bi fikr bi dil bhi (lahu bhi kehta hai-2) Jo katl hoke na haraa (hussain zin.. 2) WAFA KA SAMT-TERA GOHAR SADA PASAND RAHE. Nishan-e-matame shabbir al jo band rahe. Alam hussain ke lashkar ka sar buland rahe. Yazid kabr ki gayrayiyo (me band rahe-2) Dil-e-hussain hamara (hussain zin.. 2) Lagaye jao ye nara (hussain zindabad-2) Kaho ye milke dobara (hussain zindabad-2) Laghawo joom ke nara (hussain zindabad-2) Lagaye jaan ye nara (hussain zindabad-2)
Kaho ye milke dobara (hussain zindabad-5) ***********************

NAWHA#39
MAZLOOM-E-KARBALA – IMAM HUSSAIN (A.S)

YA HUSSAIN (2) YAA HUSSAIN
Yaa hussain khush-taye taighe jafa,
Yaa hussain sipte rasoole khuda
Haye sar par sare naiza tera, Dar badar le gaye baani-e-jafa Be kafan lashaaye beghar hai gharib-e-zehra Hai badan ghodoon se pamal tera wa-vaiylah
Nainawa dashte bala karbala,
Kya huwi joro jafa karbala
Kya thi pyaa-soo ki khata karbala, Kuch to khaidi to bata karbala Apne mehmaan pe ye bandish-e-paani kyun kar Jiski maadar ko mila mehr main aab-e-kauser
Ek maqtal main bahathar lashe,
Banje bete bathije pyaase
Para-para huwe saare aisay, Ek quraan ke paray jaisay Khaakh ud-udke shahidoon ka kafan banti-thi Khuld se fathima zehra ke sada aati thi
Ek taraf behta tha darya-e-furaath,
Ek taraf pyaaso pe mushkil ki hayaath
Bade shabbir aseeri ki O raath, Kaisay guzri thane sad paash ke saath
Koyi bhaayi ko, koyi roti thi betoon ke liye Bekasi ye thi ke aansoon na the ankhoon ke liye
Thash-na-lab be-watan-o-be-khata,
Sar tha sajde main tahe taigh gala
Ek ek zakm se khoon behta-tha, NAWHA karti-thi janab-e-zehra Khaime ke darpe behan karti thi faryaad-o-fugha Jaise sehra main kisi shakhs ki aawaze azaa
Margaya shere alamdar-e-jari,
Chal gayi qasim-me-mehru pe churi
Margaya dasht main ham shakle nabi, Khake sine pe sitam ki barchi Ghar ka ghar zainab-e-mazloom ka barbaad huwa Lutgaya shehr-e-Nabi Karbala abaad huwa
Kat-gaye baazu-e sakha-e-haram,
Chidgayi mash huwa thanda alam
Jalthe khaimoo main tha barpa matam, NAWHA karte the sabi ahle haram Ay alamdar uto chinti hain zainab ki rida Koyi baaqi-na tha-bas aabid-e-muztar ke siwa
Fathema Zehra ye deti hai duwa,
Ta qayamath rahe ye farshe aza
Yu-hi aati rahe mat’m ke sada, Ho har ek lab pe hussainy NAWHA Hashr mai shay ke azaadaroo ko pursa doongi Mai azaadaroo ko jannath ki basharath doongi
Kaise REHAN main likoon NAWHA,
Ghamse seena hain mera karbo-bala
Aankh se behta-ta khoon ka darya, Karte the khalbe jigar bhi giriya Haaye O be kaso mazloom O be-yaare hussain Royenge hashr talak tujko azaadar-e-hussain YAA HUSSAIN (3) ***********************

NAWHA#40
MAZLOOM-E-KARBALA – IMAM HUSSAIN (A.S)

Mujpe kyu band karte ho pani, kya Muhammad kya pyara nahi hu 4 Mujpe kyu band karte ho pani, kalma goyo Muhammad ke shaani, Kya me mehman aya nahi hu. Kya me Zehra ka jaya nahi hu Mujpe kyu band karte ho pani, kya Muhammad kya pyara nahi hu 4 Mera baba hai mushkil kusha (Meri madar bhi hai sayyida) x2 Mera beta hai zainul ibaa (Mere nana ka kalma pad-ha) x2 Jiske saye ko tum dhundte ho. Kya me uska hi saya nahin hu Tumne maktub likh ke kahi (Ayiye jald ibn-e-ali) x2 Deenn ki roshni kam huwi (Sham-e-islam bujhne lagi) x2
Tumne chahaa tha me agaya hu. Khud madine se aya nahi hu Das taras me meray kya nahin (ILm takwa shuja’at yakee(n)) x2 Mere pairo ke niche zamee(n) (jispe rakhe farishte jabee(n)) x2 Mei hi sardar-e-ahle jina hu, koi tuta sitara nahi hu Meri gardan pe khanjar chale (aag lagti hai ghar me lage) x2 Bint-e-zehra ki chadar chine (hath dunga na apna tujhe) x2 Hath mera ye dast-e-khuda hai, mai to munkir khuda ka nahi hu Sath zehra ki hai betiyaa (mohtaram inka koi kaha) x2 Pyaas ki dhoop ki sakhtiya (sabke chehre huwe hai dhuwa) x2 Betiya fatema ki hai pyaasi, sirf ik mai hi pyasa nahi hu Hukm abbas ko du agar (nehr le aaye wo cheen kar) x2 Karbala hogi zeyr-o-zabar (Laash thai-rengi har mouj par) x2 Mei nahi chahta jang karna. Fauj ladne ko laaya nahi hu Ghunji hal min ki aisi sadaa (Sheh ko “REHAN” kehte sunaa) x2 Ya Ali Ya Ali eliya (Waqt imdad ka agaya) x2 Mere bache bhi lagte he pyaase. Phir bhi kya muskuraya nahi hu. ***********************

NAWHA#41
MAZLOOM-E-KARBALA – IMAM HUSSAIN (A.S)

Jab fauje kirdigar mei koyi nahi bacha Ruksath ko aaye khaime-mei shehen-shaey karbala Pohunche khaya-me zainab-o-kulsoom ke kareeb Awaaz di behan ko aur Shabbir ne kaha ZAINAB FEEAMANALLAH ZAINAB FEAMAANALLAH Ab aakhri fareeza-ye khaliq bhi ho ada Mai marne ja-raha hun tumhe kehke alwida Lashkar me koyi baki nahi hai mere siva Koyi sipahi fouje udo ka nahi raha Ab mera janasheen hai sajaad be-khata Rehna hai uske saath tumhe bade karbala Din bar to meine lasho pe lashe uthaey hai Na-jane kitne zakhm kalaije pe khaye hai Ab akhri salaam ko khaime-mei aaye hai Zakhmo ne dardo-ghamne mujhe kar diya nid-haal Mai katl hone wala hu iska nahi malal Reh-rehke beridayi ka ata hai ab khayal Rakhna khayal meri Sakina ka ay behan Soyegi kaise khak ke bistar pe pur mahan Royegji jab-bhi yaad use ayega watan
Ye kehke al faraaq chale shahe behro bar Nikle kaman zulm se O teer aur tabar Ki khamaey haram ki taraf akhri nazar Ghoday se khak pa-giray sultane karbala Tathir ro rahi thi tadap ne lagi kisa Jalti zami pe sajda kiya aur yeh kaha MAZHAR ajeeb waqt tha Zehra ke laal par Manzar ye dekhti thi behan sar ko pit kar Ye keh ke suwe khuld kiya shah-ha ne safar ***********************

NAWHA#42
MAZLOOM-E-KARBALA – IMAM HUSSAIN (A.S)

MAI RAHUN YA NA RAHUN (2) Ya Husssian (3) Mabood Takabul Rakna….. Mai Rahun Ya Na Rahun `(2) Mera Islam Rahega, Mera Paigham Rahega Aye Fouje Ashkiyaan Mera Islam Rahega, Quran Rahega Mera paigham Rahega. Jab Zuhar Tak Hussain Bahatar Ko Ro Chuke Akbar ko ro chuke, Ali Asgar ko rochuke Ek do pahar me bawafa lashkar ko ro chuke Phir fouje badnasab say muqatib huwe Imam Hujjat tamam karta hun sun lo mera payam.,
Farmate they Hussain ke mai be kusur hun Roushan hai tumpe, jisme payambar ka noor hun
Faaqoo say mai nidhaal hun zakmoo say chur hun Zakmoon pay Zakm pyaas ki shid-dath mai khaunga Lekin mai nana jaan say wada nibhaunga. Dariya ko tumne cheen liye maine kuch kahan Paani dikha dikha ke piya, maine kuch kaha Daag Akbarray jawan ka diya maine kuch kiya Haq par hun mere haq mai sina bool rahi hai Sun loo O azaan meri zabaan bol rahi hai Maqsad hai la ila ki baqa aur kuch nahin Wada ho zairay teyqh wafa aur kuch nahin Iske siwa laboon pay duwa aur kuch nahin Razi ho mujsay mera khuda chahta hun main Mai hun Hussain sab ka bhala chahta hun main Maqsad nahin hai jung hamara khuda gawa Khat bhej ke hai tumne bulaya khuda gawa Bay jurm tumne mujko sataya khuda gawa Khanjar talay baland mai takbeer karunga Apnay lahu say khaak pay tahreer karunga Mai aur karun Yezid (la) ki baiyath nahin nahin Badlun ajal ke dar say shariyath nahin nahin Jeenay ke badlay chodun shahadat nahin nahin Tum kaun ho naqab rukhoo say hataunga Main kaun hun ye nouke sina par bataunga Aaakar daray khayam pay Zainab ko di sada Aa ay meri ghareeb behan aaa khareeb aaa Ley aakhiri salam hussainay ghareeb ka Maqsad hai mera kya ye sabaq tujko yaad hai Meri sharike kaar mujhe etaymaad hai
Zainab tadap ke boli ke bhaiya samaj gayi Bhaiya teray isharay ko behna samaj gayi Mai kya teri ghareeb Sakina samaj gayi Khutboon say mai hilaungi qasray Yazid (la) ko Marne na dungi ab mai kisi bhi shahid ko Uta gubaray zulm, kadakti hai bijliyaan Zeese ghiray Hussain uthi surkq aandhiyaan Nagah sar Hussain ka aaya sarey sina Quran suna ke sayeday mazloom ney kaha Low` nana jaan wada wafa maine kardiya Ay SARWAR-O-REHAN ye lamha ajeeb hai Naize pay lab khusha ye Hussain ne gharib hai Zainab tumhari shaame gharibaan kharib hai Sab kuch teray hawalay hai, ab tu sambhalna Apna khayal rakna, Sakina ko paal na ***********************

NAWHA#43
MAZLOOM-E-KARBALA – IMAM HUSSAIN (A.S)

MERE LAHU KE HAR QATRE MEI GUNJ RAHA HAI – YAA HUSSAIN, AB TO SABKA VIRD ZUBAAN BHI REHNA LAGA HAI – YAA HUSSAIN
Aap ki kya shaan hai maula, bolta quran hai maula
Fatema ki jaan hai maula, marzi-e-subhan hai maula
Karbala ka fat’he azaam, bakhuda hai waris-e-adam
Ja-bajaa phehle tere parcham, ta abad hoga tera matam
Teen din ki tishnagi maula, haaye teri bekasi maula
Khushk gardan par churi maula, karbala kehti rahi maula
Kis-tarha bhulenge O manzar, jab chala tha halk pe khanjar
Jab sina ki nouk pe tha sar, bol-tha qur’an tere lab par
Ye sabile ye azakhane, aankh mei ashkoon ke paymaane
Matami laaye hai nazraane, ab janaab-e-Sayyeda jaane
Ye teri maula azadari, zindagi se bhi hame pyaari
Hai yahi tujse wafadari, ashk ankhoon se rahe jaari
Waris-e-qur’an zindabaad, rehbar-e-insaan zindabad
Mazhar-e-imaan zindabad, fatema ki jaan zindabad As-salaam ay malike kausar, as-salaam ay kushta-e-khanjar
As-salam ay jaan-e-payghambar, kehte hai “REHAN-O-SARWAR” MERE LAHU KE HAR QATRE MEI GUNJ RAHA HAI – YAA HUSSAIN, AB TO SABKA VIRD ZUBAAN BHI REHNA LAGA HAI – YAA HUSSAIN ***********************

NAWHA#44
IMAM-E-SYED-E-SAJJAD (A.S)

HAAYE SAJJAD, HAAYE BIMAAR (3) Mai chal bhi nahi sakta, Qaidi hun mei amma, Mei chal bhi nahi sakta Aankhon se lahu meri (2) Ek pal bhi nahi rukta Mei chal bhi nahi sakta, qaidi hun mei amma… Ye khun jo behta hai, is aak ka matam hai, Mujhe touq aur bedi-ke, gham se bi sawa gham hai Maa behne phuphi aayi (2) baazaar mei be parda Bas mere kaleje pe, us waqt qazaa utri, Naamu-se Mohammed ki, jis waqt ridaa uthri, Baazaar mei aaya hai (2) zindaan ye mera laashaa Tatheer ke par-wargar, ummat ne phiraaye hai, Us bibi ko logoon ne, darbaar dikhaaye hai, Jis bibi ka baba ne (2) chehra bhi nahi dekha Jab ehle sitam ham par, barsaane lage pathar,
Kya jaane kya guzri, us waqt mere dil par, Jab maa ne kaha mujhse (2) tum koun ho ay betaa Lachaar behen meri, sehme huwe rehti thi, Maasum Sakina ye, har moud pe kehti thi, Kya dafn huwe honge (2) karbal mei mere baba Abbas ko mehshar tak, ye dard rulaaega, Zainab ke khule sar ko, woh dekh na paaega, Ghairat ke khuda ka sar (2) naize pe nahi rukta Akber ka hasee chehra, jo dekhte rehte hai, Sab kufiyon shami bhi, roro ke ye kehte hai, Is husn ke paikar ki (2) ab tak hai maa zindaa Maa behne khule sar hai, raahon mei tamashaai, Aulaade mohammed ko, taqdeer kahaan laayi, Paa bande silaasil hun (2) kaanton se bhara rasta Tera hi kalam maula, teri hi zabaan maula, FARHAAN AUR SHOUKAT ki, aukaat kahaan maula, Tauheed bhi karti hai (2) har waqt tera giryaa ***********************

NAWHA#45
IMAM-E-SYED-E-SAJJAD (A.S)

MERA BIMAR IMAM (2) WAQT SAJJAD NE KAISE WO GUZARA HOGA (4) NAM ZAINAB KA JO GAIROO NE PUKARA HOGA WAQT SAJJAD NE KAISE WO GUZARA HOGA (2)
YA RAB KOI MIL JAYE NA PEHCHAAN-NE-WALA BAZAAR MAIN SAJJAD DUA MANG RAHA HAI
Lo Hussain Ibne Ali pyaase zibha hone lage (2)
Kitna sharminda wo darya ka kanara hoga
Wo gira zeen-se Zainab ki rida ka zamin (2)
Kon ab Fathema jaayi ka sahara hoga
Sare maidan tu jane to laga hai Asgar (2)
Kis tarah tere bina maa ka guzaara hoga
Nauke naiza pe bahane lage ansoo maula (2)
Phir Sakina ko kisi shaks ne mara hoga
Roze Mehshar ka hame dar nahi koyi Shoukat
Hath Shabbir ke kadmo pe hamara hoga ***********************

NAWHA#46
IMAM-E-SYED-E-SAJJAD (A.S)

HAI SHAAM KA BAZAAR (4) SAJJAD SE RONE KA SABAB PUCH RAHA HAI HAI SHAAM KA BAZAAR (2) JO SHAAM ME GUZRI HAI, WOH SAB PUCH RAHA HAI HAI SHAAM KA BAZAAR (2) Woh lakh tamashai, be parda phupi behne
Kaisay na lahu roye, bimaar ki fhir aakhen Is gam ki aziyyat ne, use maar diya hai Kis tarah qaraar aaye, bimaar ko ay logoo Sar naizoon pe pyaaroon ke, aate hai nazar jisko Bay jurum musafir ki, yeh kaisi sazaa hai Aankhoon se hai khun jaari, Khu-khar hai bimaari Zanjeer hai pairon me, Aur Tawk-bi hai bhaari Jalti hai zamin saari, Aur garm hawaa hai Jaagir nahi maangi, zanjeer nahi pakdi Saaye me nahin bai-ta poshaak nahi badli Maa behno ki khaatir who, rida maang raha hai Zindaan ke masaaeb bhi har waqt rulaate hai ……………………………………………………………… Mar jaye na Zainab ye kahi shoch raha hai (Haai Shaam ka baazaar) x2 Zinda se rihaa hoke bi, zinda me hain Sajjad Ek nanhi si turbat jo, wahan karti hai faryaad Markar bi rahun Qaid, me kya meri khataa hai O zakhm bhi sajjad ko, jeenay nahi deta Zakhmon se Sakina ke jo, chipkaa raha kurtaa Woh khoon bharaa kurta hi, kafan Usko banaa hai Baazaar me darbaar me, zindaan me roye Chaalis baras mawth ke, armaan me roye REHAN mera maula tadaptaa hi rahaa hai ***********************

NAWHA#47
IMAM-E-SYED-E-SAJJAD (A.S)

HAYE BAZAARE SHAAM, BEKAS IMAAM (2) EK YEHI BATH SAJAAD KO KHA-GAYI (2) SAR KHULE HAAYE ZAINAB KAHAN AAGAYI HAYE BAZAARE SHAAM, MERA BEKAS IMAAM (2) Tuaq ke bouj se, sar nahi tha jhuka (2) Wajh sharmindagi ek yahi dard tha (3) Majmaye ashkiyaan mei phuphi aagayi. Tap raha tha badan aur zanjeer bhi (2) Be rida ma phuphi aur hamsheer bhi (3) Soch te-the na kyu kar kaza aagayi. Bibiyon ke gale reesmah se bandhe (2) Gard aalood balo se chehre chupe (3) Shaam tak is tarha binte Zehra gayi Waarison ke janazon pe roye nahin (2) Asr-e-aashur ke baad soye nahin (3) Neend ruksat huwi aankh thakra gayi Ekto zindaan uspa andhera bahoth (2) Aur faryaad karne pe pehra bahoth (3) Maut bhi is andhere se ghabhra gayi So gayi Qaid-khane me who gamzadah (2)
Jiska shaam-e-gariban me daaman jalaa (3) Qaid-khane ki usko zameen khagayi. Kaise dafnaye jakde hai zanjeer me (2) Dard likhi hai kya sirf takdeer me (3) Dafan karne Sakina ko maa aagayi Dard REHAN Sajaad ke mei likhun (2) Ha mahe jaan-se mere tapak te hay khun (3) Ruhe girta se is gham se tharraagayi. ***********************

NAWHA#48
SEHZAADI BIBI SAKINA (SMA)

MAI-YATH HAI SAKINA (sma) KI
ANDHERA HAAYE ZINDAAN (2) Allah na dikhlaye ab aisa koyi zindaan Mayyath hai Sakina (sma) ki andhera haaye zindaan (2) Kurte ka kafan, ghusl, diya a’ashkon se jisko Dafnaya use kaise ye Sajjad (as) se poocho Kha’amosh huwi bachi (2) to rota raha zindaan Udte huwe dekhe-jo parinde ko puka’ri Ay Tahir-O-Sughra (sma) ko khabar do ye hamari Tum khush raho Sughra (2) mere, kismat may tha zindaan Kano ka lahoo chand se chehre pe jama tha Qaimo may lagi aag – to daaman bhi jala tha Tanhaayi may bachi ko (2) dasta raha zindaan
Sehmi huwi rehti thi sitamgaaro ke dar se Shikwe kiya karti thi fakhad baap ke sar se Likha gaya kismat may (2) ye kaisa hai zindaan Ab khaakh pe soti hoo na takiya hai na bistar Rakta nahi ek shamma koi ab to jalakar Jeene nahi deta mujhe (2) ay baba – ye zindaan Kehti thi phuphi qaid se kab ho’ogi rehaai Amma mere ammu ki, khabar kyun nahi aayi Tukde kiye deta hai (2) kaleja mera zindaan Sar baap ka paaya to O phir is tarha soyi Phir royi nahi uske liye maut thi royi Deta raha Sajjad (as) ko (2), pursa sada zindaan Maa kehti rahi aao utho neend se jaago Azaad huwi qaid se, mai jaati hun ghar ko Milne chalo Sughra (sma) se (2) ke ab khul gaya zindaan Ghar jaane ka armaan tha Sakina (sma) ko jo REHAN Marke bhi na pura huwa us bachi ka armaan Masoom Sakina (sma) ka (2) markhad bana zindaan ***********************

NAWHA#49
SEHZAADI BIBI SAKINA (SMA)

AZADAROON DUWA MANGO’O, KOYI AISE YETEEM NA HO, JAISE SAKINA YETEEM HUWI,
SHAM-KE ZINDA’AN MEI- JAB SAKINA (SMA) KO BABA KA SAR MILA…., LIPTAA-KESARKO SEENA SAY, BACHI NE YE’E KAHA, KHAGAYE SHA’AM KE ZINDA’AN MEIN, ANDHERE BABA (2) Kisko kehte hai yetimi ye, suna tha maine, Aap-ke baad ye ehsaas huwa hai baba Aap ke baad yetimi ki saza paayi hai, Etni tanha hun ke saaya hai – na parchaayi hai, Raath ro-roke guzarti hai, To din maatam mai, Khayd khane mei yuhin sa’al kata hai baba. Zindagi meri dukhoon say hai ibarath baba, Kaisi qismat ne dikhaayi hai musibath baba, Mai jo rotii hun to lagte hai tamache baba, Aap ki yaad mei rona-bi saza hai baba. Hai.. Ashk aankhoon say nikalte hai, Lahu kaano say, Ab darindoon say nahin khauf, hai insaanoo say, Ek majbur yetimaa par – sitam dhaate hai, Meri taqdeer mai duroon ki jafaa hai baba. Aap ki tarha say rooute hai ujaale baba, Kaun zindaan say ab mujko nikale baba, Tune manga’a tha duwa-O-mai khuda say jisko, Ab wohi beti hai zindaan-ne jaafa hai baba. Kitne armaa-the-ke zindaan say mai ghar jaaungi, Aisa lagta hai yehi roo-roo-ke marjaungi, Ye sitamgaar Sakina ko kafaan kya denge, Kya kafan aapke lashe ko mila hai baba.
Hai.. Baba kehte hai ye zindaan ke andhere mujse, Maut hi aayegi ab mujko, dilaasay denay, Meri har saaans hi rehti hai sitam ki zad par, Aise jeene say to marna-hi bhala hai baba. Zakm lakhoon hai kalaije mai, dikhaun kaise, Mujpe jo beet rahi hai O, bataun kaise, Pyaas lagti hai-to peelay-ti hun aansoon apne, Shimr (la) ke duray Sakina (sma) ki giza hai baba. Lafz “MAZHAR” ne jo likhe hai, Lahooo roote hai, SHADMAN aankh say yun ashk-e-aza behte hai, Aisa lagtaa hai ke zindaan say, sada aati hai Aisa nawha meri ghurbath pay likha hai BABA.. ***********************

NAWHA#50
SEHZAADI BIBI SAKINA (SMA)

HAAYE SAKINA (6) SHAB KI TAREEKI MEIN AKSAR’R, ZINDAANE SHAM MEIN GHABRAKAR’R SHIMR KE DAR SE, YAADE PADAR SE, MAA SE LIPAT KAR Kehti thi sakina ro ro kar, Ay amma yahan se riha ho kar, Ya najaf chalo – Ya watan chalo Koi sunta nahin faryad meri, (Hai zakhm bada is dil pe yahi x2) Dada se kahungi ghum apne,
Jis roz yahan se jaaoungi Kab tak mein rahungi naw’hagar, Kehti-hun jab-hi to mein aksar Dada ki lahad par jaoungi, (Ye neel unhe dikhlaungi x2) Ye zakhmi kaan jala’a kurta, Sughra ko dikhane jaaoungi Yaad aye kabhi mujhko khwahar, Yaad aye kabhi dada haidar Jo bibi payambar zaadi hai, (Wo bhi to yahaan faryaadi hai x2) Yasrab ke tasawwur ne amma, Ek rahe sukoon dikhlaati hai Ho khatm aziyyat ka ye safar, Bhar jaayenge sare zakhme jigar Ab aur ghamon ki tab nahin, Ro-roke ye ankhe khushk huwix2 Kya tum ko gawara hai amma, Ban jaye meri marqad bhi yahi Kuchh khauf nahin marne ka magar , Ehsaan karo itna mujhpar Har raat huwi matam mein basar, (Har din hi guzara ro-ro karx2) Ye zakhme aseeri zakhme jigar, Zalim ke tamaache yaade pidar Milti hai saza-e-maut agar, Ye akhri khwahish hai maadar Azad parindoon par aksar,
(Ay amma meri jaati hai nazar x2) Us waqt khayal a’taa hai mujhe, Kab qaid se chutkar jayenge ghar Hai khouf lainoon ka dilpar, Faryaad karun kyu na rokar Ankhon ko rasai dene lage, (Sab zakhm duhayi dene lage x2) Jab mout mere sar par aayi, Ye log rihai dene lage Ye lamhe ghaneemat hai maadar, Ye zakhm banenge rakhte safar Dada ko wahaan pursa denge, (Phir fateha khani karlenge x2) Jab dil ko sukoon miljayega, Ham log watan ko jaayenge Sab royenge qabre zehra par, Jo meine kaha socho manzar IRFAN aur MAZHAR apna watan, Hai bibi sakina ka madfan x2 Nisbat he najaf ki matti se, Payenge usi dharti ka kafan Jab waqte qaza hoga humpar, Kehdenge farishto(n) se rokar ***********************

NAWHA#51
SEHZAADI BIBI SAKINA (SMA)

SAKINA UTO. MERI JAAN UTO. Reha-yi mili. chalo ghar chale (2)
Ye Karti thi maa, lehad par buka, Meri la’adli, Chalo ghar chale. Sakina uto. Meri jaan uto. Rehae mili. Chalo ghar chale (2) Yaha se chalo, chale karbala. wahi pe tumhe, milenge chacha Sitham jo huwe, batana unhe. Dikhaana unhe, ye kurta jalaa. Chacha-jaan ko, dikhana zara, Ridaa khun bhari, chalo… Bataana unhe, sabhi sakhtiya. Mili jis khadar, tuje gud-khiyaan Hamari rida, luti kis tarha. Chini jis tarha, teri baaliyaan. Bata’ana une, buji kis tarha, Teri tishnagi, chalo ghar chale. Padar se milo, to dil joee ho. Bataana unhe, bahoth rooyi ho. Kasam lo agar, tumhare bina. Sakina kabhi, kahin sooyi ho. Lahad baap ki, mile jab tujhe, To kehna yahi, chalo ghar chale. Lahad jab mile, tujhe bhai ki. To kehna use, meri ladli. Rehaee mili, hame kaid se. Hame ab nahi, aziyath koyi. Mere be zaban, uto ghar chale, Shabi-he nabi, chalo ghar chale. Labe al-Qama, tu karna fugaa. Teri mouj hai, abhi tak rawa. Meri pyaas par, huwe jo fida. Chacha ke mere, hai baazu kaha. Kahaa mashk hai, kahaa hai alam, Kahaa hai jari, chalo…
Na ab gham koyi, na uftaad hai. Wo zanzeer se, ab aazad hai. Puphi bhi teri, tere sath hai. Tere sath hi, wo Sajjad hai. Meri gham zadaa, shabe gham kati, Sahar ho chuki, chalo… Labo par tere, yahi baat thi, watan jayenge, kabi ham puphi Tuje shimr ka, nahi khouf ab. Satayenge na, tuje ab shaki. Nikal qaid se, shuru ham kare, nayi zindagi, chalo gar chale. Gharibo ka ye, luta khafela. Wida ho ke phir, watan jayenge. Tuje payengi, jo Sughra teri. To bimar ko, milengidawa. Gale mil ke phir, bohoth roengi, wo behna teri, chalo.. Mazar-e nabi, laraz jayengi. Bahen jab teri, karengi bukaa. Kaha hai chacha kaha hai padar, kaha hai bata bhara ghar mera Suna ne use, ye rudaad-e gham, Yehi bebasi, chalo ghar chale. ***********************

NAWHA#52
SEHZAADI BIBI SAKINA (SMA)

JAB QAYME ME RUKSATH KO SHAH-E-BAHROBAR AYE Chilaee Sakina Mere bekas padar aye Sheh keh-e the bibi hame ro kar na rulaawo
Phir pyaar kare ham tumhe, mu aa’ge ko lawo O kehti thi hamrah mujhe leke-to jawo Mai kya karun maidan me, gar-jaa ke na aa’wo Neend aayegi jab aap ki bu pa’awungi baba (2) Mei raat ko maktal me (chali aa’wungi baba-2) Neend ayegi jab aap ki bu pawungi baba, Chali awungi baba (2) Farmaaya nikalti nahi sayedaa’niya bahar Sine pe sulayengi tumhe raat mai madar Kyu kehti ho maktal me chali awungi baba, Mai raat ko maktal mai chali awungi baba (2) Nanhe se kalay-jay pe mere chalti hai talwar, Khulta nahi kyu aap ne bandhe hai ye hathyar, Mai aapko khoker na kabi paa’woungi baba Mai raat ko maktal mai chali awungi baba (2) Aati hai bala sarpe to pehle muje varo, Mar jawongi baba na sidharo na sidharo, Jao’oge jahan mai bhi wahin ja-oungi baba Mai raat ko maktal mai chali awungi baba (2) Shab hogi to phir khaak pe soengay wahan aap, Sine pe to Asgar (a.s) ko sulayenge waha aap, Acha mai wahi khakh pe so ja-ungi baba Mai raat ko maktal mai chali awungi baba (2) Aane do agar pyas se gash ayega baba, Tum jeetay raho pani bhi miljayega baba, Mai aap ko dekhungi to ji-ja-ungi baba Mai raat ko maktal mai chali awungi baba (2)
Kuch door na the ham ke tumhe neend na ayi, Kiya hovega jab hogi mahino ki judaayi, Bibi na kaho mai nahi so pa-ungi baba Mai raat ko maktal mai chali awungi baba (2) Woh hal ANIS ab nahi ho sakta hai markum, Jis tarha chuti baap se woh dukhtare mazlum, Nawha tha yahi jiska na ji pa-ungi baba, Mai raat ko maktal mai (chali awungi baba)-2 ***********************

NAWHA#53
BIBI SAKINA (SMA) & HAZRATH ABBAS (AS)

SAKINA (2) NA RONA SAKINA (4) Abbas na ab lout ke ayega Sakina (3) Abbas na ab lo’ut ke aayega Sakina’a… (2) Ab koun tere naaz, uthayega Sakina Bhaayi se vida hoke-yun, farmaate-thay Maula (2) Ab koun mere ghar ko bachayega Sakina Kya hoga zara der mein malum hai humko (2) Tar khoon-mein alam nehr-se aayega Sakina Ek shoor hai, koh-raam hai, Bibi labe dariyaa (2) Lagta hai ke ab sher na aayega Sakina Talwaron-me-naizon mai ghira hai mera bhaayi-2 Woh mashk-O-alam kaise bachayega Sakina Abbas na honge tera, Baba bhi na hogaa (2) Ab koun teri pyaas bhujayega Sakina
Kiske liye Bibi daray-khaima pe khadi ho (2) Ab koyi taraayi se na aayega Sakina Abbas ka wada hai-ke, paani na piyegaa (2) Pehle tumhe kausar me pilayega Sakina Ay “SARWAR-O-REHAN” ye kehte rahe maula (2) Ye gham tujhe ta hashr rulayega Sakina ***********************

NAWHA#54
SEHZAADI BIBI SAKINA (SMA)

(HAAN YE HAI SHEHR-E-SHAAM) X3 CHOTI SHEHZAADI KA HAI YAHIN PAR QAYAM, AAJ ROZE PE HAI ROSHNI SUBHO SHA’’AM, PURSA DAARON KA HAI MAATMI AZHDAH’’AM, PHAT RAHA HAI JIGAR SOCHTA HUN AGAR’’’’, KAISA TAREEQ THA’’’’’, KAISA WEERAN THA’’’’’, KAISA WEERAN THA, KAL YE ZINDAAN THA’’’’’’, (BADA ROYI SAKINA YEHAN x2), (HAAN YE HE SHEHR-E-SHAAM x2) Itni wehshat ke ik pal na guzre jahaan…. Chheekti ho jahaan sirf tanha-iyan Rona kya siskiyon par bhi pa-bandiyan Rassiyon bediyon tauq ke darmiyan Sar khule khaak par ghamzada bibiyan Usmein Qasim ki Akbar ki Asghar ki maan Maang ujdi huwi khali thi godiyan
Sab ki himmat bandhati thi Zainab jahaan Haan isi shaam ke beech bazaar mein Bibiyan patharon ki thi bochhar mein Khun mein dubi Muhammad ki thi betiyan Har taraf shaam mein jashn ka tha samaan Dekh kar binte Zehra ka yun sar khula Noke neza se ghazi ka sar girgaya Haye ghazi ki ghairat ka ye imtehaan Sar patakne lagi saari shehzadiyan Ek qayamat si darbar mein aagayi Jab sakina kaneezi mein mangi gayi Na padar na chacha bhai-bi natawan Todi Sajjad ne ghaiz mein bediyaan Dukhtare hind boli sakina bata Kaise daman jala kyun hai kurta phata Oudni teri sar ki gayi hai kahan Khainchi-kis shaqi ne teri baliyaan Boli kya haal apna bataaoun tujhe Chhod ke jabse baba gaye hein mujhe Mein yateem hogayi aur kya ho bayaan Meri gardan mein bandhi gayi rassiyan Aur ik roz zindaan rone laga Jab sakina ko baba ka sar milgaya Boli ab aye ho tum mere baba jaan Itne din duur mujhse rahe ho kahaan Royi “REHAN-O-SARWAR” ki ankhein lahu
Roza-e-shahzaadi pe ki guftagu Haye is waqt hum tum khade hein jahaan
Nur hi nur hai kal thi tarikiyan
***********************

NAWHA#55
SEHZAADI BIBI SAKINA (SMA)

KYA MUJHE CHOD KAR SAB CHALE JAYENGE HAAYE AMMA, ARE SUNO AMA, Aray aapse mei bayaan, dil ka haal karun, Aray dil mei uth-ta hai jo, ik sawaal karun Qaid se jab rihaai haram paaenge (2) Kya meri qabr pe phir nahi aaenge (2) Sirf ranjo alam (2) mujhko tadpaaenge Kya mujhe chod kar sab chale jaaenge…. Kya isi qaid mei gut ke marjaaungi, Kya mei do gaz kafan bhi nahi paaungi, Mailay kurte mei kya mujhko dafnaaenge Sarse paaun talak mei lahu mei hu tar, Mera zakhmon bhara ye badan dekh kar, Sirf zaalim nahi zulm pashtaaenge Shaam waale karenge abhi kuch sitam, Mujhko khaae chala jaa raha hai ye gham, Ye meri qabr pe shimr ko laaenge Dekh kar zakhm baba ke ghabraayi mei,
Hashr mei baap ke paas jab aayi mei, Dekh kar mujhko baba bhi ghabraaenge Karbala hai kahaan aur kahaan shaam hai, Na mujhe chain naa unko aaraam hai, Woh mujhe karbala roz bulwaaenge Karbala jaake baba se ye puchna, Hashr mei unse jab ho mera saamna, Kya mujhe apne sine se liptaaenge Kehna sughra se apna chaman milgaya, Ho mubarak tumhe to watan milgaya, Hashr tak ham musaafir hi keh laaenge Shaam mei hi meri shaam hojaaegi, Ye kahaani agar aam hojaaegi, Baap beti se kab pyaar farmaaenge Ham na funkaar hai aur na ehle kalam, Hai ye FARHAANO SHOUKAT pe unka karam, Hamse shabbir nauha kehel waaenge Kya mujhe chod kar sab chale jaaenge…. ***********************

NAWHA#56
SEHZAADI BIBI SAKINA (SMA)

ZINDAN KI TARIKIYOON MEIN, Apne sine se lagaaye huwe shabbir ka sar Sakina kehti thi…, baba (2) suno mera safar
Are sab ke the shaane bandhe-Mera bandha tha ghala (2) Mei panjo pe chalti rahi baba (3) Aap se kaise kahu, kaise kata wo safar, Aal-e-payambar chali rote huwe nange sar Aap chale neze par, kanto pe bhaayi chala…. (2) Mere phuphi raah me ashk bahati rahi, Zulm rulaate rahe dhoop jalaati rahi Zakhm mere pawo ka dhoop se jalta raha….. (2) Maa’zi ke kuch waqiye yaad jo aye mujhe, Sine pe kaise mujhe aap sulaate rahe Yaado mei yu kho gayi bhul gayi har jafaa… (2) Sabr ka daman mere haath se chuta nahi, Neze se kya aapne baba ye dekha nahi Kichti rahi reesima chalta raha kafla….. (2) Ankh barasne lage kalb huwa nawha ghar, Aya nazar jab muje neze pe asghar ka sar Roti rahi mei use, wo mujhe rota raha (2) Tumko kafan dediya reyt kei tufaan nei, Baalo se parda kiya meri phuphi jaan ne Aur mere dard ka koi madaawa na tha (2) Raah me ammu ko jab dekha to maine kaha, Kholdo meri rasan goud mei leylo chacha Dekhke rote rahe meri aseeri chacha (2) Chen mayassar mujhe aa-na-saka ek pal, Zakhmi gala hogaya aur mere paaun shal
Raat safar mei kati din bhi safar mei kataa (2) Baba madine ke wo din bhi mujhe yaad hai, Sabz amari mei jab beyt ke jaati thi mei Aaj zara dekhiye, kaise safar tay-kiya (2) Ek rasan mei bandhe chothe bado ke ghale, Lasho pe rote huwe karbobala se chale Haal mera dekh ke rone lagi karbala (2) (Mei panjo pe chalti rahi baba) x3 ***********************

NAWHA #57
SEHZAADI BIBI SAKINA (SMA)

EK BACHI PHOOL SI JIS KA SAKINA NAAM THA, Ro rahi thi shaam ki rahon mein wo karke buka…. Karte the tum kitna pyar baba Ay mere naiza sawar baba (3) Chal nahi sakti Sakina raaste dushwar hai. Aabley hein pawon mai or aab-lo mai khar hai. Ankh hai nam dil figaar baba. Nile hein rukhsaar mere, aur gale mai hai rasan Tashnagi be waarsi lachargi or be watan Ek hai dil gham hazaar baba. Aap ke sine pe baba chein se soti thi mai Aap tadapte jo kisi bat pe roti thi mai Roti hu zaaro khatar baba. Be rida sab bibiya hai shaam ke bazaar hai
Zabt ka-yara nahi hai sabr bhi dushwar hai. Sabr ke parwardigar baba. Milna sakungi kabhi mai aap se ay baba jaan Aap ka roza banenga karbala ke darmiyan Shaam me mera mazar baba. Yaad isi baat pe ata hai ghar aksar mujhe. Aaj kaneezin mai bula ta hai sitamgar mujhe. Koi nahi gham guzaar baba. Kha-tithi jab bhi tamache shimre (la) sitamgar se Aap ke chehre ke simth be kasi aur yaad se. Dekhti thi bar bar baba. Koun hai pursa ne-haal pyaas buja yenga koun Baliya meri sitamgaron se dilayenga koun So gaye sab jaa-nisar baba ***********************

NAWHA#58
SEHZAADI BIBI SAKINA (SMA)

ASHUR KI SHAB HAI SAKINA KA WO RONA. Aur sayyade mazlum ka beti se yeh kehna Are tu rooye, me yeh dekh nahi, sakta Sakina. (Achi nahi ye baat na roya karo bibi) (Pehlu me kabhi maa ke bhi soya karo bibi) (Achi nahi ye baat na roya karo bibi) Kya howe kisi shab ko jo ham ghar me na aaye Tum hamko na pao tumhe hum bhi nahi paye Tadpoogi nahin dard se wada karo bibi
Are bay-ta karo kuch der chara-go ko bujha kar Samjha karo is khaak ko ay laadli bistar Baali kabhi yuhin nahi pehna karo bibi Are kuch der to yeh farz karo ham na rahe gar Baaki na rahe haath koyi rakhne ko sar par Ma-howl yateemo ka bhi socha karo bibi Aadat zara tanhaayi me rehne ke bhi dhalo Tasweer tasawur mai asiri ki banalo Aazad parindo ko na dekha karo bibi Are Asghar ko na manoos karo pyaar se apne Akbar ki urusi ke na dekha karo sapne Sugra ki karib itna na baitha karo bibi (Achi nahi ye baat na roya karo bibi) (Pehlu me kabhi maa ke bhi soya karo bibi) (Achi nahi ye baat na roya karo bibi) ***********************

NAWHA#59
SEHZAADI BIBI SAKINA (SMA)

SEEYAHA RATH MAI, ZINDAN KE DAR PAY RO RO KAY Sakina kehti hai, baba ye shab sata ti hai Judaayi aap ki, us par ye khaak ka bistar Kahin andhaire mai bachoon ko neend aati hai Ye sun kay Zainab-e-mazloom boli gham na karo Kahani kehti hu may ek, suno Sakina suno
Sakina kahani suno, Sakina kahani suno EK SHAHENSHAH THA, HAAYE SAKINA, Ek shaheshah tha yasrab mai raha karta tha, Uska ghar O tha ke quran jahan utra tha, Dar pay Gibreel sa darbaan raha kartha tha, Us ka angan bhi sitharoo say bhara rehta tha, Uskai darwazai say khali na koyi ja-ta-tha, Asmaan us ki sakhawat ki qasam khata tha Uskai baba ko dar-e ilm kaha jata tha, Maa nai Shahzaadi-E-Qawnain laqab paya tha, Us kai baitoon mai nazar aks-e Nabi ata tha, Baitiyoon ko gule paakiza kaha jatha tha, Us kai ek bhai ki rag rag mai wafa behti thi, Ek bahan sath me saaye ki tarha rehthi thi EK DIN KYA HUWA, HAAYE SAKINA, Ek din kya huwa, O ghar se safar par nikla, Uska sab kunba bhi quran ki hifazath ko chala Ashkiya nai usai phir dashtai bala mai ghaira, Teen din tak use pani bhi maiyasar na huwa, Ho gayi aam har ek joro jafa us kai liye, Aur phir jung ka maidan saja us kai liye Us kai ek bayte kai sinay me sina toot gayi, Bhaayi kay haath katay, teer laga, mashk chidi, Laash pamal bhati-jay ki bi maqtal mai huwi, Bay zuban qatl huwa, khasta churi us pa chali, Us shahenshah kai kunbay pai ghareebi chayee, Bujh gaye sarai diyai shame ghariban ayi
Khaymai jalnai lagay nazdeek sitamgar aaye, Us shehanshah ki bachi nai tamachai khaye, Kaan zakmi huwe khoon ankhon se tapka haaye, Dhundnai baap ko maqtal mai O kaise jaye Jaltai daman ko liye ganjai shahidaan mai gayi, Rasi gardan mai bandi sham kay zindan mai gayi PHIR SAKINA NAI KAHA, HAYE SAKINA, Phir sakina nai kaha rehtai hain wo loog kahan, Boli Zainab kai huwe sab wo aseeray zindan, Khisa akhir huwa neend aayi na tumko meri jaan, Boli ro ro kai Sakina phuphi ab neend kahan, Tum to kehti thi kahani suno neend aati hai, Is kahani say meri neend udi jaati hai Boli ro ro kai Sakina ye mera khis-sa hai, Is kahani ka shahanshah mera baba hai, Naiza jis-ke laga seenay main mera bhayya hai, Mera Asghar hai la’eeno nai jise mara hai, Be rida tum ho phuphi jaan meri jaati hai, Ye kahani to merai ghar ki nazar aati hai Jisko seene pe shahenshah kai neend aati thi, Dasht-e main haye chacha keh kai jo chillati thi, Jiskai kaano say laho behta tha jo pyaasi thi, Apnai baba ki judaayi main mari jati thi, Us shahenshah ki beti wo Sakina mai hun, Jis ka dushwar huwa qaid main jina mai hun Khatm jab SARVAR-O-REHAN kahani ye huwi, Wo jo sunti thi kahani wo Sakina na rahi, Thame zanjeer naa qahath se utha ek qaidi, Ek nanni si lahad ka’apte haatho se bani,
Sar shahenshah ka goudi me lahu rota tha, Wa hussaina ka bas ek shor bapaa hota tha SAKINA KAHAANI SUNO ***********************

NAWHA #60
SEHZAADI BIBI SAKINA (SMA)

Jab shaam ke zindaan mei huwi, shaam haram ko Ik aan-na raahath thi-na araam haram ko Har baar tapakta tha lahu, ash-ke rawaan se Zindaan larazta tha (2) Sakina ki fugha se Allah jaane, kaha ho ay baba (2) Baba kitni raathe guzar gayi baba, Allah jaane, kaha ho ay baba CHOTE SE SIN MEI QAYDI-YE ZINDAAN HOGAYI (3) Baba mei kyu na aap pe (2) qurbaan hogayi Allah jaane, kaha ho ay baba (2)
Dil mei jo mere dard hai khaliq ke hai ayaan
Kisko kahun mei baap mere, baap hai kahaan Tum be-kafan mei be-saroo samaan hogayi
Kya kya na khalq karne hakarat se behgayi
Mei bekasi se dekhke muh sabka rehgayi Kurta phata huwa meri pehchaan hogayi
Gar aah ki to shimr pukara khamosh ho
Aur chup huwi to be-padari ne kaha ke ro In afatoon mei girke pare-shaan hogayi
Be jurm kaan zakhmi huwe aur tamache khaaye
Jo chaahe mujh falak ki sataayi ko phir sataaye Shehzaadi-e-Hussain ki ye shaan hogayi
Sadke gayi bataawo kaha hai mere padar
Aaye padar to jaaye Sakina bhi apne ghar Kyu aise zalimon ki mei mehman hogayi
Poothi hun uski, jo ke hai kohnain ka ameer
Jisne hazaroo qayd-se chud-waa-diyey aseer Ummat nabi ki dekhke anjaan hogayi
Jab sarpe shah-e-deen ke Sakina ne ki nazar
Chillaayi roke haaye gazab mar gaye padar Baba ke sar ko dekhke hayraan hogayi
Mu rakh ke mu pe shaah ko royi jo dil fighaar
Sadma huwa nikaalne lagi tan se jaan-e-saar Nanhi si jaan jaan se bejaan hogayi
Bas ay “ANEES” bazm mei hai giryaa-o-buka
Sadiyoon talak rulaayenga sabko ye marsiya Bali sakina qarb ka unhwaan hogayi ***********************

NAWHA#61
SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)

BAAD-E-SHEH ZAINAB-E-DILGEER NAY KYA KYA DEKHA Haq paraston ka wafadaron ka aur pyaron ka (2) Shah-e-lowlaak pe chalte hue khanjar dekha
baad-e-sheh…. Chaadaray cheen ke kuf-faro nay loota ghar ko (2) Sar barehna shahe aulaad ka kumba dekha Shimr ne chenay gowhar mu pay tamachay maaray (2) Khoon kaano se Sakina ka tapakta dekha baad-e-sheh…. Ek rasan may kiya paaband bade choton ko (2) Tauq-O-zanjeer may beemaar ko jakde dekhabaad-e-sheh… Haaye jis shehr mai shehzaadi kahi jaati thi (2) Khud ko is koofay may, bay-makna o chaadar dekha baad-e-sheh…. Qaid may margayi ghut ghut ke sakina aakhir Markhad ek chota sa zindaan may banta dekha (2) baad-e-sheh…. Haaye shabbir nay aur zainabo kubra nay ANEES (2) Waqt ke saath zamanay ko badalta dekha baad-e-sheh…. ***********************

NAWHA#62
SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)

YA ZAINAB-E-KUBRA (Ya zainab-e-kubra) x6 Ay bibi baniye aza, pegham karbala tera, jisne suna yahi kaha
Tegh khutbo ki barsare darbaar, Jaise chalti ho haideri talwaar, Kat ke ghirte the zalimo ke jigar, Jang-e-khaiber kiya teri lalkaar Ay bibi baniye azaa, dine rasool bach gaya, Quran ki thi ye sadaa Yaad ata hai shaam ka manzar, Bibi sarpe tere na thi chadar, Har taraf patharo ki baarish thi, Teri poshaak thi lahu me tar Ay B-B baniye aza, sadma tha ye bohot bada, Roya sare shahehuda Tune bacho ki di hai qurbani, haye re tera zokh imaani, Pyaase bhayi ki yaad me tune, khun bahaya hai ank ka paani Ay bibi baniye azaa, ye zabt hosla tera, neze pe ser pukaarta Tere dar par ye istighasa hai, Jo bhi farshe aza pe rota hai, Us pe saya kare tera ghazi, wo jo mushkil kusha ka beta hai Ay bibi baniye aza, hum momino ki ye dua, ashke aza ka waastaa Kitne makrooz matami hai tere, karza tu ghaib se adaa karde, Bibi tu to sakhi ki beti hai, Tu to muflis ko baadshaah kar de
Ay B-B baniye aza, tu innama tu hal ataa, kehta hai sar jukaa huwa Qaid be jurm jo hai matamdaar, misle mazloom aabide bimaar, Unko azaadiyo ka tohfa de, aaj tu misle haidare karrar Ay B-B baniye aza, hum ko hai tera asra ghairo-se mangna hai kya Tere bhaayi ne jaise rahib ko, saat bete ataa kiye phirto, Tu bhi hamsheer us sakhi ki hai, dede awlaad chahiye jisko Ay bibi baniye azaa, awlaad aisi kar ataa, ho wo bhi matami tera Waasta us aseer bachi ka, rassiyo me bandha tha jiska gala, Wo jo pyaasi thi mar gayi pyasi, koyi bacha na ab rahe pyaasa Ay B-B baniye aza, hai har sabil par likha, kehta hai khun bhayi ka Ay BB baniye azaa, humse na haq ada huwa, karde muaf-ye-khata ***********************

NAWHA #63
SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)

BHAYI MAI ZAINAB HU x 4 Pehchano mujko ay mere ghazi Zainab hu me bhayi (Bhayi me zainab hu) x4
Ye karbala hai jaagir teri (ham aye teri jagir me)x2 Marjaye zindan me hi Sakina (yehi likha tha takdeer me) x2 Pehchano mujko ay mere gazi…….. Zindan se chutkar mai aagayi hu (ranjo alam ki chadar liye)x2 Bazaar kufa me hai jo guzri (ankhoon me sare manzar liye) x2 Pehchano mujko ay mere gazi…….. Bhaya tumhari gairat ki khatir (balon-se parda karti rahi) x2 Chadar nahi thi sarpar jo meri (ek ek kadam par marti rahi) x2 Pehchano mujko ay mere gazi…….. Bazaare kufa se O guzarna (ehle haram ke salaar ka) x2 Bhaiya sajayaa tha ashkiyane (ek ek kona bazaar ka) x2 Pehchano mujko ay mere gazi…….. Bhaiya Sakina ko ek shaki ne (manga kanizi me jis ghadi) x2 Me binte zehra me binte haider (Bhaiya larazkar me rehgayi) x2 Pehchano mujko ay mere gazi…….. Kaisa andhera zindan tha wo (Jisme Sakina jaage gayi) x2 Baba chacha se mujko milado
(Maasuma roro kehti rahi) x2 Pehchano mujko ay mere gazi…….. Kurta jo uska khun me bhara tha (usko banaya maine kafn)x2 Jab dafn karte the usko Abid (tharra raha tha unka badan ) x2 Pehchano mujko ay mere gazi…….. *********************** NAWHA #64 EHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA) SHIYAA NE MAA NAWHA KUNA Kushta-shud sibte Rasulallah, Tere kanare furaath (2) Barbaad huwi mai. Hai wawaila. Luti gayi mai. Hai wawaila. Qaidi bani mai. Hai wawaila, Tere kanare furaath (2) Tere kanare, khayme hamare Afsos-e ye hai, lagne na paya Tu chup rahi thi, sar ko jukaye Badte alam se, lab par thi haye Malik-ke kausar, pani ko tarse Ankhoon se ansu, Zehra ke bar se Tere kanare, aaya jo ghar se Pyaase kay naiza, guzra jigar se Ghazi ke bazu, tere kanare Pani ki khatir, kat-ke gire thay Gham naak manzar, bhoolungi kaise Wo pyaas-e bache, be aab-e kuze
Pita to pitaa, kitna sa pani. Masum Asghar, sheh ki nishani. Baki hai ab tak, tish-na dahani. Kaise dikhaye, hai mez-baani Barchi jigar par, Akbar ne khayi. Sukhe labo tak, tu kyun na ayi. Zanzeer kisne, tujko pehnayi. Mar gaya pyaasa, Sughra ka bhaayi Mera to sab kuch, lut gaya ban may. Ek ek sipahi, mar gaya ran me. Teer laga Sarwar ke badan me. Ab hai judayi, bhaayi bahan me Be ghusle lashe, tere kanare. Chalis din tak, aise pade the. Ye bath koyi, ab tujse puche. Kya thi ada-wath, sibt-e Nabi se Shaam se lutkar, ayi hai Zainab. Daagh jigar par, layi hai Zainab. Sharminda tumse, bhayi ye Zainab. Kho ke Sakina, ayi hai Zainab ***********************

NAWHA#65
SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)

BARBAAD HUWI MAI ABA’AD HUWI KARBOBALA UJDA MADINA BARBAAD HUWI MAI (2)
ZAINAB KO NA’RAS-AAYA, MUHARRAM KA MAHINA BARBAAD HUWI MAI (2) Ek din tha, ke is sher-ki karti thi me shaahi , Or aaj-e tabahi x2 Be ghusl pada mor-e nabuwat ka nagina. Barbad-e huwi mai Kis lash pe roou kise chodum me baradar (Lashe hai bhathar) x2 Had ye hai-ke rone ki ijazat-e bhi mili na. Barbad-e huwi mai Asgar ka gala bhayi ka sar senaye Akbar (Sab gowhar o chadar2) Is dasht me lutaa gaya Zainab-e ka khazina. Barbad-e huwi mai Maye bina pehchan saki, bacho ke chehre (Bikhre huwe sehre x2 Hai khoon ke dariya me gharibo ka safina. Barbad-e huwi mai Ek aag hai khaimo me qayamat ka sama hai (ghazi tu kaha hai x2 Dekho to ridaa chin-e liya, shimr-e kamina. Barbad-e huwi mai Chadar chini, dur lay liye ab zulman dhawo (Baba se milawo) x2 Neze ke tale bait-ke roti hai Sakina. Barbad-e huwi mai Paband-e rasan bibiya bazar-e khule sar, Har moud-pe pathar x2 Masum yatimo ka baha. Surkh pasina. Barbad-e huwi mai ***********************

NAWHA#66
SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)

HAI ZAINAB – HAI ZAINAB ITNI GHARIB HOGAYI GHAM YU LIPAT GAYE (2) ZAINAB KE EK LIBA’AS MAI DO SAAL KAT GAYE ITNI GHARIB HOGAYE GHAM YU LIPAT GAYE (2) Kya Kya ghuzar gayi he muharam ke chaand pai (2) Saydaniyo ke waqt achanak ulat gaye (2) Itni gharib hogaye gham yu lipat gaye (2) Zainab ka dil bhi kya tha ghamoo ki kithab thi (2) Ek dil mai us gharib ke sau gham simat gaye (2) Itni gharib hogaye gham yu lipat gaye (2) Hatho se maa ke khayme ka parda ulat gaya (2) Hatho pe shah ke jis ghadi Asghar ulat gaye (2) Itni gharib hogaye gham yu lipat gaye (2) Bole Hussain beti se pani na mangana (2) Jin bazuoon pe mashk the wo baazu katgaye (2) Itni gharib hogaye gham yu lipat gaye (2) Marne chale Hussain to rehwaar ruk gaya (2) Do nanne nanne hath sumo se lipat gaye (2) Itni gharib hogaye gham yu lipat gaye (2) Kaise utha sakege bhala laash ko Hussain (2) Aaza Hassan ke laal ke tukdoon me bat gaye (2) Itni gharib hogaye gham yu lipat gaye (2) ***********************

NAWHA #67
SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)

HAI HUSSAINA, HAI HUSSAINA (2) KEHTI THI ZAINAB, HAEY HUSSAINA (2) HO GAYI BARBAD YE BEHNA KARBOBALA MEIN (2) KEHTI THI ZAINAB, HAEY HUSSAINA Karbala Kuch Na Diya Karbo Aziyath Kay Siwa Merey Daman Mein Bacha Kya Hai Musibat Kay Siwa Karbala Tujh Say Mila Kiya Hai Qiyamat Kay Siwa (2) Subha-e-Ashoor Azan-e-Ali Akbar Ki Qasam Merey Bhai Pay Chaley Tir Hazaroon Payham Chup Rahi Karbobala Hotey Rahey Hum Pay Sitam (2) Mera Athara Baras Wala Jiyala Akbar Kha Gayi Usko Bhi Aai Karbala Teri Nazar Mainey Dekha Hai Usi Lal Ka Barchi Mein Jigar (2) Bhai Athara Thay Doo Betey Thay Koi Na Raha Ab To Tanhai Meri Deti Hai Mujko Pursa Kya Bhara Ghar Tha Mera Kar Diya Mujko Tanha (2) Mere Abbas Pay Kiya Guzri Bataoon Kaysey Mashk Eik Bharney Mein Doo Bazoo Qalam Ho Kay Gairey Uskey Marney Say Hai Mehrum Bahan Chadar Say (2) Bey Khata Qatal Howa Bhai Mera Jungle Mein Saikadoon Zakhm Kalejey Pay Lagey Ek Pal Mein
Aag Pani Ne Laga Di Hai Merey Anchal Mein (2) Merey Allah Mujhey Sham Talk Jana Hai Koi Bhi Apna Nahi Shehr Bhi Begana Hai Teri Khushnudi Mein Rassi Mein Mera Shana Hai X 2 Taa Qiyamat Rahey REHAN Aza-e-Sarwar Khooney Dil Behta Rahey Ankh Say Ansoo Ban Kar Yeah Sada Kanoon Say Takrati Hai Ab Bhi Aksar ***********************

NAWHA#68
SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)

ZAINAB TANHA, GHO’OR ANDHERA Mouth ka saya, badal banke sar par chaya Awaze tapoon ki ubri, kaun chala kaymo ki janib Tayz kadam se chalta aya, poch ansoo Zainab dekhi Dekheti kya hai uska baba,baap ke sine par sar rakh kar Bilak bilak kar, tadap tadap kar, aysa (rooyi 2) Naro Zainab naro, ha mere jigar ke tukde naro (2) Me kaise na rowun baba mai ujad gayi baba (2) Ha mera Akber, Ha mera Asger, Ha mera Ghazi Ha tera dilber, Ha me ujad gayi baba Ha ek din me, Ha ghar ujda, Na reh bhaayi Ho na beta, Ha me ujad gayi baba Ha me bekas, Ha me muztar, Ha pardesi Ha me bay ghar, Ha me ujad gayi baba Ha gaya Ghazi, Ha darya par, Ha gire bazoo
Ha kat kat kar, Ha me ujad gayi baba Sarwar pe, Ha chala khanjar, Me hogayi Ha be chadar, Ha me ujad gayi baba Ha mara hai, Ha aada ne, Ha pyaso ko Ha lashkar ko, Ha me ujad gayi baba Ha ek chadar, Me jab dekha, Ha Qasim ka Ha jab laasha, Ha me ujad gayi baba Ha zindan me, Ha jaana hai, Ha rasi hai Ha shaana hai, Ha me ujad gayi baba **********************

NAWHA #69
SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)

YE MAI HU MAI, MERI TANHAYI. YE TAMAASHAYI. Lo ayi gyaara muharram hai. Kya khabar layi. Chali hai janibe zindan tumhari maa jayi. Sawaar ham ne kiya tha tumhe mere bhaayi. Ab awo ya mujhe kehdo na intizaare karo (2) Utho Hussain bahan ko zara sawaar karo (2) Sawar humne kiya tha, tumhe dame rukhsath Lagaam thaamI thi maine, bahaa labe rikath Kahaa gayi wo muhabath, kahaa gayi chahath Amama apna mere sarpe, saaya baar karo (2) Watan se door hu kuch aur, door jaati hu, Utho utho mere bhaiya, tumhe jagaa thi hu, Koyi bhi aata nahi mai, jise bulaa thi hu,
Qaraar do mere mujko na, bekaraar karo (2) Safar Madine se kaisa tha, ye safar kya hai, Na mehmilay hai-na haudaj, na koyi parda hai, Hai sar pay khaak ye karbobala ka sehra hai, Na jee sakungi tere baad, etebar karo x2 Dare furath-pe, ay sown-e-waale jaag zaraa, Alam ke saaye me rukhsat, bahen ko kar bhaiya, Suna hai sakth katin hai, ye sham ka rasta, Behen ye raasta abbas se, naamdaar karo x2 Mein awoongi mere bhaiya, zaroor awoongi, Kafan udawungi markad, tera banawoongi, Jahaa bhi jawoongi farshe, azaa bichaawoongi, Mein khaid kaat ke lout awoo, intezzar karo x2 Ab awo ya mujhe kehdo na intizaare karo (2) Na jee sakungi tere baad, etebar karo x2 Utho hussaine bahan ko zara sawaare karo (2) ***********************

NAWHA #70
SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)

BHAAYI SHABBIR Lo chala karvaan khuda hafiz, Bhaayi shabbir fiamanillah, chali hamsheer fiamanillah (2) Zamin pe bikhre huwe noor is behen ka salaam (2) Badan darida o majboor is behen ka salaam
Chali hai tumse bohoth door is behen ka salaam Misaale Fathima har dukh me muskuraungi… Salaam umme abiha ke goudh ke paale, Salaam karte hai Zehra ke haath ke chaale, Salaam zulfe Muhammed se khelne waale, Padenge durre to mai sabr aazmaungi…….2 Ye gham nahi hai ke me sogwaar Qaidi hun, Abu turaab ki aur Fathima ki beti hun, Me is kaleje mai kuwwat Ali ki rakhti hun, Yazide (la) waqt ke khaibar ki mai giraaungi……2 Rahe wafaa ke bahattar masafiroon ki kassam, Labe furath sulagte huwe gharoon ki kassam, Sina ki nouk pe rakhe huwe saroon ki kassam Jalaale Hazrate Abbas banke jaaungi………2 Khushi se ehle sitham bandh le mere bazu, Banenge nuh ka tufaan ab mere ansuu, Na chhut sakegi ye khune Hussain ki khushbu, Me sar khule huwe darbaar-e-shaam jaungi……2 Nigaah janibe dariya uthi to itna kahaa, Mere diler Alamdaar fathaye dariya Tujhe khabar hai mere sarse chhingayi hai rida Tere alam ka pharera rida banaaungi……….2 Jo ponchi shaam to bazaar ko sajaa dekha, Kabhi najaf to kabhi sue karbala dekha Pukaari baba mera tumne hosla dekha Jahaa bhi jawungi farshe azaa bichaungi……2
Suna hai “SARWARO REHAN” khwahare shabbir
Ali ke lehje me karti thi jis ghadi takreer Yazeed-o-shimr (las) ke sine pe chalti thi shamsheer O jab ye kehti thi wade ko me nibhaaungi ***********************

NAWHA#71
SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA) (SHAAM KA BAZAAR)

(PARDA DUNIYA KO SIKHANE WALI AAYI BAZAARON MEIN ZAINAB x 2) GHAR SE BAHAR BHI NA AANE WALI (2) AAYI BAZAARON MEIN ZAINAB PARDA DUNIYA KO SIKHANE WALI AAYI BAZAARON MEIN ZAINAB Jisne baba se chuda-e-the kayi baar aseer (2) Qaidi azaad karane wali (2) Aayi bazaaron mein Zainab Jalte Khaimon se uta laayi Abbas ke Ba’ad (2) Ali Aabid ko bachane wali (2) Aayi bazaaron mein Zainab Deen ki khaatir-ye bee-bi saalar bani (2) Banke Abbas dikhane wali (2) Aayi bazaaron mein Zainab Apne seenay pe Sakina ko zindaanon mein (2) Ba’ad bhaayi ke sulaane wali (2) Aayi bazaaron mein Zainab Nange sar pad-ti-rahi khutbe bazaaron mein (2)
Kasre dushman ko hilane wali (2) Aayi bazaaron mei Zainab Kufe aur shaam bhi saare-gaye ye baali johar (2) Azmate deen ko badane wali (2) Aayi bazaron mein Zainab ***********************

NAWHA #72
SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA) (SHAAM KA BAZAAR)

US WAQT JABKE ZAINAB, DARBAR ME GAYI THI, QA’ARI NAMAZIYO(N) SE, MEHFIL SAJI HUWI THI, ZALIM YE PUCHTA-THA. GHA’AZI TERA KAHAN HAI, BALO(N) SE MU(N) CHUPA’AYE, ZAINAB YE KEH RAHI THI, Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kahan x2 Majmaye aam me, bewatan be amaa(n), agaya karvaan Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kahan x2 Mai bhi hu(n) marziya, binte khayrun nisa, Mere lehje me hai, baba teri ada Naam zainab mera, tune jo rakhdiya, day de apni zubaa(n) Babajaan me rida mangti rehgayi, Bamo dar saj gaye, jee-teji margayi,
Halqaye shaam me, nam sunkar mera, margaya naatawa(n) Haath ka’ano pe hai, neel gaalo(n) pe hai, Aur nisha(n) jo sakina ke sha’ano pe hai Har nishan se yahi, aa-rahi hai sada, babajaan babajaan Shaame ashoor se, shaamo kufa talak, Maine manga nahin hai khira’aje fadak, Meri chadar se hai, meri maa ka suku(n), sunle zalim jahaa(n) Babajaan ye tera akhri tha bayan, Teri chadar bachayega ghazi jawaa(n), Margaya bawafa, chingayi hai rida, kehti hai bibiya(n) ABBASx9 Ruk na paya mere bawafa ka O sar, Nouke naiza se aane laga khaak par, Behn ko darbadar, dekhkar nange sar, seh na paya jawaa(n) Haath kano pe hai, neel gaalo(n) pe hai, Aur nisha(n) jo sakina ke shaano pe hai Har nishan se yahi, aa rahi hai sada, babajaan babajaan Kal thi Maa aaj mai-bhi hu(n) darbaar me, Misle Zahra khadi hu(n) me aghiyaar me, Us taraf hai shaqi, is taraf rehgayi, bepadar betiya(n) Aysa khutba diya mene darbaar me, Likhraha hai jo “YAWAR” tere pyar me, Lehjaye hayderi, har azaan ke liye, hai sadaye aza(n) ***********************

NAWHA#73
SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA) (SHAAM KA BAZAAR)

SAJJAD MAI ZAINAB HU MERE SAR PE RIDA KOI NAHI – BAZAAR–E–JAFA MAJMA HAI KUFIYOON KA MERE CHALNE KI JAA KOYI NAHI – BAZAAR–E–JAFA Sajjad mere sar-say nou bar chini chadar, Balway me nabi zaadi phirwayi gayi dar-dar Mil jaey rida mujh-ko, aur meri dua koyi nai, bazaar–e–jafa Sajjad chaloun kaisay lakhoon hai tamashayi, Yaad aata hay rah-rah kay Abbas mera bhaayi, Faryaad karun kis say, ab teray siwa koyi nai, bazaar–e–jafa Sajjad mere dil ko ye dard sata-tha hay, Sar ghazi ka naizey say jab khaak pe aata hai, Sar mera khula dekhey, gham is-se bada koyi nai bazaar–e–jafa Maloom hai aada ko, ghazi ki bahan hu mai, Bay-dast hai woh ghazi, paband-e-rasan hu mai, Yaad aayi wafa us ki, jab paas raha koyi nai, bazaar–e–jafa Majboor hu bay-bas hu mai ro bhi naheen sakti, Durroon ki aziiyat say mai so bhi naheen sakti, Is darja musibath mai hamdard mera koi nai, bazaar–e–jafa
Sajjad teri halath dekhi naheen jati hai, Bay parda mujhe dekhey ye baath rulaati hai, Sajjad teri tarha kanton pe chala koi nai, bazaar–e–jafa Mauth aaey-gi zindaan mai, meri bali Sakina ko, Kya jaakey bataoungi bimaar-e-Madina ko, Gham dil pe uthaney ko, ab baqi bacha koi nai, bazaar–e–jafa Jaata hai suwe zindaan ab kunba Muhammad ka, rassi me bandhey qaidi kanton say bhara rasta, ummat nay sitam dhaey qismat say gila koi nai bazar–e–jafa Bazar-e-sitam me tha Zainab ka ajab aalam, MAZHAR me likhu kaisey zalim nay kaha jis dam, Hay kaun tera waaris, Zainab nay kaha koi nai, bazaar–e–jafa Majma hay kofioon ka meray chalnay ki jaa koi nai bazar–e–jafa Sajjad me zainab hu mere sar pe rida koi nai, bazaar–e–jafa ***********************

NAWHA #74
SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA) (SHAAM KA BAZAAR)

BAAZAR KE MANZAR KO Aur apne khule sar ko bhuli nahi mai (2)
Apne bandhe haathoon ko, bimarke zewar-ko bhuli nahi mai Ut-thi huwi aandhi ko, wehshath ko bayabaan ko Chuptay huwe suraj ko, ta’areeki ko maidaan ko Chaltay huwe khanjar ko, naize pay teray sar ko Ik chand tha badli mei, chupta-tha nikalta-tha Parda dar-e-khaima ka, ut-tha kabhi girta-tha O khama-e-Laila say, hai rukhsat-e-Akbar ko Lehratay huwe naize, hai shimr (la) ka wo bhadna Aa-aa ke mere peechay, har bibi ka wo chupna Sholoon mei ghiray ghar ko, chinti huwi chadar ko Yaad ata hai ik maan ka, wo khaak mei das jana Aur aag kay sholoon mei, wo maa ka jhulas jana Jaltay huwe jhulay say, lipti huwi madar ko Masoom Sakina ko, badtay huwe naizoon ko Giste huwe galoon ko, bay reham tamachoon ko Giste huwe kanoo ko, Chin-tay huwe gowhar ko Jiss raat mei tanha thi, uss raat kay dhalnay ko Tootey huwe naize ko, uss raat kay pehray ko Bachoon ke sisakne ko, aur raat kay bistar ko Hai aaj bhi wo giriyaa, Hai aaj bhi wo zaari Hai aaj bhi pathar ke, Seenese se lahu jaari Rote huwe pathar ko, Pathar pe rakhe sarko, Bhuli nahin mai ***********************

NAWHA #75
BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA)

HAI BAZAAR-E-SHA’AM JAKAR’RR ZAINAB KO GHAZI YAAD AYA (3…) HAI BAZAAR-E-SHA’AM JAKAR’RR (2) ZAINAB KO GHAZI YAAD AYA (3…) Ankhoon se khoon jaari, sarpe rida nahin thi Zakmi haram ke dethey, kooyi dawa nahin thi Jab duray lage badan par (2) Zainab ko ghazi yaad aaya (3) Sadaath pa ba-rehna, kaatoon bhare thay raste Roote thay jab ye khaidi, be-dar-dilo ke haste Jab dekhi seena pe chaadar (2) Zainab ko ghazi yaad aaya (3) Humsheer royi uspar, taqdeer royi uspar Bimar jab-bhi royaa, zanzeer royi uspar Hai ghaliyoon mai barse pathar (2) Zainab ko ghazi yaad aaya (3) Jo malka-ye haya thi, raahoon mai be-rida thi, Ye souch-kar-hi Zainab, bas mehve marsiya thi Hai Sheereen ke ghar mai jaakar (2) Zainab ko ghazi yaad aaya (3) Isss-say badi qayamat kya aur hogi logoon Aabid ne apne sar ko, kyun na utaya souchoo O kehta tha bas ye rookar (2) Zainab ko ghazi yaad aaya (3)
Abbas ki behan par, ek aisa waqt aaya, Darbar mai sitam ke, Shimre (la) layin pukara Hai kaun shay ki khwaahar (2) Zainab ko ghazi yaad aaya (3) Nikli thi jab O ghar se, manzar O yaad aayaa, Nazre jhukaoo logoon, Abbas ne kaha tha Ab Shaam mai khule sar (2) Zainab ko ghazi yaad aaya (3) (At-tara (18) Bhaayioon ki humsheer, aur khule sar Ay log taras kha-oo, Zainab ko de-do chaadar Fiza jo boli rookar (2) Zainab ko ghazi yaad aaya (3) Darbaar mai gayi thi, ek roz Fathima (sma) bhi Lekin rida thi sar par, betoon say thi tasal-li Yaad aaya use ye manzar (2) Zainab ko ghazi yaad aaya (3) Guzri jo bibi-yoon par, kya Shaadman sunaaye, Mazhar mera kalaija, sadmoon say phat na jaaye Bas rooko khalam ye keh-kar (2) Zainab ko ghazi yaad aaya (3) ***********************

NAWHA #76
SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA) (SHAAM KA BAZAAR)

AGAYI BINTE ALI, BERIDA HAATH BANDHE
BHARRE BAAZARON MAIN Jiss ne suraj nah kabhi dekha tha
Ro-rahi hai voh gunahgaronh mai Kaun jaanay ke yeh hai kaun, rassan pehne huwe Berida roti hai Sajjad ke peeche chup ke Sisskiyanh dubi hain jiss Bibi kee Hai zanjeeron ke jhankaroon mai Hai Zahra teri kismath na-millah Haq tujhko Aise tazim teri ki hai mussalmanon ne Tera Haqq mangne aayi Zainab Ek menosh ke darrbaronh meinh Kahan Zainab aur kahan shaam ke logonh ka hajum Sarr barehana oonchee avaaz mainh khutbe padna Qatlay murrsal ka havaala de karr Chadare Mangna badh-karonh se Aag Khaymonh ko lagi aur thay Sajjad be-hosh Roro Abbas ko deti-thi sadaen Zainab Lutloo chaadare Sayyedaniyyonh ki Shor barpa tha sitamgaronh meinh Kiss tarha kaate Sakina raath Baba ke beghair Sogayyi Qaid se tanhhaee meinh rote rote Hitchkiyyanh dabb gayyee Massooma ki Hae zindan ke deevaronh meinh Jiss jagga Majlis-e-Shabbir ho barpa Akhtar Chhor Karr dukhiyya vahanh roti hai Zahra aa Karr
Baal Kholay huwe saar peet-thi hai Apne pyaaronh ke Azadaaronh meinh ***********************

NAWHA #77
SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA) (SHAAM KA BAZAAR)

ALAMDAR HAI ALAMDAR (3) Roti hai Zainab (Hai Alamdar), Pyasi hai Zainab (Hai Alamdar) Qaidi Hai Zainab (Hai Alamdar), Jati Hai Zainab (Hai Alamdar) Alamdar Hai Alamdar x3 Shaam chali teri behan be rida, Khafela salar hai Zainul Eba Choud ke maqtal me tujhe be kafan. J ati hu bazar mere ba wafa Khaid huwi dekh nabi zadiyan, Bazu-O-mai bandhi gayi reesma Dekh le Zainab ki zara bekasi, Koi nahi koi nahi paas baa Dard hai tanhaiyi hai faryaad bi, Hashre bapa hai dile nashad bi Lekay chale hai ye sitam-gar mujhe, Alvida ay bhayi teri yaad mai.
Yaad teri ayengi har gaam par, Kalb ko tadpayengi har gaam par Tujse juda hoke-ye teri behan, Kehte huwe jayengi har gaam par Dard se lachar behan kya kare, Mere Alamdar Behan kya kare Koi Nahi aaj mera dasht mai, Gham me giraftar behan kya kare Dilpe har-ek zakhmo ko sehte huwe , Sham talak jayengi rote huwe Teri judaai me mere ba wafa, Aaj sare dasht ye kehte huwe Baad tere dasht mai chadar chini, Nawha khuna mujpe huwi bekasi Tere bina kaise bhala jayengi, Shaam ke darbar mai binte Ali Loot padi aisi ke sab lut gaya, Ghar tere jane ke sabab lut gaya Wo jo bhara ghar tha tere samne, Aake zara dekh wo ab lut gaya ***********************

NAWHA#78
SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA) (SHAAM KA BAZAAR)

ZAINAB AAGAYI HAI SHAAM Meri rida ke pasbaan, Rida laake ke udaa-de (Khula hai sar, khule bazaar rida laake udaa-de) x3 Ay mere ghazi alamdaar, Rida laake ke uda de (Khula hai sar khule bazaar rida laake urha de) x3 Ye buturab ki beti ho kyu(n) na fariyaadi Agar wo touqo salaasil se paaye azaadi O mera abide bimaar, rida laake ke uda de Wo beridaayi ke sadme ko kaise jhelega Ye dard Abide muztar ki jaan lelega Guzar na jaaye dilafgar, rida laake ke uda-de Mujhe chhupale mere ghazi in nigaaho(n) se Sabeel aisi banaa koyi, thay-ho ye raste Na dekhe mujhko sitamghaar, rida laake ke uda de Ghareeb hoogayi umath ne di saza mujhko Tu dekh sakta nahi ghazi berida mujhko Sina se gir gahi farwa, rida laake ke uda de Tujhe sakina ke ashko(n) ki hai qasam ghazi Tamaam umr-mai phir tujse khuch na mangungi Ay ibne Haidere karrar, rida laake ke uda de
Tujhe to baba ne bakhshi hai masnade aali Sawali koyi tere dar se kab gaya khali Zamane bhar ke madadghar, rida laake ke uda de Kabhi jo ghar se nikalti-me saal me ek baar Tu ba’dke logo(n) se kehta tha, band karo bazaar Wahi behan wahi bazaar, rida laake ke uda de Sare hussain bhi rota hai nouke naiza par Padar bhi rote hai, nana bhi, bas yahi kehkar Khule saro(n) ke wafadar, rida laake ke uda de Sada ye shaam se aati hai “MAZAHAR-O-IRFAN” Tadap ke aaj bhi kehti hai Zainab-e-Zeeshaan Meri rida ke nigehbaan, rida laake ke uda de ***********************

NAWHA #79
SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA) (SHAAM KA BAZAAR)

BE RIDA SHAAM KE DARBAAR MAIN JAANA ZAINAB Zalzale aayenge us waqt zamin par paiham Chaadarein cheen ke le jayenge ban’iye sitam Aur balwey mein tamashai banay naa mahram Apne baalou hi-se mouh apna chupana Zainab Be rida shaam ke darbaar main jaana Zainab
Meri naadan Sakina ko na rone dena Baad mere koi takleef na hone dena Garm reti pa kabhi usko na sone dena Apne seene pe Sak’eena ko sulana Zainab Be rida shaam ke darbaar main jaana Zainab Gudkiyan meri Sakina ko jo de Shimre (la) layeen Seiliya maarne aaye jo usey woh be deen Khauf ke maarey nikal jaaye na jungle mein kahin Apni aaghosh mein tum usko chupana Zainab Be rida shaam ke darbaar main jaana Zainab Yeh luta karwan jis waqt Madinah pohnche Aake jo dukhtare bimar pidar ko pooche Aur be sheer ko jis waqt woh dukhiya dhoonde Meri Sughra ko kalaije se lagana Zainab Be rida shaam ke darbaar main jaana Zainab Khaafila ahle haram ka jo Madinah jaaye Aur asnae safar mein mera maqtal aaye Tumko fursat jo ghadi bhar ke liye mil jaaye Chand aansoo meri turbat pe bahana Zainab Be rida shaam ke darbaar main jaana Zainab Karbala mein jo mere ghar pe musibath guzri Aur baazaaroon mein tum par jo aziyath guzri Mukhtasar yeh hai ke jo kuch bhi qayamat guzri Saari rudaad meri maa ko sunana Zainab Be rida shaam ke darbaar main jaana Zainab ***********************

NAWHA #80
SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA) (SHAAM KA BAZAAR)

MAI RAAHE SHAAM SE GUZRI HOON BE-RIDA BABA ASEER-E-ZULM HOON ROTI HOON BE-RIDA BABA Tha bekafan tera Islam mai rida dekar Bala ke dasht se aayi hoon be-rida baba Sitham garoon ne sathaya hai taziyaano se Jo thak ke raah mein sooyi hoon be-rida baba Ado jo durre lagata hai mere Abid ko Mai dil ko tham kar bhaiti hoon be-rida baba Lahoo bahata hai ankhon se Abid-e-muztar Mai jab bhi kantoo pe chalti hoon be-rida baba Safar ki khaak ne balon ka kar liya parda Mai is ke baad bhi phirthi hoon be-rida baba Meri aseeri pay MAZHER ne yeh likha nawha Har ek lafz pe tadpi hoon be-rida baba ***********************

NAWHA#81
SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA) (RETURN TO MADINA)

Haay, zindaa(n) ki qayd kaatke, Jab Saniy-e-Zehra….. Ponchi watan to koyi bhi pehchaan na paaya Aray Abdullah ibne Jaffar-e-Tayyar ne poocha Tu koun hai kya naam hai tera ay zaeefaa Ye sunke fuga karnay lagi Saniy-e-Zehra, Are zauja hu aap ki mujhe pehchaano khudara Mei Awn-O-Muhammad ki maa hu (2) Pehchaano khudara (2) Mujko to jite ji gham-e-shabbir ne mara Mei Awn-O-Muhammad ki maa hu (2) Baalo ki safedi ka sabab pucho na mujhse, In ankhon ne dekhe hai sitham karbobala ke, Ghar lut gaya sara, pehchaano khudara, Mujko…. Chehre-se numaya jo mere karbobala hai, Ye haal to Abbas ke marne se huwa hai, Chuta wo saharaa, pehchaano khudara, Mujko…. Ek zakhm hai qasim ka mere kalb-o-jigar me, Jo chaand ujaalay ka sabab tha mere ghar mei, Wo bhi gaya maraaa, pehchaano khudara, Mujko…. Bas bhaayi ki matam mei rahi qayd bhi kaati, Leykin mei kabhi Awn-O-Muhammad ko na rowi, Ab deti hu pursaaa, pehchaano khudara, Mujko…. Bazaar mei Abid pe zaeefi huwi taari, Wo aaj bhi rota hai aseeri pe hamari, Ghamkhwaar hamaraaa, pehchaano khudara, Mujko…. Aray sadaat ke halke ne mujhe aake chupaaya, Jab shaam ke hakim ne mera naam pukaara,
Us ranj ne maraa, pehchaano khudara, Mujko…. Shiree(n) se mulakath huwi raah mei ek baar, Pehchaan nahi paayi mujhe wo-bi dilafgar, Dil roke pukaaraaa, pehchaano khudara, Mujko…. Sab ghayr kujaara hai damishkaar kuja mei, Karbal se chali hogaye khud karbobala mei, Zulmat ka safar thaaa, pehchaano khudara, Mujko…. “IRFAN” ye alfaaz jo “MAZHAR” ne likhe hai, Insaan tho kya cheez hai patthar ko rula de, Jaise ke ye jumla pehchaano khudara, Mujko…. Mujko to jite ji gham-e-shabbir ne mara ***********************

NAWHA #82
SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA) (RETURN TO MADINA)

NA MEHMIL HAI, NA HAUDAJ HAI, NA LASHKAR KI WO SAJ-DHAJ HAI, NA SARPE ALAM NA CHADAR HAI, ALLAH YE KAISA MANZAR HAI, MUSAFIRANE MUSIBATH, WATAN ME AATE HAI (2)
SAFAR SE AATE HAI SOU-GHATE DARD LAATE HAI
Kiya salaam Muhammed ke aastane ko, Lutaa ke aaye hai Zehra ke sab gharane ko, Na kar qabool tu hum bekaso ke aane ko, Ye nawha karte hai aur ashk khu(n) bahaate hai Madina hum tere waali ko aaye hai kho kar, Madina Kufe me sar nange hum phire dardar, Madina daaghe rasan hai humare shaano par, Utaa ke haath Madine ko ye sunaate hain,
Har ek kadam hai buka kab labo pe bayn nahin, Ham aye zindaa pa Zehra ka noor ayn nahin, Madina Akbar-o-Qasim nahi Hussain nahin, Ye kaise kaise jawaan the jo yaad aate hai Madine waalo kaho us behan ki kya taqdeer, Jo dekhe apne biradar ke halq par shamsheer, Lahu me ghark jo dekhe Hussain ki tasveer, Lahu me kya yuhi bhaayi ka sar dikhate hai Batawo kahte hai kya sab us amma jaayi ko, Jo arbaeen talak de kafan na bhaayi ko, Bahen dikhayegi mu(n) kis tarha khudaayi ko, Kafan diya hai na unki lehed banaate hai Chala bashir ye deta huwa khabar har jaa, Magar mehlaye hashim me dekhta hai kya, Ke ik mariza sare raah hai khadi tanha, Hai muntazir ke wo kunbe ke log aate hai Khabar ye phay-li to matham har-ek ghar me huwa, Nikal-nikal padi sab aurathe ba-rehna paa, Giri zamin pe Sughra ke uspe charkh gira Ye soghwaar hai Sughra ke paas ate hai Fiza-e-dard me lekar udaasiyaa aayi, Safar se lut ke idher bhukhi pyasiya aayi, Utho Rasul tumhari nawasiya ayi, Ye khud-ko uuntoon se ehle haram ghiraate hai
Jo aayi kaan me awaaze banu-e-muztar
Kahan ho ay mere wali imame jinno bashar, Tadap ke rehgayi sughra bapa huwa mehshar, “KABIR” bas ke-ab aflaq thartharate hai ***********************

NAWHA#83
SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA) (RETURN TO MADINA)

ROZE PE MUSTAFA Roze Pe Mustafa Ke Udasee Si Chaaie Hai, Kunbe Ku Khoke Zainabe Nashaad Aaie Hai Rokar Pukari Nana Aay Faryad Laaie Hoon, Mai Chood Kar Hussain Ko Jungal Main Aaie Hoon Nana Ajeeb Saanahai Ham Par Guzar Gaya Ranj-o-Alam Ne Gher Liyaa Hum Jidhar Gaye Nana Khudaa Kai Ghar Mai Na Hum Ku AmaanMili (2) Bhaaie Ne Shahar Chood Ke Jangal Ki Raah Li Nana Hamain Na Chain Mayassar Kahain Huwa Paani Bhi Bandh Hum Pai LayeNoon Nai Kardiya Nana Tumhari Aal Pai Kya Kya Sitam Huwai (2) Bachai Tadap Kai Mar Gaye Paani Kai Waastay Nana Shaheed Ho Gaye Bhayee Kai JaanNisar Ek Ek Kar Kai Mar Gaye Ashab-e-Zee waqar Nana Bala Kai Ban Main Qayamat Ka Run Pada (2) Bhayee Sai Bhayee Baap Sai Beta Bichad Gaya Nana Zameene Karbobalaa Laal Hogayi Qasim Ki Laash Ghoodon Se Paamaal Hogayi Nana Kataa Ke Shanon Ko Abbas Margaye (2) Ghurbat Me Bhaaijaan Ko Be Aas Kargaye
Nana Tumhari Shakl Ka Farzand Ek Jo Tha Khaa Kar Sina Jigar Mai Wo Mehru Bhi Chal Basa Nana Shaqi Ki Teer Se Asgar Huwa Shaheed (2) Aisa Huwa Na Hoga Jahaan Main Sitam Shadeed Nana Hussain Bay-kas-O-Bay Yaar Hogaie Aamada Qatl Karnai Ko Kuffar Hogaie Tadpai Jo Zair Khanjar-e-Bai Aab Shahai Deen (2) Shimre (la) Layeen Kai Zulm Sai Thar-ra Gayi Zameen CONTD… (2) ROZE PE MUSTAFA (Contd…. 2) Nana Hamare Ghar Ka Sab Asbab Lut Gaya Nana Hamare Sar Pe Na Baqi Rahee Rida Nana Hazaar Tarha Jafa Ki Layeeno Ne (2) Khaimo Mai haai Aag Lagaadi Laeeno Ne Nana Huwi Aseer Tumhaari Nawasiyaan Kauno Makaan Main Chaa Gayi Gham Ki Udaasiyaan Nana Haram Hussain Kai Bazaar Main Gaye (2) Hum Sar Barehna Kufe Ke Darbar Main Gaye Nana Tumhaari Aal Gayi Mulke Shaam Mai Pohnchi Ali Ki Betiyaan Darbaare Aam Mai Nana Haqeer Sahebbe Tatheer Hogaye (2) Ham Log Shehr Shaam Main Tash-Heer Hogaye Nana Aseer Bara Thai Aur Ek Thi Rasan Baandhe Gaye Thai Misle Gunahgaar-e-Khastatan Nana Hum Apne Haal Pe Roote Thai Zaar Zaar (2) Nana Hamaare Roonai Pe Haste Thai Badshaiaar
Nana Ajeeb Haal Hamaaraa Tha Us Ghadi Ek Bibi Pichhe Doosri Bibi Kai Chupti Thi Us Wakt Thar-tari Si Merai Tan Main Pad Gayee (2) Sad Haif Hai Zameen Main Zainab Na Ghad Gayi Etnay Mai Ek Shaami-nai Nana Ghazab Kiya Saidaani Ko Kaneezi Main Apni Talab Kiya Hoti Thi Laakh Zillaten Hum Dekhte Rahe (2) Hans Hans Ke Taaziyaane Sitam Jhelte Rahe Nanaa Tabaah Hoke Ham Aaye Hain Shaam Se Ek Daaghe Nau Sakina Ka Laaye Hai Shaam Se Nana Hamare Tan Pe Nishaano Ko Dekh Lo (2) Ab Tak Hai Neel Rassi Ke Shaanon Ko Dekh Lo Zainab Dekha Kai Shanoon Ko Jab Karrahi Thi Bayaan Tharaa Rahaa Tha Rouzae Sultaane Mashraqain Bas Khatm Kar NISAR Ye Ghamnaak Daastaan (2) Rotai Hain Is Alam Main Zameen Aur Aasmaan ***********************

NAWHA#84
SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA) (RETURN TO MADINA)

ROKAR PUKARI NANA YE FARIYAAD LAAYI HU MAI CHOD KAR HUSSAIN KO JUNGAL MA AAYI HU Nana Ajeeb Haadise Humpar Guzar Gaye Ranjo-alam ne ghair liye hum jidhar gaye
Nana khuda ke ghar may na humko ama mili Bhaayi ne shehr chod ke jungal ki raah li Nana Hamay Na Chain Mayassar Kabhi Mila Paani bhi bandh humpe laayeno ne kar diya Nana tumhari aal pe kya kya sitam huwe Bache tadapke reh gaye paani ke waste Nana Zameen-E-Karbobala Laal Hogayi Qasim ki laash ghodon se paamaal hogayi Nana katake shaano ko Abbas mar gaye Ghurbath may bhai-jaan ko be-aas kar gaye Nana Tumhare Shakl Ka Farzand Ek Jo Tha Khakar sina jigar pe woh mehru bhi chal basa Nana shaqee ke teer se Ashgar huwa shaheed Aisa huwa na hoga jahan may sitham shadeed Nana Hussain Bekaso Be-yaar Hogaye Aamada khatl karne ko kuffaar hogaye Tadpe jo zer-e-khanjar be-aas hogaye Shumr-e-layeen ke zulmo se thar-ra ke reh gaye Nana Hamare Ghar Ka Sab Asbaab Lut Gaya Nana hamare sar pe na baaqi rahi rida Nana hazaar tarha jafa ki layeeno ne Qaimo may haaye aag lagadi layeeno ne Nana Aseer Barah Thay Aur Ek Thi Rasan Baandhe gaye thay mislay gunehgaar qastatatan Nana hum apne haal pe rotay thay zaar zaar Nana humare ronay pe haste thay badshiyaar Nana Ajeeb Haal Hamara Tha Us Ghadi Ek bibi peechay dusri bibi ke chupti thi Us waqt thar-thari si mere tan may hoti thi Sadh hays hai zameen may Zainab na gad gayi
Nana Tabaah Hoke Hum Aaye Hai Shaam Se Ek daagh to Sakina ka laaye hai shaam se Nana hamare tan pe nishaano ko dekh lo Ab tak hai neel rassi ke shano ko dekh lo ***********************

NAWHA#85
SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA) (RETURN TO MADINA)

GHABRAYI HAI ZAINAB, AAYA HAI MADINA X3 Labraiz hai gham sey har bibi ka seena Ghabrayi hai Zainab aaya hai Madina x2 Ek saal guzara hei zindan-e-sitham mein Din baaqi guzaregi Zainab isi gham mein Maqtal mai hei Asghar, zindaan mein Sakina Aye ahle Madina tu khamosh hi rehna Zainab sey khudara to ek lafz-na kehna Jo sansein bachi hai khodey gi hazeena Ye soch key rooti hai, beemar hai Sughra Har farz ke baare mein ab pouche-gi dukhiyaa Eeeza na ho sun ke, marjaey hazeena Har baath batadoungi jab poochengi Sughra Baloun ki safedi ka bathlaoun sabab kya Tha is sey to behter zindaan mei jeena Jab pursa mujhe diengey sab loog vatan ke Kis tarha chupaoungi ye neel rasan key
Ahval safar ka kehdein ye kahin na Har zakham suna dega ahval safar ka Phat jaye na dil uska jab dekhegi Sughra Pay-shani-e-Sajaad ur surkh paseena Hujroun mein jo jaoungi mein Awn-O-Muhammad ke Is dil ko rulayeinge bachoun key khilone Dil shiddat-e-gham sey phat jaye kahin na Sab kuch to lutaa aayi pardes mein Zainab Mazlooma musafir ye, kya jee-key karey ab Bin bhaayi ke ab to dushvaar hei jeena Zainab key khayaloun mien aawaz ye aayi Mahmil sey uter kar jab Fizza ney sada di Dil tham lo bibi, lo aaya Madina Kehta hei jiger thaamey “FARHAN” tadap kar Roodad karo “MAZHAR” bas khatam yahien par Ghabrayi hei zainab aaya hei madina ***********************

NAWHA #86
SEHZAADI BIBI ZAINAB-E-KUBRA (SMA) (RETURN TO MADINA)

MARKHAD PE MA KE ZAINAB FARIYAAD KAR RAHI HAI-2 AMMA TERI KAMAYI – JUNGAL MAY LUTGAYI HAI-2
UMMAT NE MUSTAFA’A KI , LOOTA HAI CHAIN TERA (2) Maragaya hai pyaasa (amma hussain tera x 2) (2) Dil baith sa gaya hai, aankhon may teeragi hai TEERO SE HOGAYA HAI QASIM KA JISM JHALNI (2) Makhtal ki zulmato may (dulhan ki maang ujhdix2) (2) Sehre ki har ladi say, hasrat baras rahi hai BARCHI JIGAR PE KHAAKAR AKBAR KI NAUJAWANI (2) Mitti may milgayi hai (Laila ki zindagani x2) (2) Bete ko yaad karke, madar tadap rahi hai YAADON SE KHELTI HAI, BAYSHEER KI ADAYEIN (2) Reh rehke de rahi (Asghar ko maa sadayein x2) (2) Jhule ki khaa’mushi par, khud mauth ro rahi hai ANKHON MAY BAS GAYE, HAI ZINDAN KE ANDHERE (2) Yaade Sakina amma (Rehti hai mujko khaaye x 2) (2) Baba ko rote rote, masoom chal basi hai ABID KI PUSHT PAR HAI DURRO KE NEEL AB-BHI (2) Amma rula’rahi hai (mazloom ki aseeri x2) (2) Chaale hai dashto-pa may, beemar par ghashi hai ZAINAB KO RAAS AMMA KARBOBALA NA AAYA (2) Cheena hai mere sar se (Do bhaiyon ka saaya x2) (2) Ab to duwa-ye zainab, marne ki maangti hai
IN BAAZUON KE KUCH TO DAAGH-E-RASAN DIKHANE Aayi hai teri beti (roodade gham sunane x2) (2) Kurta kahi jala hai, chadar kahi jali hai ***********************

NAWHA #87
MOULA-E-KAYAINATH HAZRATH ALI (A.S.)

TAR KHOON MAIN HUWI HAIDER KI JABEEN YUN ROTAI HAIN JIBREEL-E-AMEEN Yeh Taig Chali Kis Kai Sar Par Zakhmi Huwai Sajdai Main Haider Kyun Hilnai Laga Hai Arshai Barin Karti Hain Azanai Wawaila Masjid ka sehan hai farshe Aza Haider kai lahu sai tar hai zameen Kyun rozai daar pai zulm kiya Tu nai binai muljim yeh to bata Shak ho gayi kyun moula ki jabeen Hasnain kai sar sai saya uta Maghmum huwi Kaabe Ki Faza Markad main Nabi ko chain nahin Wo shahai arab wo shere Khuda Woh nafsai Nabi wo dastai Khuda Kyun taig chalai dushaman-e-deen
Zainab pai yateemi chaayi hai Masjid sai khabar yeh aayi hai Lo qatl huwa kaabe ka makeen Abbas tadap kar rothe hai Rukh-sath mere moula hote hain Haider ke lahu se tar hai zameen REHAN Bichao farsh-e-aza Ghar ghar se ute matham ki sada Is gham ki kissi ko tab nahi ***********************

NAWHA#88
MOULA-E-KAYAINATH HAZRATH ALI (A.S.)

HO GAYE ZAINAB SE KHAFA (AY MERE BABA) KYA BETI SE PYAARI THI KHAZA, GHAR MERA VEERAN KIYA, KARTI HUN AA-HO BUKA, ZULM YE KAISA HUWA (AY MERE BABA) SUNTE-NAHIN MERI SADA KISKO PUKAAROON, SAAYA HAI MERE SAR SE UTA KISKO PUKAAROON, ZARB YE KAISI LAGI (AY MERE BABA),
KAUN THA AISA SHAKI, ZULM KI HAD HOGAYI
ROTE-HAI HASNAIN ZARA ANKHEIN THO-KHOLO, DIL-GUM SE HAI BECHAIN ZARA ANKHEN THO-KHOLO KAISI HAI GHAM KI SADA (AY MERE BABA),
PHAT-THA HAI MERA JIGAR, APKO YUN DEK-KAR CHALTE-HAIN KHANJAR MERE SEENE PE ALAM KE, TAQDEER NE DIKHLAYE YE DIN KAISE SITHAM KE, ANKH SE ASUN RAVAN (AY MERE BABA), SINO SE UTHA DHUWAN, DARD KI CHINGARIYAN AYE-BINE MULJIM (la) YE BATA TUJKO MILA KYA, TUNE-HAI LAHU KISLIYE HAIDER KA BAHAAYAA, QATL NAMAZI HUWA (AY MERE BABA), ARSH SE AYI SADA, HOGAYA MEHSHAR BAPA ROTE-HAIN JIBREEL-E-AMIN PEET KE SEENA, NAALE KOYI KARTAA HAI KOYI PADTAA HAI NAWHA, YA-ALI MUSHKIL KUSHA AY MERE BABA DEKHIYE UTKAR ZARA NAWHA KUNA HAI FIZA TEGAY-JAFA AAP PE ZAALIM NE CHALAAYI, ROTI HAI ZAMIN AASMAAN DETAA HAI DU-HAAYI, KUCH TO KARO GUF-THAGU AY MERE BABA BEHTA HAI SAR SE LAHU AAP HUWE SUR-KHURU MASJIDE-KUFA ME BAPA SHOROO BUKAA HAI, DA-MAADE NABI SHERE KHUDAA QATLE HUWA HAI, ROTE HAI AHLE AZA (AY MERE BABA), HOGAYI MAJLIS BAPA, DIL BHI TADAPNE LAGA UT-GAYAA-DUNIYAAN SE MADADGAAR HAMARA,
BEVA-O-YATHEEM-O KA ASEER-O KA SAHARA, SHABBAR-O-SHABBIR PAR AY MERE BABA KE JIYE UTKAR NAZAR ROTHE HAIN SAR PITKAR NAWHA YE REHAN AAZMI HAI MOULAA ALI KA, HUM SAB KE LIYE OKHBAA ME BAKSHISH KA SAHARA, AATI HAI HARDAM SADAA, QATLE NAMAZI HUAA ***********************

NAWHA #89
MOULA-E-KAYAINATH HAZRATH ALI (A.S.)

UBHALTA HAI SAMANDAR, KHOON KA ALLAH KE GHAR SE =3 ALI ZAKHMI HUWE HAIN, AAJ SHAMSHEERE SITHAMGAR SE UBHALTA HAI SAMANDAR, KHOON KA ALLAH KE GHAR SE =3 ALI KI BEK-ALI PAR ZINDAGI AANSOON BAHATI HAI.. (2) SADA-YE AL-FERAQ AATI HAI, HAR EK TARE BISTAR SE UBHALTA HAI SAMANDAR, KHOON KA ALLAH KE GHAR SE.. (3) ALI ZAKHMI HUWE HAIN, AAJ SHAMSHEEREY SITHAMGAR SE PARESHAN SURQ CHEHRA SARD HAI AUR SURQ HAI ANKHEN
YATEEMI KYA HAI POOCHO AAJ ABBAS-E-DILAAWAR SE.. UBHALTA HAI SAMANDAR, KHOON KA ALLAH KE GHAR SE.. (3) ALI ZAKHMI HUWE HAIN, AAJ SHAMSHEEREY SITHAMGAR SE DIL-E-ISLAAM SE HOUK UT-THI HAI IMAAN ROTA HAI..(2) MUSAL-LAY PAR JO BEHTA HAI NAMAAZI KA LAHOO SAR SE.. UBHALTA HAI SAMANDAR, KHOON KA ALLAH KE GHAR SE.. (3) ALI ZAKHMI HUWE HAIN, AAJ SHAMSHEEREY SITHAMGAR SE DILE UMMUL-BANI KO BE-WAGI KA GHAM UTANA HAI (2) SUHAAGAN ZINDAGI KHOON RO RAHI HAI DEEDAYE TAR SE.. UBHALTA HAI SAMANDAR, KHOON KA ALLAH KE GHAR SE.. (3) ALI ZAKHMI HUWE HAIN, AAJ SHAMSHEEREY SITHAMGAR SE TADAP AY FITRATE ISLAAM MOULA JAANE WAALE HAIN (2) PAYAAME IRJAEE AANE KO HAI ALLAH KE GHAR SE UBHALTA HAI SAMANDAR, KHOON KA ALLAH KE GHAR SE.. (3)
ALI ZAKHMI HUWE HAIN, AAJ SHAMSHEEREY SITHAMGAR SE SUNI HAI JISKE KAANON NE HADIS-E-RAAS KARASI (2) WO POOCHE GHAM ALI KI MAUTH-KA KHABRE PAYAMBAR SE.. UBHALTA HAI SAMANDAR, KHOON KA ALLAH KE GHAR SE.. (3) ALI ZAKHMI HUWE HAIN, AAJ SHAMSHEEREY SITHAMGAR SE JANAZA KUL-E-IMAAN KA ALI FITRAT JAB UT-TYEGA (2) NA JAANE HAAL KYA ZAINAB KA HOGA GHUM KE KHANJAR SE UBHALTA HAI SAMANDAR, KHOON KA ALLAH KE GHAR SE.. (3) ALI ZAKHMI HUWE HAIN, AAJ SHAMSHEEREY SITHAMGAR SE ***********************

NAWHA#90
MOULA-E-KAYAINATH HAZRATH ALI (A.S.)

Jibreel nawha padte hai (Maray gaye Ali x2) Maula-e-kayinat pe talwaar chalgayi, maray gaye Ali Masjid udaas mimbare (kufa udaas hai x 2) Tar khoon me khuda ke (wali ka libaas hai x 2) Rota hai asmaan zamin ghamse phat gayi,mare gaye Ali
Masjid me rozadar pay (kaysa sitham huwa x2) Kaabe se aa rahi hai sadaa (wa musibatha x2) Ghamse nabi ki kabr bhi ab kaampne lagi,mare gaye Ali Haay haay yateem Shabbar-O-(Shabbir hogaye x2) Abbas dilko thaamke (rote huwe chale x2) Sarse ridaaye Zainab-o-Kulsum girgayi, mare gaye Ali Duniya mei bekasoon ka (sahara nahin raha x2) Uthra tha jo falak se (sithara nahin raha x2) Arshe bareen pe farshe azaa aaj bichgayi, mare gaye Ali Maula mera jo khoon me (apne naha gaya x2) Bole farishte haye ye (kaisa sitham huwa x2) Uriyain ye roke kehti thi duniya ujadgayi,mare gaye Ali Zahra lahad me rothi hai (Haider ke waste x2) Kehti hai cheyn kabr ke (andhar nahin mujhe x2) Bacho pe mere ghamki ghata aajc hhagayi, mare gaye Ali REHAN mere saath me (rone lagaa kalam x2) Aankho se mere jaari (huwe ayse ashke gham x2) Chalte huwe kalam ke mere saas rukh gayi, mare gaye Ali ***********************

NAWHA#91
SEHZAADI BIBI FATHIMA ZEHRA (SMA)

FATHEMA ZEHRA (2) YA ZEHRA (4) Ay meri bibi (2) Tere dar pe isteghasa hai,
Tera mamnoo meri shehzaadi ye jahan sara hai Tu hame hifz or amaan de-de, Apni chadar ka sa-ebaan dede, Teri kudrath me kya nahin bibi, Tu jise chahe do jahaan dede Ay meri bibi (2) Aansu-o ne duwa mangi hai, Teri tasbee hi padke dil ne tujhe pukaara hai Tera darbar O sakhi dar hai, Har farishta jahan-ka dagar hai, Tere makrooz asmaan waale Tera makrooz har sikandar hai Ay meri bibi (2) Tu sakhi hai tere bache bhi, Ek raahi nahi gawaahi me jag ye saara hai Farshe majlis pe aur musale pa, Har jawan keh raha hai ro-rokar Ham rahe na rahe magar bibi, Ta qayamat rahe game sarwar Ay meri bibi (2) Tere bacho ka gham mana-te hai, Apni awlaad se kahi badke gham ye pyara hai Karz makrooz ka adaa karde, Muflisoon ka naseeb wa karde, Jinki goudi bhari nahi bibi Unko awlaad tu ataa karde Ay meri bibi (2) Bas tuhi muraad dethi hai, Teri chawkat dare ilahi ka isti-araa hai
Farz momin se gham juda karde, Bas ghame karbala ata karde Be khataa kayd me hai jo momin, Moujize se unhe rihaa karde Ay meri bibi (2) Gham koyi hussainiyo ko na de, Jo hussaini hai tere baba ko jaan se pyaara hai Un shahedo ka ye mukadar hai, Sayiban inka teri chadar hai Unke sino pe ay meri bibi daghe matam nishaane haider hai Ay meri bibi (2) khuld me shaheed jab jaye, Teri awaaz aaye aane do ye hamaara hai Majlise gham me ashk barsane, Aasake ya nahi khuda jaane, Kya bharosa hamari sanso ka, Ab kaha ham kaha aza khane Ay meri bibi (2) Ashke gham teri amaanath hai, Teri awlaad ke hi gham-ne hame sawaara hai Tujko umat ne yu sataya hai, Marghe mohsin pe bi rulaya hai Tujko baba ke baad ummat ne, Haye darbaar me bulaya hai Ay meri bibi (2) Kitne sadme utha hai tune, Jeete-ji tujko meri shehzadi gham ne maara hai Ay meri bibi (2) tere darpe sar jukaate hai, Har hussaini ka tere tuk-do pe hi guzaara hai ***********************

NAWHA#92
SEHZAADI BIBI FATHIMA ZEHRA (SMA)

SADME UTA RAHI HUN MAI, BABA TUMHARE BAAD (4) DAR-BAR JA-RAHI HUN MAI (2), BABA TUMHARE BAAD SADME UTA RAHI HUN MAI, BABA TUMHARE BAAD (4) BA’BA YE FATHIMA (SMA) PE MUSIBATH KA WAQT HAI YE MARHALA~ KHATIN HAI QAYAMAT KA WAQT HAI QUTHBA SUNA RAHIN HUN MAI (2), BABA TUMHARE BAAD KOYI MUJHE BATAAYE-KE, KYA THA MERA KASOOR SADMA YE HAI KI, SHAHR KI AABA’ADIYOON SAY DUR AANSOON BAHA RAHI HUN MAI (2), BABA TUMHARE BAAD BABA TUMHARE BAAD YE MUJPAR SITHAM HUWA MOHSIN MERA SHAHEED HUWA, WA MUSIBATA YE GHAM UTHA RAHI HUN MAIN (2), BABA TUMHARE BAAD
BABA GHAREEB BETI-KI GHURBATH KO DEKH LO UMMATH-NE HAQ NAHIN DIYA, BINTE RASOOL KO YE AJR PA RAHI HUN MAIN (2), BABA TUMHARE BAAD ZULMATH KI HAR NAQAAB KO, RUKH SAY HATA KE AAJ DARBAAR MEI LAYIN KE, KHUTBA SUNA KE AAJ HAQ KO BACHA RAHI HUN MAIN (2), BABA TUMHARE BAAD DARBAR JAARAHI HUN MAIN (2), BABA TUMHARE BAAD SADME UTHA RAHI HUN MAI, BABA TUMHARE BAAD (4) ***********************

NAWHA#93
SEHZAADI BIBI FATHIMA ZEHRA (SMA)

FARSHE MAJLI’’IS-PE FATHIMA’AA ZEHRA’A, LAMHA (2) SHUMAAR KARTI HAI AY AZADAA’RO – AAO MAJ’LIS MEI’I, FATHIMA INTEZA’AR KARTI HAI Ay azadaroon suno’o, keh rahi hai Sayyeda (2) Har ek chahane wale ko bakshwadungi Mere Hussain ko rote rahoo duwa dungi (2) Tum apne ghar mei aza khaane jab sajaooge
Jaza Rasool say iski zaroor paooge Khuda bhi raazi rahega, Ali-bhi aur mai-bhi Gham apna bhool ke aashur jab manaoge Tumhare dil ke har ek zakm ki dawa dungi Ajeeb haal say aungi mai sare mehshaar Ke laungi mai wahan ghoud mai Hussain ka sar Mai laungi mere Abbas ke kate huwe haath To saath laasha-e-Asgar bhi aur Hassan ka jigar Khuda say baba ki ummath ko baksh-wadungi Ba waqt asar gulu-e-Hussain kat-tha tha Pisar ke gird phiri roohe Fathima Zehra Nidaye Fathima aati thi aah’a wa-waila Ke chaki pees ke maine Hussain ko paala Karo na khatl ise main tumhe duwa dungi Meri Sakina-O-Zainab ki sab kaneeze sune Wasiyath ek meri hai ye dhiyaan mei rakhe Kabhi jo zikr-ho, Zainab ki be-ridaayee ka To ek lamha bhi khud ko woh be-rida na kare Mai tumko betiyaan Zainab si ba-hara dungi Tum is jahan mei hamara sahara ban jaaoo Hamare baa-ize izzath to ban ke diklaoo Na aisa ho kahin apne kisi amal say kabhi Azaa ki rooh ko nuksaan tumna pahunchaoo Ye mera wada hai mai tumko bakshwadungi Jo umr-bhar mere bachoo ka nawhakhan hoga Baroze hashr O uthna hi SHADMAN hoga Jo Nawhe likhte rahe MAZHAR ABIDI yun-hi
Khalam ye taba qayamath yunhi rawan hog Har ek bayt pay, Janath mai ghar diladungi ***********************

NAWHA #94
ARBAEEN SADAAT-E-KARBALA – SADAAT-E-KARBALA

Chehlum ko Karbala mein jab ayeen woh Bibiyan SADAAT-E-KARBALA (2) Kuch bibiyaan yaahan hai kuch bibiyaan wahan Karthi huwi fuga (x2) Arey bikhri huwi thi maktal-e-sarwar mei ja-baja Zainab-ne is zameen ko sungha tho ye kaha Sajjad kuch sunaa (2) Maqtal hai yeh Hussain ki Amma ki hai sada Abid tadap ke bole phupi aap per fida Sach aap ne kaha (2) Baba shaheed honge jahaan hai yehi jagah Ek bibi dasht-e-khooni mein jaati thee nehar par Keh-thi ba chashm-e-thar (2)
Abbas dene aayi hun pursa Sakina ka Ghut ghut ke laadli teri zindaan mein margayi Turbath wahin banii (2) Bhaiya woh qaid say-huwi marke bhi na juda
Akbar ki qabr per yun huwi Laila nauha-gar Dekha na saal bhar (2) Aayi-hun qaid-e-shaam se ab hoke mein riha Bano yeh bain karti thee ay mere be-zubaan Maa dhoonde ab kahaan (2) Batla de hai kahaan mera Asghar ay Karbala Qurbaan tere ay mere Maa jaye be-watan Majbur thee behan (2) Zindaan mai mujhse teri amaanath huwi juda Rote hain khaas-o-aam tera sun ke yeh kalaam Ay Shaah ke ghulaam (2) Noha tera ‘ANEES’ hai maqbool-e-bargaah ***********************

NAWHA #95
ARBAEEN

ARBAEEN KARNA HAI SHAH-E-KARBALAYI KA Leke daagh seene par, shaah ki judaai ka Haq ada kare Zainab, kaise apne bhaayi ka Khaafila uthar aaya, sabr ki khudaayi ka Karbala ke maidaan par Fathima ki jaayi ka
Mauth ke bayaabaan may zindagi ka maatam hai Zulm ke andheron may roshni ka maatam hai Aansuon ke toofaan may tishnagi ka maatam hai Ek behan ke his-se may har kisi ka maatam hai Bhaayi kya sunaaun mai hum pe kya sitham guzre
Baad-e-asr-e-aashura be-kafan thay sab laashe Shaam-e-gham ke jaatay hi mauth ke badhe saaye Chin gayi rida meri bhaayi jal gaye khaime Dur tak nigaahon may shaam ka andhera hai Karbala say kufa tak haadisoon ne ghayra hai Jabsay nowne-haalon ne, mu ko apne phera hai Maamta ki goudhi may, mauth ka basera hai Baad-e-karbala bhaayi, har qadam qayamat thi Be-rida rasan basta raah-e-shaam say guzri Bhaayi hum tamaasha thay raaste tamaashayi Har qadam dua yeh thi kaash mauth aajaaye Bhaayi qaid khaane ki teeragise ho aaye Aap ki amaanat ko zulmaton may kho aaye Khoon goshwaaron ka aansuon say dho aaye Yun Sakina bibi ko sab aseer ro aaye Qaid say reha ho kar jab Madina jaaungi Jaa ke maa ki turbat par marsiya sunaaungi Karbala ke maqtal may kya huwa bataaungi Bhaayi apnay baazu ke neel bhi dikhaaungi Bhaayi ab khudahafiz khabr say chali Zainab Bin tere guzaa-regi kaisay zindagi Zainab Uth gayi FAREED aakhir keh ke Ya Ali Zainab Ranj-o-gham ki dunya may phir say kho gayi Zainab ***********************

NAWHA #96
ALVIDA

ALVIDA ALVIDA ALVIDA AY HUSSAIN Yeh sada yeh fughaan – Aur yeh majlisain Matam-O-Nawha-aur gham ki yeh zeenatain Chaha-ta hai yeh dil, Yun-hi qayam rahain Aha phat ta hai dil, Kis ter ha ye kahain Merai mehmaan hai akhari yeh salaam Tujpe qurbaan hai akhari yeh salaam Shah-e-zeeshan hai akhari yeh salaam Dil hai veeran hai akhari yeh salaam Bakshh do hoogayi, ho-jo koyi khata Haq-ke khidmath-na hamse ada ho saka Gham yehi hai-na jee bhar-ke matam kiya Teri khaatir-na kyun apna sar dai-diya Gar jeeyai saal bhar – phir karenge ye gham Royain gai phir terai gham main milkar baham Aur agar mar-gayai-to ye hooga alag Hay afsos jee bhar kai royain-na hum. Alvida ay Hussain ay Hussain alvida Alvida ay Shah-e-mashrakain Alvida Bint-e-Ahmed kai ai noor-e-ain Alvida Hai Mujahid kai lab per yeh bain Alvida ***********************

NAWHA #97
ALVIDA

Hai… Khaiyd hoka’rr Jo Suwe Sha’am Chali Bin’te Ali… Pouhunch-kar la’ashe bara’dar pa’y, buka kar’r ne lagi.. Tu mere baaloon pay khaaq daalday Mai Tere Lashe pay khaaq daaldoon (2) Tu mujhe rida de-day, Mai tujhe kafan de-dun ALVIDA HUSSAIN.. ALIVIDA (3) Dahst mai tujko layeinoon-ne kafan bhi na diya Cheenli sar-say mere hai sithamgar nay rida Na raha koyi madadgaar sare dashte bala Tu raha be-kafan, Mai aseeray mehan Mai huwi be-riday, Tu gharibul wathan Tera Lasha huwa pama’al sare karbobala Hai tukde huwa Zainab-ka jigar wa-waila Aayi-be-saqta bhaayi mera hotoon pay sada Ye sitam kya huwa, Mera ghar lut gaya Koyi yaavar nahin, kya karun mai bhala Meray mazloom baradar mai tujhe deti kafan Hai pardes main majbur huwi teri behan Yaad ata hai mere bhaiyi mujhe mera watan Dard say choor hun, Gham say ranjoor hun Imtehan hai mera, haa’e majbur hun Jo mere dil pe guzarti hai bayan kaise karun
Jo lage zakm jigar par O ayan kaise karun Mai bhala sabr mere tishna dahan kaisay karun Khaak udaungi mai, Gham utaungi mai Kis tarah be-rida, Shaam gaungi mai Ye terah jism nahin, khoon mai tar hai Quraan Nouke naiza say cheeni, Chadar-e-tath-heer yahan Be-ridayee ka hai, ehsaas mere dil fe-garaan Mai karungi ada, Jo mera farz hai Mere bhaayi magar, Ye meri arz hai Bint-e-Zehra pay qayamath ki ghadi hai bhaayi Be-kafan ran mai teri laash padi hai bhaayi Aur behan dasht mai be aas khadi hai bhaayi Mai jigar tham-kar, rehgayi khaak par Apni hamsheer par, Ek ehsaan kar Waqt-e-ruqsath ye layein hampe sitam dhayenge Bar-sare nouke sina tera ye sar layenge Be-rida mujko bhi bazaar mai le-jayenge Tera dil royega, Zakm O khaungi Suwe bazaar mai, Be-rida jaungi Kya qayamath ka O manzar tha Nadeem-O-Safdar Laasha-e-Shah tadap ta-tha ye naaley sunkar Aur sar peet-ke kehti rahi bint-e-Haider Alvida khas-ta-tan, Alvida be-kafan Alvida be-watan, Alvida pur-mahan ***********************

NAWHA #98
ALVIDA – 10th MOHARRAM

RUN KO JAATE HUWE – SAR JHUKAYE HUWE (2) SHEH NE ROKAR KAHA – ALVIDA ALVIDA (2) AAYA WAQT-E-SAFAR – AYE BEHAN AAJ HUM (2) HO-RAHE HAIN JUDA – ALVIDA ALVIDA (2) Sha’ah bad-kar behan-ke, galay lag-gayey Aur dukhiya behan (Say yeh kehne lagay x2) Meri mazloom pyaasi musaafir behen (2) Te’era hafiz khuda – Alvida (4) Jis-say darr-ti-thi tu woh ghadi aa-gayi Dekho chaaro taraf (Teergi chah gayi x2) Dasht-e-purhawl main shaam honay ko hai (2) Lo’o musaafir chala – Alvida (4) Lay-ke baali Sakina ko aa-ghosh main Nunhe nunhe say haathon ke bosay liye, Rokay bosay liye Sheh-ne hasrath say beti ko tak-the huwe (2) Aaha bhar kar kaha – Alvida (4) Bola beemar bete-se aaqa mera, Ab na ayey-ga ay (Beta baba tera x2) Mauth ki aahatain taiz honay lagee (2) Aa’rahee hai sada – Alvida (4) Aya khaimay say bahar jo Moula mera, Bhaayi beta bhati-ja koyi bhi na tha, hai koyi bhi na tha Ek hasrat say chaaro taraf dekh kar (2)
Sheh nay khud hi kaha – Alvida (4) Jab tadap kar kaha meray shero uthoo, Aao Zainab ke bhaayi ko rukhsath karo, aao rukhsat karo Ek ek laash-e-bay-sar se aayi sada (2) Ay Shah-e-Karbala – Alvida (4) Aisa matam karo aisa matam karo, Pak bibi kahe marhaba marhaba, marhaba marhaba Khoon ubaltay howay aik aik zakham say (2) Aaj aayey sada – Alvida (4) ***********************

NAWHA#99
TABLEGHI

MAZLOOM KA MATAM Mazloom ka matham hai, mazloom ka matam (2) Logo ye tamashaa nai (2) Logo ye tamasha nai, is rone pe hasna nai Mazloom ka matham hai, mazloom ka matham (2) Kya milta hai matham me, kis tarha bataaye (2) Mazloom ko rote hai mazloom jahaa mai (2) Pathar nahi seene me (3) dil hai to ye matham Ghar Fathima Zehra ka kis tarha say ujda (2) Jab hogi qayamath to yu ayengi Zehra Ek haath me do bazu (2) ek haath me parcham Jab pyaare Muhammad se mai pyaar karunga (2)
Phir uske nawaase ka matham bhi karunga Jis ghar me Muhammad hai (3) us ghar ke ya matham Logo Nabi zaadi ka bazaaro me aana (2) Aur band ke rassi me darbaro me laana Is baath pe rothe hai (2) is dard ka matham Zanzeero me jadka hai Shabbir ka beta (2) Maa behne khule sar thi khun rota tha mawla Sajjad se pucho to (3) kyun hai ye kamar kham Khat Fathima Sughra ka kis waqt mila hai (2) Jab bhaayi sina khaye rethi pe padaa hai Khat kaun paday tera (3) tanhayi ka alam Mazloom ka matham hai, mazloom ka matham (2) Logo ye tamashaa nai (3) is rone pe hasna nai Mazloom ka matham hai, mazloom ka matham ***********************

NAWHA #100
TABLEGHI

TAREEQ KE KIRDARO KIS BAAT MAY TUM KAM HO AY SHEH KE AZADARO KIS BAAT MAY TUM KAM HO Darya ho samandar ho tum seep-o-gowhar ho Tum marze-qalandar ho sehra may gulay tar ho Tum bazme abuzar ho tum fikr ke qambar ho Tum hur ka qabeela ho tum john ka lashkar ho Ay gham ke lamdaro kis baath may tum kam ho
Rasta nahi manzil ho dhadkan nahi tum dil ho Mazloom ke tum haami har zulm ke qaatil ho Insaan ki azmath ke har baath may shaamil ho Zulmat ke samandar may tum noor ka saahil ho Matam ke talabgaro kis baath may tum kam ho Nisbath hai payambar se nisbath tumhay Hyder se Is nisbath-e-maula se tum door rahe shar se Tum aankh milate ho har waqt sithamgar se Jo dars mila tumko salman-se-buzar se Tum roop wohi dharo kis baath may tum kam ho Abbas ke parcham se seekhi hai wafadari Aankhon may tumhare hai imaan ki bedaari Kismath se mili tumko mazloom ki ghamkhari Zaalim ke liye abh-bhi tum taygh ho do dhari Mazloom ke gham khaaro kis baath may tum kam ho Zainab ki rida tumse karthi hai sawaal aisa Kis gham may bahaathe ho aankon se lahoo apna Kya ghar may tumhare bhi paighaam mera pahuncha Jis deen ke laashe pe kaam aaya mera parda Laaj uski rakho dekho kis baat may tum kam ho Kya dars liya tumne Akbar ki jawani se Kya seekha batao to karbal ki kahani se Math behko qateebo ke alfaaz-o-mawani se Mehfooz haqeeqath ko rakhna hai kahani se Ay ilm ke mayyaro kis baath may tum kam ho Masjid ke musalmano maidan ke bano ghazi Tum Hur ki tarha maango ek raat may azaadi Darbar may zaalim ke kyun bante ho faryadi Sajjad ne jis tarha deeware sitham dhaa-di ghaadi Deeware sitham ghaado kis baath may tum kam ho
Tum nahje balagha ki tafseer may dhal jao Hyder ki ghulaami ka andaaz to apnao Mazloom ko math chedo zaalim se na ghabrao Haq baath jo kehna hai suli pe bhi douh-raoo Allah ke naqqaro kis baath may tum kam ho Shabbir ke matam may imaan ki hararath hai Ye ayne ibadath hai ye ayne shariyyath hai Shabbir ke paykar may islam ki nusrath hai Khanjar ke talay dekho qaim jo ibadath hai Maula ke tarafdaro kis baath may tum kam ho Socho tho zara manzar tum shaam-e-ghareeban ka Ghar jalta tha jab ran may us waaris-e-quran ka Pamaal tha jab laasha ek besar-o-samaan ka Kirdaar magar kya tha us waaris-e-quran ka Samjho to samajhdaro kis baath may tum kam ho Pyasa tha labe dariya wo lakhte dil-e-Zehra Aankhon se barasta tha ghurbath may lahoo jiska Wo waqt bhi tha kaisa cheh maah ka ek bacha Haathon pe tadaptha tha pani ka na tha khatra Us waqt ke jaabaro kis baath may tum kam ho Halmin ki sada abh-bhi humse hai yehi kehti Shabbir ki nusrath ki dil may jo tamanna thi Kya abh-bhi hai wo baakhi jo chaah thi maula ki Awaaz wohi dil ki har saans may hai abh-bhi Jalte huwe angaaro kis baath may tum kam ho Tum raahay sadaqath se imaan ki hararath se Kirdaare imamath se afkaare risaalath se Tum shaukhe shahadath se maula ki inayath se Islam ki qidmath se mayyaare mohabbath se Tareek nayi likhdo kis baath may tum kam ho
Imaan hai azadaari hai deen ki bedaari Jarraari-o-karraari hai azme wafadari Himmath na agar haari zinda rahi khuddari Miljayegi sardari Hyder ki tarafdari Karke to zara dekho kis baath may tum kam ho REHAAN PE SARWAR pe maula ki inayath hai Nowhe ki azaano may matam ki ekhamath hai Sach poocho ko dono ki har saans ibadath hai Ay ehle aza tumko matham ki jo daawath hai Mu mod ke math jaao kis baat may tum kam ho ***********************

NAWHA#101
TABLEGHI

YA ALI ADRIKNI, YA ALI ADRIKNI Dasht may luti gayi aale Rasoole madani Ya Ali adrikni (2) Haaye be aab huwe qatl Hussaini Hassani Ya Ali adrikni, Ya Ali adrikni Dasht wo tapta huwa, dhup may aal-e-abaa Khaak pe baita huwa, kartha hai ro kar buka (2) Kaisi taqdeer may likhi thi gharibul wathani Shaah ka wo nusrathi, kaisa huwa jannati Zaanu-e-sibte Nabi, aur sar-e-Hurr-e-jari (2) Koi Hur jaisa nahi duniya may qismath ka dhani Fathima Zehra ka laal, pyaas se ran may nid-haal Aata hai aksar khayaal, kissay karoo ye sawaal (2) Maalik-e-kausar-o-tasnim ye tishna dahani
Bacha bhi che-maah ka, pyaas say tadpa kiya Teer-e-sitham kya chali, chid gaya nanha gala (2) Teer-se pehlu aur Asghar ki ye ghuncha dahani Kehti thi rokar ye maa, haaye mera be-zubaan Haaye ye nanhi si jaan, toota na kyun aasman (2) Ye sitham aur mere asghar ki ye naazuk badani Haaye wo kadiyal jawan, gir pada khaakar sina Ro diya ye aasman, baap ka azm-e-jawan (2) Shah-e-deen khaynchte hai sinay say barchi ki ani Laash pe kehti hai maa, ay mere kadiyal jawan Saal tha attharawan, haaye ye zakhm-e-sina (2) Dekhiye aake jawan laal ki gul pai-rahani Sayyad-e-abraar hai, nargha-e-kuffaar hai Dar pay ye aazaar hai, teeron ki bouchaar hai (2) Jism Shabbir ka teeron se hai chalni chalni Zainab-e-aali muqaam, tumpe hai laakhon salaam Ummath-e-khairul anaam, khoob kiya ehteraam (2) Be-rida saani-e-Zehra huwi baazu rasani Ya mere mushkil kusha, khalq ke haajath rawa Aap pe mehshar fida, kardo ishaara zara (2) Sang reze abhi hojayenge laal-e-yamani ***********************

NAWHA#102
IMAM-E-MEHDI (A.T.F.S)

LABBAIK LABBAIK LABBAIK YAA IMAAM (4) Aaiye ya Baarwen Imaam (2) Labbaik (3) Yaa Imaam Kijiyee Zahur Yaa Imaam (2) Bad rahi hai zulm-jabr ki muhib aandhiyaan Gir rahi hai moaminon ke qalbo jaa pe bijliyaan Uth rahi hai dine mustufa ke simth ungliyan Hujjath-e-khudaa hai aap deen ko dijiye amaan Har kadam pe ab to ek (karbalaa hai yaa Imaam) (2) Har baras areeze mawj ke supurth kar chuke Zakhm intezaar se jigar hamaare bhar chuke Kitne loog ji rahe hai kitne loog mar chuke Waqt ke tamaam rastoon se ham guzar chuke Lab pe aap ke zahoor ki (Dua hai yaa Imaam) (2) Chawdaa sou baras se zulm seh rahe hai yaa Imaam Raaz karbalaa har ek se keh rahe hai yaa Imaam Shay ke gham me ashk ab bhi beh rahe hai yaa Imaam Zulm ke mukhable pe gad gaye hai yaa Imaam Aap ka jo dil ko ek (Hauslaa hai yaa Imaam) (2) Jad hai aap ke Ali, Ali hai shere kibriyaa Seerathe bathul kya hai aap kaa hai madrasa Jaise Sabr Aap ne Husain hi se hai liya Khatimaa karenge aake app zulm sabr kaa Saath aap ke duwaaen (Sayyadaa hai yaa lmaam) (2) Jis ko gaib par yakin nahi woh munkire Khuda Jis ko gaib par yakin wohin padhegaa laa ilah
Laa illah padh ke ho gayaa Rasool ashnaa Jo Rasool ashnaa hai woh mohib hai Aapkaa Yeh Nabi ka aur Khuda ka (Faislaa hai yaa Imaam) (2) Ek do nahin kahin jawaan shahid ho gaye Karbalaa e Asr me Sitham mazid ho gaye Zulm ke tamaam silsile shahid ho gaye Pairawe Yazid (la) aaj fir yazid (la) ho gaye Aapka Husainiyon ko (Aasraa hai yaa Imaam) (2) Maaon na pisar behen ne bhaayi nazar kar diye Bacche bhi yathim huwe shuhaag bhi ujad gaye Baap ne game Husain me lahu jigar kiye Jaari aaj bhi hai, majilse azaa ke silsile Aaiye ke panjetan kaa (Wastaa hal yaa Imaam) (2) Laash Jab Husain ne uthayi thi jawaan ki Kabr jab banayi thi sagire be zubaan ki Aankh nam huwi thi jab zamino aasmaan ki Yaad hai wohi gadi Husaini imtehan ki Apna gham isi sabab (Bhulaa diya hai yaa Imaam) (2) As-Salaam Alai Ka Ya Imaam-E-Asri-Waz-Zamaan Al-Aman 2 Ay Imam-E-Insojan, Al-Ajal 2 Ay Sharekat-Ul-Quran- Apke zahor ka munthazir sabi jahan Sarvar-O-Rehan ki bhi (ye sada hai YA IMAAM) (2) ***********************

NAWHA#103

Hazrath Ali Akber A.s

laa raha hu main lasha e akbar

 

Haay haay

Gareebe zehra par kya waqt hai gareebi ka …

garebaan chaak hai baalon me khaake karbobala

talaash karte hai rasta nazar nahi aata

yeh haal dekh ke haste the sheh par ahle jafa

bahan ke kaandhon par kul kainaat laate hai

kadam kadam pa yeh aawaaz dete jaate hai

 

umme laila sambhal zainab ko …2

laa raha hu main lasha e akbar

umme laila sambhal zainab ko

laa raha hu main lasha e akbar

umme laila sambhal zainab ko …

 

bole honge hussain yeh rokar

umme laila sambhal zainab ko

laa raha hu main lasha-e-akbar

umme laila sambhal zainab ko …

 

naujawan laash hai zaeefi hai

meri nazron se dekh manzar ko

kaise humsheer ko sambhalunga

mai sambhale hue hu akbar ko

tera ehsaan hoga yeh mujhpar

umme laila sambhal zainab ko

laa raha hu main lasha eakbar

umme laila sambhal zainab ko …

 

uske seene se leke naame ali

maine barchi abhi nikaali hai

imtehaan de chuki meri gurbat

ab teri bebasi ki baari hai

tu bhi is waqt yaa ali keh kar

umme laila sambhal zainab ko

laa raha hu main lasha-e-akbar

umme laila sambhal zainab ko …

 

do nageene the iski jholi me

dono akbar pe kar diye sadka

sabr aisa ke apne beton par

maine rote ise nahi dekha

hai magar ab yeh lasha e akbar

umme laila sambhal zainab ko

laa raha hu main lasha-e-akbar

umme laila sambhal zainab ko …

 

rok rakh kha hai apne ashkon ko

sabse chup chup ke aahen bharti hai

main samajhta hu maadare akbar

teri mamta pe jo guzarti hai

rakh ke apne kaleje par paththar

umme laila sambhal zainab ko

laa raha hu main lasha-e-akbar

umme laila sambhal zainab ko …

 

aise lashe jawaan uthae hun

ediyan khat banati aati hai

in nishaano ko peeche peeche mere

amma zahra mitati aati hai

uski nazren na dekhe yeh manzar

umme laila sambhal zainab ko

laa raha hu main lasha-e-akbar

umme laila sambhal zainab ko …

 

aye taqallum woh shaam o kufa ka

tay hua hoga is tarha se safar

Amma zainab sambhalna maa ko

kehte honge sina se yeh akbar

aur hoga hussain ke lab par

umme laila sambhal zainab ko

laa raha hu main lasha-e-akbar

umme laila sambhal zainab ko …

 

25 thoughts on “103 Nauhey lyrics written in english

  1. mashallah very very thnx for all this noha i was searching since so many days …..really happy to visit ur site and once again thnx

  2. mashallah jazakallah moula sala
    mat rakhe aapko u had done a great work for momineen and i am very thank ful to u may god bless u jazakallah

  3. Mashllh jio..if u have this Nauha plz update Karbala mei luta ke apna Ghar jarahihai madeene Zainab

    1. salam alaikum mashallah salamath raho ,may almighty allha bless you and your family if you have more kindly send me on my email thank you

Leave a reply to syed Cancel reply